SHAWORDS

vo hasin log the mukarte rahe — Abdullah Zreem

HomeAbdullah ZreemGhazal
"vo hasin log the mukarte rahe ahl-e-dil e'tibaar karte rahe yaad aati rahi tapish teri sard shaamon mein ham ThiThurte rahe un pe likkhe gae sabhi ash'aar kaaghazon par hi bain karte rahe baavle ho ke us badan ke baa'd ghar ki almaariyon ko bharte rahe us ne jaanaa thaa ek shaadi mein aaine saaraa din sanvarte rahe"
Urdu

وہ حسیں لوگ تھے مکرتے رہے اہل دل اعتبار کرتے رہے یاد آتی رہی تپش تیری سرد شاموں میں ہم ٹھٹھرتے رہے ان پہ لکھے گئے سبھی اشعار کاغذوں پر ہی بین کرتے رہے باؤلے ہو کے اس بدن کے بعد گھر کی الماریوں کو بھرتے رہے اس نے جانا تھا ایک شادی میں آئنے سارا دن سنورتے رہے

Hindi

वो हसीं लोग थे मुकरते रहे अहल-ए-दिल ए'तिबार करते रहे याद आती रही तपिश तेरी सर्द शामों में हम ठिठुरते रहे उन पे लिक्खे गए सभी अश'आर काग़ज़ों पर ही बैन करते रहे बावले हो के उस बदन के बा'द घर की अलमारियों को भरते रहे उस ने जाना था एक शादी में आइने सारा दिन सँवरते रहे

vo hasīñ log the mukarte rahe
Abdullah Zreem
Abdullah Zreem
Abdullah Zreem
poet10 quotes

More by Abdullah Zreem

View all →
Quote
"dast-e-taa’zir chumne vaale ham hain zanjir chumne vaale ye haqiqat-pasand thoDi hain teri tasvir chumne vaale rah gayaa khel shaahzaadi kaa mar gae tiir chumne vaale yuun dikhaate hain husn qaatil kaa nok-e-shamshir chumne vaale tere khat ko shifaa samajhte hain teri tahrir chumne vaale sirf baatein hi kar sakaa raanjhaa le gae hiir chumne vaale kyon karein jurat-e-shikaayat bhi dast-e-taqdir chumne vaale us ke maathe ko chumte hain 'zarim' maah-e-tanvir chumne vaale"
Abdullah ZreemAbdullah Zreem
Quote
"paDaa hai hijr to aise hi ji lubhaate hain ab us ke jaadu badan ke taraane gaate hain hamein manaa bhi liyaa kar ki maan rah jaae ham aise log muravvat mein ruuTh jaate hain nami to khaak ki tah mein qiyaam karti hai ham aise hain nahin jaisaa tumhein dikhaate hain tum itni der mein majburiyaan banaa lo ki ham gae dinon ki rifaaqat uThaa ke laate hain ham us ke zehn pe ik 'arsa tak savaar rahe so baqiyaa 'umr yahi ik khushi manaate hain javaan hote hi jis ne bikharnaa hotaa hai ham aise khvaab ko apnaa lahu pilaate hain"
Abdullah ZreemAbdullah Zreem

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari