SHAWORDS

vafaa mein pech aisaa paD gayaa — Fahmi Badayuni

HomeFahmi BadayuniGhazal
"vafaa mein pech aisaa paD gayaa sitam sahne kaa chaska paD gayaa mu'aafi maangne vaalaa thaa vo mujhe ghusse mein hansnaa paD gayaa bajaae rone ke main hans paDaa ghamon kaa daanv ulTaa paD gayaa davaa to hijr ki mahngi na thi magar parhez mahngaa paD gayaa mujhe dekho main sang-e-mil thaa magar raste se haTnaa paD gayaa kabhi suljhaai jo uljhan koi nayaa ek aur phandaa paD gayaa safar ke pech-o-kham yaad aa gae mujhe ghar mein bhaTaknaa paD gayaa"
Urdu

وفا میں پیچ ایسا پڑ گیا ستم سہنے کا چسکہ پڑ گیا معافی مانگنے والا تھا وہ مجھے غصہ میں ہنسنا پڑ گیا بجائے رونے کے میں ہنس پڑا غموں کا داؤں الٹا پڑ گیا دوا تو ہجر کی مہنگی نہ تھی مگر پرہیز مہنگا پڑ گیا مجھے دیکھو میں سنگ میل تھا مگر رستہ سے ہٹنا پڑ گیا کبھی سلجھائی جو الجھن کوئی نیا ایک اور پھندا پڑ گیا سفر کے پیچ و خم یاد آ گئے مجھے گھر میں بھٹکنا پڑ گیا

Hindi

वफ़ा में पेच ऐसा पड़ गया सितम सहने का चस्का पड़ गया मु'आफ़ी माँगने वाला था वो मुझे ग़ुस्से में हँसना पड़ गया बजाए रोने के मैं हँस पड़ा ग़मों का दाँव उल्टा पड़ गया दवा तो हिज्र की महँगी न थी मगर परहेज़ महँगा पड़ गया मुझे देखो मैं संग-ए-मील था मगर रस्ते से हटना पड़ गया कभी सुलझाई जो उलझन कोई नया एक और फंदा पड़ गया सफ़र के पेच-ओ-ख़म याद आ गए मुझे घर में भटकना पड़ गया

vafā meñ pech aisā paḌ gayā
Fahmi Badayuni
Fahmi Badayuni
Fahmi Badayuni
poet140 quotes

More by Fahmi Badayuni

View all →
Quote
"jinhein ham yaad kar ke ro rahe hain unhin murdon kaa virsa Dho rahe hain vo khinche jaa rahaa hai apni jaanib ham apni had se baahar ho rahe hain hamein qiston mein marnaa paD rahaa hai vo qiston mein paraae ho rahe hain mataa'-e-zindagi ki piiTh par ham tumhaari be-rukhi bhi Dho rahe hain baDaa ulTaa zamaana aa gayaa hai mohabbat karne vaale so rahe hain khudaa kaa shukr hai gham par hamaare jo khush hote the vo bhi ro rahe hain ham apne sahn ke gamlon mein ab tak tumhaari muskuraahaT bo rahe hain"
Fahmi BadayuniFahmi Badayuni
Quote
"koi titli nahin bataati hai teri khushbu kahaan se aati hai kyaa huaa dhuup agar sataati hai chaandni bhi yahi banaati hai ek bimaar aarzu dil mein roz ban-Than ke baiTh jaati hai ye mohabbat kaa mai-kada hai yahaan pyaas hi pyaas ko bujhaati hai ab nahin chaunktaa huun main ghar mein saare parde havaa hilaati hai mere kamre mein ab bajaae mere teri tasvir muskuraati hai shikva-e-hijr par vo ye bole 'iid rozon ke baa'd aati hai zabt se peT jab nahin bhartaa to gharibi usuul khaati hai us makaan kaa charaagh huun 'fahmi' jis ki jhaaDu havaa lagaati hai"
Fahmi BadayuniFahmi Badayuni
Quote
"tire kuche mein pahra baDh gayaa hai mire luTne kaa khatra baDh gayaa hai naqaab-e-rukh abhi kuchh aur uThaao miri aankhon kaa kharcha baDh gayaa hai kisi din aa ke samjhauta karaa do hamaaraa ham se jhagDaa baDh gayaa hai tumhaari saude-baazi ki badaulat hamaaraa bhaav kitnaa baDh gayaa hai hamaari chhoTi-chhoTi kyaariyon mein zamin-daaron kaa hissa baDh gayaa hai qaside marsiyon mein dab gae hain chale aao ki qissa baDh gayaa hai sabhi divaarein unchi ho gai hain ab us ke ghar kaa saaya baDh gayaa hai mujhe lagtaa nahin ye khatm hogaa tire sunne se qissa baDh gayaa hai"
Fahmi BadayuniFahmi Badayuni

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari