"vahshat mein koi kaar-e-numaayaan na kar sake daaman ko jeb jeb ko daamaan na kar sake dard-e-darun kaa vo bhi to darmaan na kar sake dushvaari-e-hayaat ko aasaan na kar sake tar khun-e-dil se naavak-e-jaanaan na kar sake ham itni bhi to khaatir-e-mehmaan na kar sake kuchh aise jald khatm hue zindagi ke din ham eatibaar-e-umr-e-gurezaan na kar sake dariyaa mein gharq dekhne vaale bhi ho gae mujh ko magar havaala-e-tufaan na kar sake jalvon ko dekhti rahi meri nigaah-e-shauq kuchh bhi harim-e-naaz ke darbaan na kar sake rahte hue qafas mein zamaana guzar gae tark-e-khayaal-e-sair-e-gulistaan na kar sake sau hashr intizaar mein ham par guzar gae aur aai ek hashr kaa saamaan na kar sake vo sakht-jaan the ki zamaane ke haadsaat shiraaza-e-hayaat pareshaan na kar sake ham aise jaa ke be-khud-e-ehsaas ho gae andaaza-e-kashaakash-e-zindaan na kar sake badnaam kar diyaa mujhe 'afqar' zamaane mein ikhfaa-e-raaz dida-e-giryaan na kar sake"
vaada-e-vasl-e-yaar ne maaraa — Afqar Mohani
"vaada-e-vasl-e-yaar ne maaraa shiddat-e-intizaar ne maaraa munfail ho ke yaar ne maaraa shikva-e-baar baar ne maaraa na chhupaa raaz-e-dil magar na chhupaa dida-e-ashk-baar ne maaraa ban ke taqdir raah-e-ghurbat mein jumbish-e-chashm-e-yaar ne maaraa vaada-e-be-vafaa vafaa na huaa mujh ko is e'tibaar ne maaraa sadqe dil aisi raazdaari par jis ko ho raazdaar ne maaraa ghamza-e-jaan-setaan maaaz-allaah shokhi-e-husn-e-yaar ne maaraa baDh gayaa aur bhi junun 'afqar' aa ke fasl-e-bahaar ne maaraa"
وعدۂ وصل یار نے مارا شدت انتظار نے مارا منفعل ہو کے یار نے مارا شکوۂ بار بار نے مارا نہ چھپا راز دل مگر نہ چھپا دیدۂ اشک بار نے مارا بن کے تقدیر راہ غربت میں جنبش چشم یار نے مارا وعدۂ بے وفا وفا نہ ہوا مجھ کو اس اعتبار نے مارا صدقے دل ایسی رازداری پر جس کو ہو رازدار نے مارا غمزۂ جانستاں معاذ اللہ شوخیٔ حسن یار نے مارا بڑھ گیا اور بھی جنوں افقرؔ آ کے فصل بہار نے مارا
वा'दा-ए-वस्ल-ए-यार ने मारा शिद्दत-ए-इंतिज़ार ने मारा मुन्फ़इल हो के यार ने मारा शिकवा-ए-बार बार ने मारा न छुपा राज़-ए-दिल मगर न छुपा दीदा-ए-अश्क-बार ने मारा बन के तक़दीर राह-ए-ग़ुर्बत में जुम्बिश-ए-चश्म-ए-यार ने मारा वादा-ए-बे-वफ़ा वफ़ा न हुआ मुझ को इस ए'तिबार ने मारा सदक़े दिल ऐसी राज़दारी पर जिस को हो राज़दार ने मारा ग़म्ज़ा-ए-जाँ-सेताँ मआ'ज़-अल्लाह शोख़ी-ए-हुस्न-ए-यार ने मारा बढ़ गया और भी जुनूँ 'अफ़्क़र' आ के फ़स्ल-ए-बहार ने मारा

More by Afqar Mohani
View all →"mohabbat mein khirad ki rahbari dekhi nahin jaati ye tauhin-e-mazaaq-e-aashiqi dekhi nahin jaati har ik tasvir ki jalva-gari dekhi nahin jaati vo surat dekh kar phir dusri dekhi nahin jaati bahaar achchhi tarah gulshan mein aai bhi nahin lekin asiron se nazar sayyaad ki dekhi nahin jaati dil-e-muztar miraa parvarda-e-aaghosh-e-tufaan hai khushi ye mauj-e-saahil par kabhi dekhi nahin jaati miri hasti kaa parda bhi miri nazron se uTh jaae ki vaqt-e-did-e-jaanaan ye dui dekhi nahin jaati ise piite hain aankhein band karke baada kash zaahid nigaahon se ye shishe ki pari dekhi nahin jaati nigaah-e-shauq kyaa dekhegi jalva husn kaamil kaa jab adnaa si tajalli tuur ki dekhi nahin jaati nazar jitni thi sarf-e-did-e-jaanaan ho gai 'afqar' koi shai ab jahaan-e-husn ki dekhi nahin jaati"
"ai dard dil mein rah kar dil hi kaa raaz ho jaa bimaar-e-gham kaa apne khud chaarasaaz ho jaa ai jazb-e-dil saraapaa soz-o-gudaaz ho jaa duniyaa-e-rang-o-bu mein duniyaa-e-raaz ho jaa haan haan baDhaa de muddat paabandi-e-junun ki zulf-e-daraaz-e-jaanaan umr-e-daraaz ho jaa har zarra-e-haqiqat ye de rahaa sadaa hai pahle rah-e-talab mein khaak-e-majaaz ho jaa sar naama-e-adam hai unvaan-e-zindagaani ai imtiyaaz-e-hasti tafsir-e-raaz ho jaa ai be-khabar guzar jaa zauq-e-nazar ki had se jalvon mein us ke ghir kar jalva-taraaz ho jaa ai banda-e-tariqat aadaab-e-zindagi sun mahv-e-sujud ho kar jaan-e-namaaz ho jaa khirqa sharaab se tar dastaar mai se rangin ai shaikh-e-paak-daaman yuun paak-baaz ho jaa tu raazdaan hai dil kaa dil raaz-daar-e-ulfat yaa sarfaraaz kar de yaa sarfaraaz ho jaa tu raunaq-e-haram hai yaa but-kada ki zinat khud imtiyaaz ban kar ik imtiyaaz ho jaa jaanaa hai jab muqarrar daar-e-fanaa se 'afqar' raah-e-vafaa mein miT kar khaak-e-hijaaz ho jaa"
"shab-e-firaaq hamaaraa vo nim-jaan honaa ajal kaa aap hi ghar mein vo mehmaan honaa khafaa na sun ke miraa haal mehrbaan honaa ki is bayaan ko ik din hai daastaan honaa dayaar-e-husn ki sar-garmiyaan maaaz-allaah har ik qadam pe mohabbat kaa imtihaan honaa koi sitam ho yahin se shurua hotaa hai ghazab hai kucha-e-jaanaan kaa aasmaan honaa ajal se pahle sabaa le uDi sar-e-manzil kahaan pe aayaa hai kaam apnaa naa-tavaan honaa uThaa vo dard kaleje mein vo gire aansu nahin hai khel mohabbat kaa raaz-daan honaa nigaah-e-qahr kabhi aur kabhi karam ki nazar inhin adaaon kaa mil-jul ke daastaan honaa vo kyaa kare na miTe gar tiri mohabbat mein likhaa ho jis ke muqaddar mein be-nishaan honaa abhi na shaad ho takmil-e-ishq par 'afqar' abhi hai tark-e-mohabbat kaa imtihaan honaa"
"mahshar kaa e'tibaar huaa hai kabhi kabhi be-parda husn-e-yaar huaa hai kabhi kabhi raqsaan jamaal-e-yaar huaa hai kabhi kabhi parda mein intishaar huaa hai kabhi kabhi pahunchi hai khaak-e-aashiq-e-barbaad arsh par unchaa agar ghubaar huaa hai kabhi kabhi zaahid tavaaf karte hain us aastaan kaa ham kaabe mein jo shumaar huaa hai kabhi kabhi paimaan-shikan ke vaade ke hamraah ai ajal teraa bhi intizaar huaa hai kabhi kabhi ik sajda vo bhi be-khudi-e-iztiraab mein us aastaan pe baar huaa hai kabhi kabhi daamaan-e-tang-o-josh-e-bahaaraan ko dekh kar andaaza-e-bahaar huaa hai kabhi kabhi vo khud hi raaz ban gayaa duniyaa ke vaaste jo us kaa raazdaar huaa hai kabhi kabhi jaise vo aae baiThe bhi uTh kar chale gae is darja e'tibaar huaa hai kabhi kabhi vahdat parastiyon se bhi 'afqar' khudaa gavaah barham mizaaj-e-yaar huaa hai kabhi kabhi"
"taayyun ki hadon mein jalva-saamaan ho nahin saktaa vo husn-e-kul muhit-e-kufr-o-imaan ho nahin saktaa jo paamaal-e-khiraam-e-naaz-e-jaanaan ho nahin saktaa vo madfan haasil-e-gor-e-gharibaan ho nahin saktaa ise rahne de yunhi bakhiya-gar tu is ki haalat par rafu jis kaa ho vo meraa girebaan ho nahin saktaa milegi daad mahshar mein vo zaalim mil nahin saktaa kahin bhi mere dard-e-dil kaa darmaan ho nahin saktaa ye qaid-e-laa-makaan kaisi ye takhsis-e-makaan kyaa hai tiraa jalva muhit-e-hadd-e-imkaan ho nahin saktaa nahin jab aarzu koi to khun-e-aarzu kaisaa dil-e-be-muddaaa naakaam-e-armaan ho nahin saktaa bhanvar mein jitnaa Dubegaa ye utnaa aur ubhregaa mohabbat kaa safina gharq-e-tufaan ho nahin saktaa use kyaa aazmaaegi tajalli barq-e-aiman ki jo un kaa dekhne vaalaa hai hairaan ho nahin saktaa vo ashk-e-gham na surkhi jis mein khun-e-dil ki shaamil ho mire afsaana-e-ulfat kaa unvaan ho nahin saktaa tabiat hi badal di lazzat-e-aazaar-e-paiham ne vo chaahein bhi to mere gham kaa darmaan ho nahin saktaa miri hasti hijaab-e-ru-e-jaanaan kyon ho ai 'afqar' miri hasti kaa parda ru-e-jaanaan ho nahin saktaa"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"