SHAWORDS

vo maqaam-e-dil-o-jaan kyaa hogaa — Baqi Siddiqui

HomeBaqi SiddiquiGhazal
"vo maqaam-e-dil-o-jaan kyaa hogaa tu jahaan aakhiri pardaa hogaa manzilein raasta ban jaati hain DhunDne vaalon ne dekhaa hogaa saae mein baiThe hue sochte hain kaun is dhuup mein chaltaa hogaa teri har baat pe chup rahte hain ham saa patthar bhi koi kyaa hogaa abhi dil par hain jahaan ki nazrein aaina aur bhi dhundlaa hogaa raaz-e-sar-basta hai mahfil teri jo samajh legaa vo tanhaa hogaa is tarah qat'-e-ta'alluq na karo is tarah aur bhi charchaa hogaa baa'd muddat ke chale divaane kyaa tire shahr kaa naqsha hogaa sab kaa munh takte hain yuun ham jaise koi to baat samajhtaa hogaa phuul ye soch ke khil uThte hain koi to dida-e-binaa hogaa khud se ham duur nikal aae hain tere milne se bhi ab kyaa hogaa ham tiraa raasta takte honge aur tu saamne baiThaa hogaa khud ko yaad aane lage ham 'baaqi' phir kisi baat pe jhagDaa hogaa"
Urdu

وہ مقام دل و جاں کیا ہوگا تو جہاں آخری پردا ہوگا منزلیں راستہ بن جاتی ہیں ڈھونڈنے والوں نے دیکھا ہوگا سائے میں بیٹھے ہوئے سوچتے ہیں کون اس دھوپ میں چلتا ہوگا تیری ہر بات پہ چپ رہتے ہیں ہم سا پتھر بھی کوئی کیا ہوگا ابھی دل پر ہیں جہاں کی نظریں آئنہ اور بھی دھندلا ہوگا راز سر بستہ ہے محفل تیری جو سمجھ لے گا وہ تنہا ہوگا اس طرح قطع تعلق نہ کرو اس طرح اور بھی چرچا ہوگا بعد مدت کے چلے دیوانے کیا ترے شہر کا نقشہ ہوگا سب کا منہ تکتے ہیں یوں ہم جیسے کوئی تو بات سمجھتا ہوگا پھول یہ سوچ کے کھل اٹھتے ہیں کوئی تو دیدۂ بینا ہوگا خود سے ہم دور نکل آئے ہیں تیرے ملنے سے بھی اب کیا ہوگا ہم ترا راستہ تکتے ہوں گے اور تو سامنے بیٹھا ہوگا خود کو یاد آنے لگے ہم باقیؔ پھر کسی بات پہ جھگڑا ہوگا

Hindi

वो मक़ाम-ए-दिल-ओ-जाँ क्या होगा तू जहाँ आख़िरी पर्दा होगा मंज़िलें रास्ता बन जाती हैं ढूँडने वालों ने देखा होगा साए में बैठे हुए सोचते हैं कौन इस धूप में चलता होगा तेरी हर बात पे चुप रहते हैं हम सा पत्थर भी कोई क्या होगा अभी दिल पर हैं जहाँ की नज़रें आइना और भी धुँदला होगा राज़-ए-सर-बस्ता है महफ़िल तेरी जो समझ लेगा वो तन्हा होगा इस तरह क़त'-ए-त'अल्लुक़ न करो इस तरह और भी चर्चा होगा बा'द मुद्दत के चले दीवाने क्या तिरे शहर का नक़्शा होगा सब का मुँह तकते हैं यूँ हम जैसे कोई तो बात समझता होगा फूल ये सोच के खिल उठते हैं कोई तो दीदा-ए-बीना होगा ख़ुद से हम दूर निकल आए हैं तेरे मिलने से भी अब क्या होगा हम तिरा रास्ता तकते होंगे और तू सामने बैठा होगा ख़ुद को याद आने लगे हम 'बाक़ी' फिर किसी बात पे झगड़ा होगा

vo maqām-e-dil-o-jāñ kyā hogā
Baqi Siddiqui
Baqi Siddiqui
Baqi Siddiqui
poet75 quotes

More by Baqi Siddiqui

View all →
Quote
"is kaar-e-gah-e-rang mein ham tang nahin kyaa jo sar pe lagaa hai abhi vo sang nahin kyaa tasvir ko tasvir dikhaai nahin jaati is aaina-khaane mein nazar dang nahin kyaa hai halqa-e-jaan apni vafaaon kaa tasavvur is daagh se aage koi farsang nahin kyaa har baat pe ham dete hain ghairon kaa havaala apnaa koi aahang koi rang nahin kyaa bakhshe hue ik ghunT pe ham jhuum rahe hain ab maang ke piinaa bhi koi nang nahin kyaa zakhm-e-dil-e-betaab hai haathon mein nivaala is baat pe duniyaa se miri jang nahin kyaa vo rang nahin shoala-e-ehsaas mein 'baaqi' ham saaz-e-tamannaa se ham-aahang nahin kyaa"
Baqi SiddiquiBaqi Siddiqui
Quote
"ham to duniyaa se bad-gumaan Thahre aage dil ki khushi jahaan Thahre haae vo qaafile jo luT kar bhi zer-e-divaar-e-gulsitaan Thahre aap ko kaarvaan se kyaa matlab aap to mir-e-kaarvaan Thahre zindagi chaahti hai hangaama aur ham log be-zabaan Thahre kabhi teri talaash mein nikle kabhi ban kar tiraa nishaan Thahre gardish-e-dahr saath saath rahi ham jidhar bhi gae jahaan Thahre har qadam par thaa ik sanam-khaana kyaa bataaein kahaan kahaan Thahre kuchh to kaj-rau jahaan bhi hai 'baaqi' aur kuchh ham bhi qissa-khvaan Thahre"
Baqi SiddiquiBaqi Siddiqui
Quote
"subh kaa bhed milaa kyaa ham ko lag gayaa raat kaa dhaDkaa ham ko shauq-e-nazzaaraa kaa parda uThThaa nazar aane lagi duniyaa ham ko kashtiyaan TuuT gai hain saari ab liye phirtaa hai dariyaa ham ko bhiiD mein kho gae aakhir ham bhi na milaa jab koi rasta ham ko talkhi-e-gham kaa mudaavaa maalum paD gayaa zahr kaa chaskaa ham ko tere gham se to sukun miltaa hai apne sho'lon ne jalaayaa ham ko ghar ko yuun dekh rahe hain jaise aaj hi ghar nazar aayaa ham ko ham ki shoala bhi hain aur shabnam bhi tu ne kis rang mein dekhaa ham ko jalva-e-laalaa-o-gul hai divaar kabhi milte sar-e-sahraa ham ko le uDi dil ko nasim-e-sahari bu-e-gul kar gai tanhaa ham ko sair-e-gulshan ne kiyaa aavaara lag gayaa rog sabaa kaa ham ko yaad aai hain barahna shaakhein thaam le ai gul-e-taaza ham ko le gayaa saath uDaa kar 'baaqi' ek sukhaa huaa pattaa ham ko"
Baqi SiddiquiBaqi Siddiqui

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer