SHAWORDS

vaalihaana mire dil mein miri jaan mein aa jaa — Aziz Qaisi

HomeAziz QaisiGhazal
"vaalihaana mire dil mein miri jaan mein aa jaa mere imaan mein mire vahm-o-gumaan mein aa jaa muund in aankhon ko saahab nazraan mein aa jaa hadd-e-nazaargi-e-kaun-o-makaan mein aa jaa aayat-e-rahmat-e-yazdaan ki tarah dil mein utar ek ik lafz mein ek ek bayaan mein aa jaa tujhe siine se lagaa luun tujhe dil mein rakh luun dard ki chhaanv mein zakhmon ki amaan mein aa jaa kuchh to imaa-e-karam ho nigah-e-zakhm-navaaz ab ke abru-e-kashida ki kamaan mein aa jaa raunaq-e-jaan na sahi surat-e-aaseb sahi mere ujDe hue taarik makaan mein aa jaa hai tamannaa-e-sukun dil ko to 'qaisi' ki tarah halqa-e-dard-e-mohabbat-zadagaan mein aa jaa"
Urdu

والہانہ مرے دل میں مری جاں میں آ جا میرے ایماں میں مرے وہم و گماں میں آ جا موند ان آنکھوں کو صاحب نظراں میں آ جا حد نظارگیٔ کون و مکاں میں آ جا آیت رحمت یزداں کی طرح دل میں اتر ایک اک لفظ میں ایک ایک بیاں میں آ جا تجھے سینے سے لگا لوں تجھے دل میں رکھ لوں درد کی چھاؤں میں زخموں کی اماں میں آ جا کچھ تو ایمائے کرم ہو نگۂ زخم نواز اب کے ابروئے کشیدہ کی کماں میں آ جا رونق جاں نہ سہی صورت آسیب سہی میرے اجڑے ہوئے تاریک مکاں میں آ جا ہے تمنائے سکوں دل کو تو قیسیؔ کی طرح حلقۂ درد محبت زدگان میں آ جا

Hindi

वालिहाना मिरे दिल में मिरी जाँ में आ जा मेरे ईमाँ में मिरे वहम-ओ-गुमाँ में आ जा मूँद इन आँखों को साहब नज़राँ में आ जा हद्द-ए-नज़्ज़ारगी-ए-कौन-ओ-मकाँ में आ जा आयत-ए-रहमत-ए-यज़्दाँ की तरह दिल में उतर एक इक लफ़्ज़ में एक एक बयाँ में आ जा तुझे सीने से लगा लूँ तुझे दिल में रख लूँ दर्द की छाँव में ज़ख़्मों की अमाँ में आ जा कुछ तो ईमा-ए-करम हो निगहा-ए-ज़ख़्म-नवाज़ अब के अबरू-ए-कशीदा की कमाँ में आ जा रौनक़-ए-जाँ न सही सूरत-ए-आसेब सही मेरे उजड़े हुए तारीक मकाँ में आ जा है तमन्ना-ए-सुकूँ दिल को तो 'क़ैसी' की तरह हल्क़ा-ए-दर्द-ए-मोहब्बत-ज़दगाँ में आ जा

vālihāna mire dil meñ mirī jaañ meñ aa jā
Aziz Qaisi
Aziz Qaisi
Aziz Qaisi
poet36 quotes

More by Aziz Qaisi

View all →
Quote
"zakhm hai siina abhi talvaar hai ehsaas abhi kuchh na kuchh jiine kaa sarmaaya hai mere paas abhi saans roke sun rahaa hai vaqt un kaa faisla uThti jhukti vo nigaahein aas abhi hain yaas abhi barf ki sil hai kabhi dil aur kabhi shoale ki lau is bayaabaan ko koi mausam na aaya raas abhi had se baDh jaae to phir dariyaa ki kuchh hasti nahin saahil-e-mamnua par dam toDti hai pyaas abhi shahr-e-jaan teri taraf ab bhi khinchaa jaataa hai dil teri galiyon mein hai agle daur ki bu-baas abhi gunjti hai dil mein ab bhi koi gum-gashta sadaa ham ko 'qaisi' hai shikast-e-aarzu kaa paas abhi"
Aziz QaisiAziz Qaisi
Quote
"vafaa na un ke na apne hi bas mein kyaa kiije asir-e-bahr hain tinkon se kyaa gila kiije hisaar-e-sang se Takraa ke mar to sakte hain najaat saamne hai kuchh to hausla kiije bahut dinon se nahin koi zindagi kaa javaaz badal ke lafz vahi vaada phir ataa kiije pahaaD kaaTne vaalon ko koi samjhaa de ki ho sake to kisi dil mein raasta kiije palak pe Thahri hui shab pighal ke bah jaae kisi udaas fasaane ki ibtidaa kiije na yuun ho laash ke purze khalaa mein kho jaaein zamin kaa khaatma-bil-khair ho duaa kiije isi ko apnaa kafan kijiye aur so rahiye ye shab na guzregi 'qaisi' khudaa-khudaa kiije"
Aziz QaisiAziz Qaisi
Quote
"hain baam-o-dar ke jism kaTe aur jale hue galiyon ke pairahan hain lahu mein bhare hue jangal ki raat ho gai aabaadiyon ki raat hain kunj-kunj khauf-zada jaagte hue ai ahl-e-shahr aisi bhi kyaa be-rukhi ki ham pardes to khushi se nahin the gae hue main vo nahin rahaa ki ye vo shahr hi nahin yaar aashnaa kahaan ki hain dushman khinche hue ham ko bhi tum se pursish-e-gham ki umiid thi duniyaa mein tum se duur kai haadse hue sab gham-zada hain kis pe gumaan kiije qatl kaa maqtul ke janaaze mein sab hain gae hue kaisaa gila kahaan kaa taqaazaa kahaan savaal vo sar se paanv tak hain taghaaful bane hue phirte ho kis ko puchhte 'qaisi' ke naam se us shakhs ko zamaana huaa hai mare hue"
Aziz QaisiAziz Qaisi
Quote
"balaa-kashon pe kahaan pyaas kaa azaab na thaa vahaan pe manaa thaa paani jahaan saraab na thaa shikast-e-khvaab kaa maatam thaa chaar su lekin tamaam shahr ki aankhon mein koi khvaab na thaa na aastinon pe miltaa na khaak-e-maqtal par khudaa kaa shukr hamaaraa lahu sharaab na thaa idhar gunaah udhar hasrat-e-gunaah kaa bojh fishaar-e-qabr ki tamsil thaa shabaab na thaa bikaa thaa zehn o dil o jaan samet manDi mein alag zamir ke kyaa daam the hisaab na thaa ba-tarz-e-khaas thi maqsud mujh ko shohrat-e-aam labon pe thaa mire siine mein inqalaab na thaa zamaana-saaz thaa 'qaisi' na zar-shanaas magar aziiz kaise thaa jo shakhs kaamyaab na thaa"
Aziz QaisiAziz Qaisi

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil