SHAWORDS

vo ehtiyaat ke mausam badal gae kaise — Aale Ahmad Suroor

"vo ehtiyaat ke mausam badal gae kaise charaagh dil ke andhere mein jal gae kaise banaa diyaa thaa zamaane ne barf ke maanind ham ek shokh kiran se pighal gae kaise umiid jin se thi vaz-e-junun nibhaane ki vo log vaqt ke saanche mein Dhal gae kaise sitaare jazb hue gard-e-raah mein kyaa kyaa khayaal-o-khvaab ke aaiin badal gae kaise khizaan se jin ko bachaa laae the jatan kar ke vo nakhl ab ke bahaaron mein jal gae kaise na jaane kyuun jinhein samjhe the ham farishte hain qarib aae to chehre badal gae kaise har ek saaya-e-divaar ki lapeT mein hai 'surur' aap hi bach kar nikal gae kaise"
Urdu

وہ احتیاط کے موسم بدل گئے کیسے چراغ دل کے اندھیرے میں جل گئے کیسے بنا دیا تھا زمانے نے برف کے مانند ہم ایک شوخ کرن سے پگھل گئے کیسے امید جن سے تھی وضع جنوں نبھانے کی وہ لوگ وقت کے سانچے میں ڈھل گئے کیسے ستارے جذب ہوئے گرد راہ میں کیا کیا خیال و خواب کے آئیں بدل گئے کیسے خزاں سے جن کو بچا لائے تھے جتن کر کے وہ نخل اب کے بہاروں میں جل گئے کیسے نہ جانے کیوں جنہیں سمجھے تھے ہم فرشتے ہیں قریب آئے تو چہرے بدل گئے کیسے ہر ایک سایۂ دیوار کی لپیٹ میں ہے سرورؔ آپ ہی بچ کر نکل گئے کیسے

Hindi

वो एहतियात के मौसम बदल गए कैसे चराग़ दिल के अँधेरे में जल गए कैसे बना दिया था ज़माने ने बर्फ़ के मानिंद हम एक शोख़ किरन से पिघल गए कैसे उमीद जिन से थी वज़-ए-जुनूँ निभाने की वो लोग वक़्त के साँचे में ढल गए कैसे सितारे जज़्ब हुए गर्द-ए-राह में क्या क्या ख़याल-ओ-ख़्वाब के आईं बदल गए कैसे ख़िज़ाँ से जिन को बचा लाए थे जतन कर के वो नख़्ल अब के बहारों में जल गए कैसे न जाने क्यूँ जिन्हें समझे थे हम फ़रिश्ते हैं क़रीब आए तो चेहरे बदल गए कैसे हर एक साया-ए-दीवार की लपेट में है 'सुरूर' आप ही बच कर निकल गए कैसे

vo ehtiyāt ke mausam badal ga.e kaise
Aale Ahmad Suroor
Aale Ahmad Suroor
Aale Ahmad Suroor
poet51 quotes

More by Aale Ahmad Suroor

View all →
Quote
"khushk kheti hai magar us ko hari kahte hain kam-nigaahi ko bhi vo dida-vari kahte hain fikr-e-raushan ko vo shorida-sari kahte hain yaa'ni suraj ko charaagh-e-sahari kahte hain jo tire dar se uThaa phir vo kahin kaa na rahaa us ki qismat mein rahi dar-badari kahte hain kitni be-rahm hai fitrat unhein maa'lum nahin jo use kaargah-e-shishagari kahte hain husn ke baab mein 'akbar' ki sanad kaafi hai ham bhi har ik but-e-kamsin ko pari kahte hain ruh-e-sayyad pe khudaa jaane guzar jaaegi kyaa aam aligaDh mein hui kam-nazari kahte hain"
Aale Ahmad SuroorAale Ahmad Suroor
Quote
"vo jiein kyaa jinhein jiine kaa hunar bhi na milaa dasht mein khaak uDaate rahe ghar bhi na milaa khas-o-khaashaak se nisbat thi to honaa thaa yahi DhunDne nikle the shole ko sharar bhi na milaa na puraanon se nibhi aur na nae saath chale dil udhar bhi na milaa aur idhar bhi na milaa dhuup si dhuup mein ik umr kaTi hai apni dasht aisaa ki jahaan koi shajar bhi na milaa koi donon mein kahin rabt-e-nihaan hai shaayad but-kada chhuTaa to allaah kaa ghar bhi na milaa haath uTThe the qadam phir bhi baDhaayaa na gayaa kyaa taajjub jo duaaon mein asar bhi na milaa bazm ki bazm hui raat ke jaadu kaa shikaar koi dil-daada-e-afsun-e-sahar bhi na milaa"
Aale Ahmad SuroorAale Ahmad Suroor
Quote
"siyaah raat ki sab aazmaaishein manzur kisi sahar ke ujaale kaa aasraa to milaa nazar milaa na sake ham se vo to gham kyaa hai ki dil se dil ke dhaDakne kaa silsila to milaa hai aaj aur hi kuchh zulf-e-taabdaar mein kham bhaTakne vaale ko manzil kaa raasta to milaa sarishk-e-chashm se moti bahut luTaae gae tiri nigah ke shahidon ko khun-bahaa to milaa jahaan nigaah se insaan banaae jaate hain vo baab-e-mai-kada mere liye khulaa to milaa sitam-zarif mohabbat ko jurm kahte hain gunaah-gaar ko jiine kaa aasraa to milaa na rahnumaa hai na manzil dayaar-e-ulfat mein qadam uThaate hi khizr-e-shikasta-paa to milaa mire junun ne khilaae hain phuul sahraa mein mire junun se bahaaron ko hausla to milaa samajhte the ki vafaa-naa-shanaas hai duniyaa 'surur' ham ko bhi ik dard-aashnaa to milaa"
Aale Ahmad SuroorAale Ahmad Suroor
Quote
"fughaan-e-dard mein bhi dard ki khalish hi nahin dilon mein aag lagi hai magar tapish hi nahin kahaan se laaein vo soz-o-gudaaz dil vaale ki dilbari kaa vo aahang vo ravish hi nahin haqiqaton ke bhi tevar badal to sakte hain hamaari bazm mein khvaabon ki vo khalish hi nahin dimaagh kyuun na ho saahil pe sone vaalon kaa kabhi kabhaar jo tufaan ki sarzanish hi nahin lubhaaegaa use kyaa chaand kaa khunuk jaadu jise nasib kaDi dhuup ki tapish hi nahin zamaana qissa-e-daar-o-rasan ko bhuul na jaae kisi ke halqa-e-gesu mein vo kashish hi nahin ye rang-o-bu ke tilismaat kis liye hain 'surur' bahaar kyaa hai junun ki jo parvarish hi nahin"
Aale Ahmad SuroorAale Ahmad Suroor

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri