SHAWORDS

uThaa na parda-e-hairat rukh-e-nihaan se abhi — Ali Minai

HomeAli MinaiGhazal
"uThaa na parda-e-hairat rukh-e-nihaan se abhi mire yaqin ko fursat nahin gumaan se abhi na khol mujh pe pur-asraar zulmaton ke tilism bahal rahi hai nazar maah-o-kahkashaan se abhi sunaa na zamzama-e-ruh-e-kaaenaat mujhe ki aa rahi hai sadaa mere saaz-e-jaan se abhi abhi se de na mujhe manzil-e-adam kaa suraagh guzar rahaa huun main hasti ke imtihaan se abhi dikhaa na khvaab kisi aalam-e-digar ke mujhe ki meraa dil nahin faarigh isi jahaan se abhi na kar haqiqat-e-hasti se aashnaa mujh ko ki rabt hai mujhe is vahm-e-raaegaan se abhi banaa rahaa huun zamin par sanam-kade apne sadaaein de na mujhe baam-e-aasmaan se abhi maqaam-e-hosh bhi meri nazar mein hai lekin subu hai pur miraa sahbaa-e-arghavaan se abhi bhaDak rahaa hai abhi shoala-e-nafas meraa lapak rahe hain sharaare miri zabaan se abhi hai zarra zarra tapaan dasht-e-aarzu kaa mire uTheinge aur bagule bahut yahaan se abhi fanaa qubul ho kyunkar mujhe ki rishta-e-dil bandhaa huaa hai tamannaa-e-jaavidaan se abhi"
Urdu

اٹھا نہ پردۂ حیرت رخ نہاں سے ابھی مرے یقین کو فرصت نہیں گماں سے ابھی نہ کھول مجھ پہ پر اسرار ظلمتوں کے طلسم بہل رہی ہے نظر ماہ و کہکشاں سے ابھی سنا نہ زمزمۂ روح کائنات مجھے کہ آ رہی ہے صدا میرے ساز جاں سے ابھی ابھی سے دے نہ مجھے منزل عدم کا سراغ گزر رہا ہوں میں ہستی کے امتحاں سے ابھی دکھا نہ خواب کسی عالم دگر کے مجھے کہ میرا دل نہیں فارغ اسی جہاں سے ابھی نہ کر حقیقت ہستی سے آشنا مجھ کو کہ ربط ہے مجھے اس وہم رائیگاں سے ابھی بنا رہا ہوں زمیں پر صنم کدے اپنے صدائیں دے نہ مجھے بام آسماں سے ابھی مقام ہوش بھی میری نظر میں ہے لیکن سبو ہے پر مرا صہبائے ارغواں سے ابھی بھڑک رہا ہے ابھی شعلۂ نفس میرا لپک رہے ہیں شرارے مری زباں سے ابھی ہے ذرہ ذرہ تپاں دشت آرزو کا مرے اٹھیں گے اور بگولے بہت یہاں سے ابھی فنا قبول ہو کیونکر مجھے کہ رشتۂ دل بندھا ہوا ہے تمنائے جاوداں سے ابھی

Hindi

उठा न पर्दा-ए-हैरत रुख़-निहां से अभी मिरे यक़ीन को फ़ुर्सत नहीं गुमाँ से अभी न खोल मुझ पे पुर-असरार ज़ुल्मतों के तिलिस्म बहल रही है नज़र माह-ओ-कहकशाँ से अभी सुना न ज़मज़मा-ए-रूह-काएनात मुझे कि आ रही है सदा मेरे साज़-ए-जाँ से अभी अभी से दे न मुझे मंज़िल-ए-अदम का सुराग़ गुज़र रहा हूँ मैं हस्ती के इम्तिहाँ से अभी दिखा न ख़्वाब किसी आलम-ए-दिगर के मुझे कि मेरा दिल नहीं फ़ारिग़ इसी जहाँ से अभी न कर हक़ीक़त-ए-हस्ती से आश्ना मुझ को कि रब्त है मुझे इस वह्म-ए-राएगाँ से अभी बना रहा हूँ ज़मीं पर सनम-कदे अपने सदाएँ दे न मुझे बाम-ए-आसमाँ से अभी मक़ाम-ए-होश भी मेरी नज़र में है लेकिन सुबू है पुर मिरा सहबा-ए-अर्ग़वाँ से अभी भड़क रहा है अभी शो'ला-ए-नफ़स मेरा लपक रहे हैं शरारे मिरी ज़बाँ से अभी है ज़र्रा ज़र्रा तपाँ दश्त-ए-आरज़ू का मिरे उठेंगे और बगूले बहुत यहाँ से अभी फ़ना क़ुबूल हो क्यूँकर मुझे कि रिश्ता-ए-दिल बँधा हुआ है तमन्ना-ए-जाविदाँ से अभी

uThā na parda-e-hairat ruḳh-e-nihāñ se abhī
Ali Minai
Ali Minai
Ali Minai
poet19 quotes

More by Ali Minai

View all →
Quote
"harf huun apne maaani DhunDhtaa huun mein haqiqat mein kahaani DhunDhtaa huun tang aa kar tangi-e-kaun-o-makaan se apne andar be-karaani DhunDhtaa huun chhaantaa huun khaak sahraa-e-adam mein apne hone ki nishaani DhunDhtaa huun meri har jaanib nae chehre saje hain ab koi surat puraani DhunDhtaa huun maangtaa huun tarz-e-nau rasm-e-kuhan se khushk dariyaa mein ravaani DhunDhtaa huun aarzu ke biich muTThi mein dabaae ziist ke sahraa mein paani DhunDhtaa huun harf ki hiddat se lab jalne lage hain ab zabaan-e-be-zabaani DhunDhtaa huun jo sikhaa de aashti ahl-e-zamin ko vo kitaab-e-aasmaani DhunDhtaa huun"
Ali MinaiAli Minai
Quote
"pal mein samundar pal mein kinaaraa ban jaataa hai ishq ko jaisaa samjho vaisaa ban jaataa hai ahl-e-tamannaa chup rahne mein khair na jaanein khaamoshi se bhi afsaana ban jaataa hai paas aao to aaDi tirchhi chand lakirein duur se dekho to ik chehraa ban jaataa hai duniyaa ke mele mein aa nikle ho pyaare dekh ke chalnaa varna tamaashaa ban jaataa hai chain aaya to teri surat dhyaan mein utri Thahraa huaa paani aaina ban jaataa hai subh ko teri yaad jagaane aa jaati hai raat ko teraa dhyaan bichhaunaa ban jaataa hai vo kis kaa hai ye duniyaa ko khabar nahin hai jo us se miltaa hai usi kaa ban jaataa hai main apne alfaaz ke pichhe chhup jaataa huun meraa sukhan hi meraa chehraa ban jaataa hai"
Ali MinaiAli Minai
Quote
"zer-e-zamin utar gae yaa sar-e-aasmaan gae pesh-ravaan-e-raah-e-zist kaun kahe kahaan gae koi rahaa na aas paas ai dil-e-dost-naa-shanaas chhoD ke tujh ko mahv-e-yaas sab tire mehrbaan gae arsa-e-aarzu mein thiin yuun to hazaar vusatein tere qarib hi rahe ahl-e-vafaa jahaan gae hosh ke marhalon mein ik marhala-e-junun bhi thaa vaadi-e-vahm se sabhi fikr ke kaarvaan gae jab bhi havaa-e-dasht ne ahl-e-junun ko di sadaa mauj-e-shamim-e-gul ke saath ham bhi kashaan kashaan gae kaise vo log the jinhein be-khabari qubul thi ham to junun-e-aagahi le ke gae jahaan gae ahd-e-junun ke mashghale vaqt ne sab badal diye shauq ki laghzishein gaiin zabt ke imtihaan gae aakhir-e-kaar khaamushi hi se khule dilon ke raaz harf-e-sukhan zabaan pe jo aae the raaegaan gae hosh ki juratein tamaam hadd-e-yaqin pe ruk gaiin khalvat-e-naaz tak tiri sirf mire gumaan gae zehn ki chob-e-khushk ko phunk gai sukhan ki aanch dud-e-navaa ke daaere jaane kahaan kahaan gae"
Ali MinaiAli Minai
Quote
"bazm-e-rang-o-nur mein saahib-nazar koi nahin dekhne vaale bahut hain dida-var koi nahin ham ko virse mein milaa hai vo makaan ajdaad se jis mein divaarein hi divaarein hain dar koi nahin har gali kuche mein ab shams-o-qamar bikne lage ab kharidaar-e-charaagh-e-chashm-e-tar koi nahin yuun takhayyul mein haqaaeq ki milaavaT ho gai ab fasaanon mein bhi harf-e-mo'tabar koi nahin main nai manzil ko niklaa huun puraani raah par mere hamraahi bahut hain ham-safar koi nahin ahl-e-dil to khair sab sud-o-ziyaan mein paD gae kyaa khirad-mandon mein bhi aashufta-sar koi nahin"
Ali MinaiAli Minai
Quote
"na teri yaad na vo lutf-e-aah-e-nim-shabi dil-o-dimaagh hue vaqf-e-ranj-e-be-sababi tire karam ne kiyaa ye bhi ik sitam ham par ki chashm-e-shauq ne sikhi na muddaa-talabi gham-e-nashaat ke maaron ko kaun samjhaae khumaar-e-mai se hai baDh kar surur-e-tishna-labi vo khaana-zaad-e-bahaaraan hai us ko zebaa hai gulaab-pairahani gul-rukhi-o-ghuncha-labi havas mein ik sukhan-e-raaegaan ki vo bhi gayaa mataa'-e-ghuncha thaa jo iztiraab-e-jaan ba-labi koi nazar nahin shaaista-e-sukhan varna vahi hai chashm-e-fusun-gar ki guftugu-talabi miraa vajud sahi ek musht-e-khaak magar hai zarre zarre mein elaan-e-kahkashaan-nasabi khirad hijaab-e-haqiqat uThaa to de lekin abhi junun ko gavaaraa nahin ye be-adabi havaa-e-zar se huaa kam na habs-e-jaan hargiz miTi na aab-e-guhar se kisi ki tishna-labi yaqin to kyaa mire vahm-o-gumaan laraz uTThe nigaar-khaana-e-fitrat mein thi vo bul-ajabi nigaah-e-yaar thi maail-ba-dar-guzar lekin hamin rahe na adab-aashnaa-e-be-adabi tamaam shahr pe baiThi hai us ke 'ilm ki dhaak ki boltaa hai vo urdu ba-lahja-e-arabi khudaa kaa fazl hai aur faiz-e-saaqi-e-shiraaz ki mere she'r mein hai kaif-e-baada-e-inabi"
Ali MinaiAli Minai
Quote
"khayaal-o-khvaab ke paikar badalte rahte hain dil aaina ho to manzar badalte rahte hain hamaare haal se mat kar qayaas-e-naakaami ki sar-phiron ke muqaddar badalte rahte hain ulajh na jaae kahin baam-o-dar mein rishta-e-zist is ehtimaal se ham ghar badalte rahte hain har iltifaat hai taaza jaraahaton ki navid ki chaaraagar mire nashtar badalte rahte hain bhalaa yaqin ko mayassar hai kab gumaan se najaat ki saahilon ko samundar badalte rahte hain asaas-e-mehr-o-mohabbat nahin badalti kabhi agarche log baraabar badalte rahte hain vahi hai aaj jo kal thi sazaa-e-haq-goi sutun-e-daar pe haan sar badalte rahte hain mire vatan ki bahut mukhtasar si hai taarikh sitam vahi hai sitamgar badalte rahte hain vahi hai jalva-e-jaanaana dair ho ki haram sharaab ek hai saaghar badalte rahte hain"
Ali MinaiAli Minai

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari