Quote
"ye tira-bakht bayaanon mein qaid rahte hain vatan hamaare taraanon mein qaid rahte hain khudi se duur rag-e-haa-e-sang mein saakit mire yaqin gumaanon mein qaid rahte hain saDak pe khvaahishein be-naam-o-nang phirti hain zamin ke khvaab zamaanon mein qaid rahte hain kahaa falak ne ye uDte hue parindon se zamin pe log makaanon mein qaid rahte hain mire khudaa ne kahaa hai ki har jagah hai vo tire khudaa to fasaanon mein qaid rahte hain"
