SHAWORDS

vaada-e-vasl hai lazzat-e-intizaar uThaa — Abdullah Kamal

HomeAbdullah KamalGhazal
"vaada-e-vasl hai lazzat-e-intizaar uThaa aur phir umr bhar ik gham-e-e'tibaar uThaa us kaa gham mere dil mein hai ab baansuri ki tarah naghma-e-dard se zakhma-e-ikhtiyaar uThaa main uThaa to falak se bahut chaand taare gire aur sahraa-e-jaan mein bahut gham-e-ghubaar uThaa kuchh rahaa mere dil mein to ik iztiraab rahaa main sadaa apni hi khaak se be-qaraar uThaa ai khudaa rizq-e-parvaaz de shahparon ko mire mere atraaf se aasmaan kaa hisaar uThaa tu mujhe aasmaan de na de be-zamin na kar dasht-e-jaan se mire mausam-e-taab-kaar uThaa yaa miri aankh se chhin le sab khazaana-e-khvaab yaa miri khaak se zindagi kaa fishaar uThaa"
Urdu

وعدۂ وصل ہے لذت انتظار اٹھا اور پھر عمر بھر اک غم اعتبار اٹھا اس کا غم میرے دل میں ہے اب بانسری کی طرح نغمۂ درد سے زخمۂ اختیار اٹھا میں اٹھا تو فلک سے بہت چاند تارے گرے اور صحرائے جاں میں بہت غم غبار اٹھا کچھ رہا میرے دل میں تو اک اضطراب رہا میں سدا اپنی ہی خاک سے بے قرار اٹھا اے خدا رزق پرواز دے شہپروں کو مرے میرے اطراف سے آسماں کا حصار اٹھا تو مجھے آسماں دے نہ دے بے زمین نہ کر دشت جاں سے مرے موسم تاب کار اٹھا یا مری آنکھ سے چھین لے سب خزانۂ خواب یا مری خاک سے زندگی کا فشار اٹھا

Hindi

वादा-ए-वस्ल है लज़्ज़त-ए-इंतिज़ार उठा और फिर उम्र भर इक ग़म-ए-ए'तिबार उठा उस का ग़म मेरे दिल में है अब बाँसुरी की तरह नग़्मा-ए-दर्द से ज़ख़्मा-ए-इख़्तियार उठा मैं उठा तो फ़लक से बहुत चाँद तारे गिरे और सहरा-ए-जाँ में बहुत ग़म-ए-ग़ुबार उठा कुछ रहा मेरे दिल में तो इक इज़्तिराब रहा मैं सदा अपनी ही ख़ाक से बे-क़रार उठा ऐ ख़ुदा रिज़्क़-ए-परवाज़ दे शहपरों को मिरे मेरे अतराफ़ से आसमाँ का हिसार उठा तू मुझे आसमाँ दे न दे बे-ज़मीन न कर दश्त-ए-जाँ से मिरे मौसम-ए-ताब-कार उठा या मिरी आँख से छीन ले सब ख़ज़ाना-ए-ख़्वाब या मिरी ख़ाक से ज़िंदगी का फ़िशार उठा

vāda-e-vasl hai lazzat-e-intizār uThā
Abdullah Kamal
Abdullah Kamal
Abdullah Kamal
poet30 quotes

More by Abdullah Kamal

View all →
Quote
"itnaa yaqin rakh ki gumaan baaqi rahe ek zaraa kaar-e-jahaan baaqi rahe baaqi rahe yaadon ki ik qaus-e-quzah yaani miri jaa-e-amaan baaqi rahe shorish-e-khun raqs-e-junun khatm na ho qahqaha-e-ham-nafasaan baaqi rahe aataa rahe yuun hi sadaa mausam-e-gul silsila-e-dil-zadagaan baaqi rahe qaafla-e-gham guzraan ki bhi sunaa hausla-e-ham-safaraan baaqi rahe qaid-e-qafas shor-e-nafas kis ke liye kis ke liye rishta-e-jaan baaqi rahe aankhon se chhin jaaein ik ik khvaab magar us ki talab dil kaa dhuaan baaqi rahe"
Abdullah KamalAbdullah Kamal
Quote
"lafzon mein ik nae safar kaa kartaa hai aaghaaz badan nuqta nuqta phail ke mujh ko detaa hai aavaaz badan har-pal TuuT bikharnaa khadsha Thes lage to kaanp uThtaa hai shisha shisha ruup liye hai patthar kaa dam-saaz badan uDtaa baadal Dhalti chhaayaa ik ik pal mein sau sau kaayaa uDte roz-o-shab se aage kartaa hai parvaaz badan anjaani an-dekhi sadaaein aksar dastak de jaati hain mujh ko barahna kar detaa hai aksar ye ghammaaz badan kitne haatim bhaTke barson lauh-e-tilism-e-raaz liye phir bhi ik asraar kaa sahraa phir bhi hai ik raaz badan ik ik taar nafas se ab tak lipTi hai us lams ki khushbu ik din shaayad Takraayaa thaa mujh se koi shahnaaz badan"
Abdullah KamalAbdullah Kamal
Quote
"apni aankhon ko umidon se sajaae rakhnaa jalti raaton mein koi khvaab bachaae rakhnaa lauT kar aaungaa phir gaanv tumhaare ik din apne darvaaze pe ik diip jalaae rakhnaa ajnabi jaan ke patthar na svaagat ko baDhein apni galiyon ko miraa naam bataae rakhnaa suune saavan mein sataaegi bahut purvaai dard ko dil mein magar apne dabaae rakhnaa hijr ki tira-shabi Thahri hai taqdir-e-visaal meri yaadon ke sitaaron ko jagaae rakhnaa khush-naqaabi kaa bharam TuTne paae na 'kamaal' gham ko honTon ke tabassum mein chhupaae rakhnaa"
Abdullah KamalAbdullah Kamal
Quote
"us ki jaam-e-jam aankhein shisha-e-badan meraa us ki band muTThi mein saaraa baankpan meraa main ne apne chehre par sab hunar sajaae the faash kar gayaa mujh ko saada pairahan meraa dil bhi kho gayaa shaayad shahr ke saraabon mein ab miri tarah se hai dard be-vatan meraa ek dasht-e-khaamoshi ab miraa muqaddar hai yaad be-sadaa teri zakhm be-chaman meraa aao aaj ham donon apnaa apnaa ghar chun lein tum navaah-e-dil le lo khitta-e-badan meraa roz apne khvaabon kaa khuun kartaa rahtaa huun haae kin ghanimon se aa paDaa hai ran meraa gaanv ki havaaon ne phir sandesa bhejaa hai muntazir tumhaaraa hai khushbuon kaa ban meraa"
Abdullah KamalAbdullah Kamal
Quote
"khush-shanaasi kaa sila karb kaa sahraa huun main kaun pahchaane ki ik dasht-e-tamannaa huun main sard paani ki zabaan chaaTti rahti hai mujhe kohar mein Duubaa huaa koi jazira huun main apni viraan si aankhon ko sajaa lo mujh se phir na haath aaungaa uDtaa huun sapnaa huun main bhuul jaaoge mujhe tum bhi sahar hone tak aakhir-e-shab kaa koi TuTtaa lamha huun main TuTaa-phuTaa hi sahi phir bhi kashish rakhtaa huun mujh se mahzuz to ho lo ki khilaunaa huun main ek dushnaam hai ye tarz-e-taaaruf mujh ko yaaro is shahr kaa derina shanaasaa huun main"
Abdullah KamalAbdullah Kamal
Quote
"apne hone kaa ik ik pal tajraba karte rahe nok-e-neza par bhi ham raqs-e-anaa karte rahe ik musalsal jang thi khud se ki ham zinda hain aaj zindagi ham teraa haq yuun bhi adaa karte rahe haath mein patthar na thaa chehre pe vahshat bhi na thi phir vo kyaa thaa jis pe ham yuun qahqaha karte rahe kuchh na kuchh to pesh-e-manzar mein bhi shaayad thaa kahin kuchh pas-e-manzar bhi ham aab-o-havaa karte rahe be-talab baDhtaa rahaa har lamha qarz-e-jaan kaa bojh be-sabab hi har nafas khud ko adaa karte rahe duur tak phailaa diye kohsaar jangal vaadiyaan rizq aankhon ko diyaa har pal nayaa karte rahe tum to ai khushbu havaao us se mil kar aa gaiin ek ham the zakhm-e-tanhaai haraa karte rahe zahr khud bote rahe ujli havaaon mein 'kamaal' chand saanson ko bhi ham be-zaaiqa karte rahe"
Abdullah KamalAbdullah Kamal

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari