"gham kaa tufaan guzar nahin jaataa dil kaa dariyaa utar nahin jaataa 'umr guzri to ye khulaa ki koi laakh tanhaa ho mar nahin jaataa shahr rakhtaa hai us ko aavaara vo sar-e-shaam ghar nahin jaataa kis ko dekhaa ki aaj tak dil se khvaab jaisaa asar nahin jaataa us ke band-e-qabaa ke khulte hi husn kyaa kyaa nikhar nahin jaataa raah se jaise ho nishaan na alag sar se ye zakhm-e-sar nahin jaataa vaqt kaa sail hi muqaddar hai koi lamha Thahar nahin jaataa"
vaada hai ki jab roz-e-jazaa aaegaa — Anjum Azmi
"vaada hai ki jab roz-e-jazaa aaegaa tu apne hi jalvon mein ghiraa aaegaa taa-hashr yunhi muntazir-e-did rahun chupke se kabhi aa ke bataa, aaegaa main naama-e-aamaal khulaa rakkhungaa rahmat ko tiri josh sivaa aaegaa hasrat-e-gah-e-aalam mein tamannaa kaa qadam illaa ki taraf surat-e-laa aaegaa khaali bhi to kar khaana-e-dil duniyaa se is ghar mein miri jaan khudaa aaegaa dariyaa mein bahut lahr hain khvaabida abhi jaageingi to tufaan baDaa aaegaa mahfil mein sabhi dost nahin aate hain dushman bhi koi dost-numaa aaegaa ab taab na laaungaa ye andesha hai manzar jo koi hosh-rubaa aaegaa niklo bhi kabhi sud-o-ziyaan se varna kuche mein tire kaun bhalaa aaegaa"
وعدہ ہے کہ جب روز جزا آئے گا تو اپنے ہی جلووں میں گھرا آئے گا تا حشر یوں ہی منتظر دید رہوں چپکے سے کبھی آ کے بتا، آئے گا میں نامۂ اعمال کھلا رکھوں گا رحمت کو تری جوش سوا آئے گا حسرت گہ عالم میں تمنا کا قدم الا کی طرف صورت لا آئے گا خالی بھی تو کر خانۂ دل دنیا سے اس گھر میں مری جان خدا آئے گا دریا میں بہت لہر ہیں خوابیدہ ابھی جاگیں گی تو طوفان بڑا آئے گا محفل میں سبھی دوست نہیں آتے ہیں دشمن بھی کوئی دوست نما آئے گا اب تاب نہ لاؤں گا یہ اندیشہ ہے منظر جو کوئی ہوش ربا آئے گا نکلو بھی کبھی سود و زیاں سے ورنہ کوچے میں ترے کون بھلا آئے گا
वा'दा है कि जब रोज़-ए-जज़ा आएगा तू अपने ही जल्वों में घिरा आएगा ता-हश्र यूँही मुंतज़िर-ए-दीद रहूँ चुपके से कभी आ के बता, आएगा मैं नामा-ए-आमाल खुला रक्खूँगा रहमत को तिरी जोश सिवा आएगा हसरत-गह-ए-आलम में तमन्ना का क़दम इल्ला की तरफ़ सूरत-ए-ला आएगा ख़ाली भी तो कर ख़ाना-ए-दिल दुनिया से इस घर में मिरी जान ख़ुदा आएगा दरिया में बहुत लहर हैं ख़्वाबीदा अभी जागेंगी तो तूफ़ान बड़ा आएगा महफ़िल में सभी दोस्त नहीं आते हैं दुश्मन भी कोई दोस्त-नुमा आएगा अब ताब न लाऊँगा ये अंदेशा है मंज़र जो कोई होश-रुबा आएगा निकलो भी कभी सूद-ओ-ज़ियाँ से वर्ना कूचे में तिरे कौन भला आएगा

More by Anjum Azmi
View all →"kahte hain ki maikhaane mein mai aam kahaan hai rindon ki yahi baat to saaqi pe giraan hai khaate hi rahe vaada-e-taamir ke dhoke ai husn-e-gul-o-laala-o-taamir kahaan hai kis jurm mein jiine ki sazaa paai hai main ne nai nikhat-e-gesu na koi naghma-e-jaan hai ai jaan-e-jahaan jaan-e-tamannaa tu kahaan hai muddat se vahi chashm-e-mohabbat nigaraan hai kis din ki rifaaqat kaa sila mujh ko milaa hai aaghosh-e-havaadis mein bhi thoDi si amaan hai phulon ki mahak laai hain fardaa ki havaaein shorida-sari aaj anaadil ki javaan hai maalum na thaa fitna-e-iblis kaa maskan ai murshid-e-haq-bin tiri fitrat pe gumaan hai suraj ki shuaaon ke talabgaar nahin ham har zarra-e-khaaki mein vahi soz-e-nihaan hai jis khaak mein miltaa hai lahu dida-o-dil kaa is khaak ke siine pe bahaaron kaa samaan hai"
"aaj rang bhi laai dil ki bazm-aaraai chhuT gayaa hai haathon se daaman-e-shakebaai dida-e-mohabbat ki ashk-reziyaan kyaa thiin khushk ho gai kyunkar do-jahaan ki pahnaai ye bhi ik bahaana thaa tum ko aazmaane kaa varna jiine vaalon ko maut bhi na raas aai vahm se guzarnaa thaa eatibaar karnaa thaa Thokarein na khaaegi meri jaada-paimaai mahv kar diyaa kis ne shor-e-mai-kada saaraa kis ne hosh khoyaa hai kis ko teri yaad aai miT gai hai be-kaifi baal-o-par ki iimaa se yaa nigaah ki hasrat qismatein badal laai surma ban gae 'anjum' daagh-haa-e-peshaani kaun chhin saktaa hai sang-e-dar ki binaai"
"hamein to laala-o-gul ab bhi sogvaar mile jo khun-e-dil na jalaao to kyaa bahaar mile ye kyaa ki zakhm-e-jigar chashm-e-intizaar mile mile to sohbat-e-huraan-e-gul-ezaar mile kahin to pahunchein ye sahraa-navardiyaan kab tak vo mai-kada hi sahi gar na koi yaar mile gulon kaa husn sabaa kaa khiraam rang-e-chaman har ik adaa mein tiri masti-e-bahaar mile hain tere shahr mein kuchh to moallim-e-akhlaaq jinhein ye fikr ki daaman na daagh-daar mile hamaari tarah jo mast-e-alast rahti hain unhein na halqa-e-rindaan na ku-e-yaar mile bataao tum ne bhi un mein kisi ko chaahaa hai tumhaare chaahne vaale to be-shumaar mile kisi ko paayaa hai ham ne jo be-misaal 'anjum' qaraar kho ke mile us se baar-baar mile"
"kisi ki anjuman-e-naaz mein huaa rusvaa main ik rind-e-tarab-gaah-e-aarzu Thahraa vo muskuraa diyaa saaghar chhalak uThaa dil kaa nasha chaDhaa to kuchh aisaa ki phir utar na sakaa kabhi talaatum-e-dariyaa kabhi hai hasrat-e-dil hamaare husn-e-talab ko duaa se nisbat kyaa khizaan ke sar koi ilzaam kis liye aae gale pe ban gayaa khanjar bahaar kaa saudaa charaagh-e-raahguzar shaan-e-be-niyaazi se tamaam raat havaaon ki zad mein raushan thaa kahaan ke daar-o-rasan kushta-e-vafaa ke liye use to kucha-e-jaanaan ki lag chuki hai havaa jabin-e-shauq to rakh di hai aastaan pe tire havaa-e-dil na uDaa le chale su-e-sahraa vo jis ke husn kaa shohra tamaam shahr mein hai sunaa hai 'anjum'-e-vahshi pe mehrbaan huaa"
"dahr mein phirtaa hai juun baad-e-sabaa mastaana tere divaane kaa andaaz har ik rindaana shauq ke phuul khile husn ki qindil jali saj gayaa aap ke aate hi miraa kaashaana chaahtaa huun ki yunhi mahv-e-tamaashaa ho kar jalva-e-husn ko dekhaa karun bebaakaana jaan-nisaaraan-e-mohabbat kaa pata deti hai shama pe bikhri hui khaak dil-e-parvaana aaj ki raat to ji bhar ke hamein piine do aaj ki raat to gardish mein rahe paimaana zikr chhiD jaataa hai jab 'anjum'-e-vahshi kaa kabhi hans ke kahtaa hai koi vo hai tiraa divaana"
More on Dosti
View all →"rakht-e-safar kaa main ne iraada nahin kiyaa raushan charaagh-e-manzil-e-jaada nahin kiyaa tujh se bichhaD ke aur miraa dil udaas ho milne kaa is liye abhi vaada nahin kiyaa shiddat se thaa malaal shab-e-hijr kaa magar shaane pe tere sar ko nihaada nahin kiyaa dil mutmain hai baais-e-tajdid-e-dosti us ko khafaa bhi had se ziyaada nahin kiyaa sab kuchh ataa huaa tiri rahmat se is liye dast-e-talab ko aur kushaada nahin kiyaa shaayad ki meri ruuh ko baalidgi mile khud ko rahin-e-saaghar-o-baada nahin kiyaa shaayad miri jabin ko mile izn-e-bandagi dil ke varq ko is liye saada nahin kiyaa mujh ko na tamkanat kaa ho ehsaas-e-be-ziyaan qaamat ko apne aur sitaara nahin kiyaa apni talaash mein huun 'sabaa' is liye abhi su-e-haram safar kaa iraada nahin kiyaa"
"ek ujli du'aa kaa saaya hai masjid-e-jaan mein kaun aaya hai aane vaale dinon ki soch zaraa ye jo teraa hai sab paraayaa hai zakhm detaa hai sirf apnon ko us ne bhi kyaa mizaaj paayaa hai vaqt ab kyaa mutaalbe hain tire ham ne har qarz to chukaayaa hai haar kar tum se dil mohabbat mein aansuon kaa kharaaj laayaa hai ham andhere parakhne vaalon ne raushni se fareb khaayaa hai dosti pyaar e'tibaar 'anis' 'umr bhar bas ye dhan kamaayaa hai"
"mahv-e-hairat huun miraa khaar ne rasta dekhaa ek kirdaar kaa kirdaar ne rasta dekhaa kaun kahtaa hai talabgaar ne rasta dekhaa ek be-daar kaa bedaar ne rasta dekhaa kam-nasibi ki mulaaqaat se mahrum rahe khush-nasibi ki mire yaar ne rasta dekhaa anginat aae ruke aur ravaana bhi hue kab kisi shakhs kaa sansaar ne rasta dekhaa apne vaalon ne musibat mein bhulaayaa lekin dosti ke liye aghyaar ne rasta dekhaa main ne sachchaai ko jis roz se apnaayaa hai meraa aksar rasan-o-daar ne rasta dekhaa tujh se 'mahmud' use pyaar bahut thaa shaayad marte dam tak tire bimaar ne rasta dekhaa"
"gham utaaraa gayaa sabhi ke liye ashk utre hain aadmi ke liye ik tajalli mujhe 'inaayat ho meri aankhon ki raushni ke liye ji ke lagtaa nahin munaasib hai zindagi lafz zindagi ke liye baar hotaa rahaa kisi ke sipurd shukr kartaa rahaa kisi ke liye main ne had-darja koshishein kar liin dil banaa hi nahin khushi ke liye kuchh darinde bhi jaane jaate hain apni insaan-dosti ke liye sab nahin jaante ye vo dar hai yuun to darvaaza hai sabhi ke liye us ne baadal haTaa liye 'aamir' chand lamhon ki chaandni ke liye"
"nigaahon mein iqraar saare hue hain ham un ke hue vo hamaare hue hain jin aankhon mein aansu chakaare hue hain ham un ki nigaahon ke maare hue hain na khaTkein kaho kis tarah tir-e-mizhgaan jigar par hamaare utaare hue hain jhaDe jo tiri kafsh-e-zarrin ke zarre falak par vo jaa kar sayyaare hue hain 'abas jaan deti hai bulbul gulon par ye us rukh ke sadqe utaare hue hain kis andaaz se band-e-mahram kase hain ki joban ko un ke ubhaare hue hain yaqin hai balaa ho koi aaj naazil vo baalon ko apne sanvaare hue hain khabar-daar haathon se jaane na paaein ye duzd-e-hinaa maal maare hue hain kahe deti hain saaf aankhein tumhaari kisi ghair se kuchh ishaare hue hain main manjdhaar mein Dubtaa huun ilaahi vo dil le ke meraa kinaare hue hain hamesha jo bharte the dam dosti kaa vahi dushman-e-jaan hamaare hue hain nazar kar du'aa par khudaavand-e-aalam ki ham haath apne pasaare hue hain bhalaa ghair ki is mein hai kyaa shikaayat vahi dushman-e-jaan hamaare hue hain unhein ham ne nahlaa diyaa de ke chhinTein 'ajab lutf dariyaa kinaare hue hain khabar aamad-e-gul ki shaayad hai 'aaghaa' chaman saare jhaaDe bahaare hue hain"
"sahar ko khoj charaaghon pe inhisaar na kar havaa se dosti rakh us kaa e'tibaar na kar yaqin kar o mohabbat yahi munaasib hai ziyaada din miri sohbat ko ikhtiyaar na kar ye koi rishta nahin hai faqat nadaamat hai tu mujh se umr mein kam hai so mujh se pyaar na kar mujhe pata hai ki barbaad ho chukaa huun main tu meraa sog manaa mujh ko sogvaar na kar hai kaun kaun mire saath is musibat mein main apne saath nahin huun mujhe shumaar na kar main khaak khud tujhe labbaik kahne vaalon mein mujhe bulaavaa na de meraa intizaar na kar"