SHAWORDS

vo mere saath chalne par agar tayyaar ho jaae — Ahmad Adil

HomeAhmad AdilGhazal
"vo mere saath chalne par agar tayyaar ho jaae bhale manzil ki jaanib se mujhe inkaar ho jaae miraa fann-e-adaakaari numaayaan ho ke ubhregaa zaraa teri kahaani mein miraa kirdaar ho jaae nashaat-angez shaamon kaa tasalsul is tarah TuuTaa ki gahri niind se yak-dam koi bedaar ho jaae agar apni madhur aavaaz mein naghma sunaa de vo to raah-e-mahfil-e-yaaraan zaraa hamvaar ho jaae agar vo ik nazar dekhe mire jazbe ki sachchaai nasihat chhoD kar naaseh miraa gham-khvaar ho jaae tiri aankhein bataati hain tujhe mujh se mohabbat hai magar dil ki tasalli ko zaraa izhaar ho jaae samajh lo tirgi derina saathi ho gai 'aadil' charaagh-e-jaan jalaanaa jab tumhein dushvaar ho jaae"
Urdu

وہ میرے ساتھ چلنے پر اگر تیار ہو جائے بھلے منزل کی جانب سے مجھے انکار ہو جائے مرا فن اداکاری نمایاں ہو کے ابھرے گا ذرا تیری کہانی میں مرا کردار ہو جائے نشاط انگیز شاموں کا تسلسل اس طرح ٹوٹا کہ گہری نیند سے یک دم کوئی بیدار ہو جائے اگر اپنی مدھر آواز میں نغمہ سنا دے وہ تو راہ محفل یاراں ذرا ہموار ہو جائے اگر وہ اک نظر دیکھے مرے جذبے کی سچائی نصیحت چھوڑ کر ناصح مرا غم خوار ہو جائے تری آنکھیں بتاتی ہیں تجھے مجھ سے محبت ہے مگر دل کی تسلی کو ذرا اظہار ہو جائے سمجھ لو تیرگی دیرینہ ساتھی ہو گئی عادلؔ چراغ جاں جلانا جب تمہیں دشوار ہو جائے

Hindi

वो मेरे साथ चलने पर अगर तय्यार हो जाए भले मंज़िल की जानिब से मुझे इंकार हो जाए मिरा फ़न्न-ए-अदाकारी नुमायाँ हो के उभरेगा ज़रा तेरी कहानी में मिरा किरदार हो जाए नशात-अंगेज़ शामों का तसलसुल इस तरह टूटा कि गहरी नींद से यक-दम कोई बेदार हो जाए अगर अपनी मधुर आवाज़ में नग़्मा सुना दे वो तो राह-ए-महफ़िल-ए-याराँ ज़रा हमवार हो जाए अगर वो इक नज़र देखे मिरे जज़्बे की सच्चाई नसीहत छोड़ कर नासेह मिरा ग़म-ख़्वार हो जाए तिरी आँखें बताती हैं तुझे मुझ से मोहब्बत है मगर दिल की तसल्ली को ज़रा इज़हार हो जाए समझ लो तीरगी देरीना साथी हो गई 'आदिल' चराग़-ए-जाँ जलाना जब तुम्हें दुश्वार हो जाए

vo mere saath chalne par agar tayyār ho jaa.e
Ahmad Adil
Ahmad Adil
Ahmad Adil
poet29 quotes

More by Ahmad Adil

View all →
Quote
"kyaa fasaane mein miraa naam kahin hotaa hai tere honTon pe nahin hai to nahin hotaa hai tu jise DhunDhtaa phirtaa hai zamaane bhar mein apne dil mein tu zaraa jhaank vahin hotaa hai kitne saada hain ye kashti ke musaafir jin ko naa-khudaaon ki khudaai pe yaqin hotaa hai toD kar band-e-qabaa chaak-garebaan ho kar rang vahshat kaa miri aur hasin hotaa hai vo jataane ko ye aataa hai ki main aataa huun varna dhyaan us kaa sadaa aur kahin hotaa hai jabki baaqi hai bahut us ki bulandi kaa safar zikr insaan kaa sar-e-arsh-e-barin hotaa hai mat kaho us ko ziyaan jis se khushi milti ho vaqt aise kabhi zaaea to nahin hotaa hai mai-kade mein hi milegaa tujhe teraa 'aadil' us ko jaanaa hai kidhar roz vahin hotaa hai"
Ahmad AdilAhmad Adil
Quote
"un ke qisse agar bayaan hote raaz saare tabhi ayaan hote tum ko aate hunar jo rahzan ke bas tumhi mir-e-kaarvaan hote bair ham se sahi magar socho ham na hote to tum kahaan hote zindagi vo jagah dikhaa de ab tujh ko paate to ham jahaan hote un ki mahfil mein dil nahin lagtaa jab vo auron mein shaadmaan hote ye mukammal agar jahaan hotaa phir khalaaon mein kyuun jahaan hote soch mein qurbatein agar hotin faasle yuun na darmiyaan hote tum hi gosha-nashin the 'aadil' varna charche kahaan kahaan hote"
Ahmad AdilAhmad Adil
Quote
"ye mai-kashi kaa sabaq hai nae nisaab ke saath ki khun-e-dil hamein piinaa hai ab sharaab ke saath bas is yaqin pe hoti hain laghzishein aksar ki rahmaton kaa bhi daataa hai tu azaab ke saath ye qurbaton kaa ishaara hai yaa judaai kaa jo zard phuul milaa hai tire javaab ke saath zaraa vo saath bhi chalte hain lauT jaate hain hijaab TuuT rahe hain magar hijaab ke saath kahin hai tangi subu ki kahin faraavaani to phir giraft bhi maulaa usi hisaab ke saath agar raqib nahin hai to kaun hai vo shakhs dikhaai detaa hai jo aaj-kal janaab ke saath khayaal-e-sud-o-ziyaan aur husul-e-manzil-e-ishq zavaal-e-umr mein jaise koi shabaab ke saath faqat yuun shor machaane kaa faaeda kyaa hai sazaa bhi denaa zaruri hai ehtisaab ke saath hamaare ho to zaraa khul ke e'timaad karo nayaa savaal uThaate ho kyuun javaab ke saath ye apne aap ko paanaa hai tujh ko khonaa kyuun tamaam umr kaTi hai is iztiraab ke saath ye sab ghurub ke aasaar hain ayaan 'aadil' ki saae baDhne lage Dhalte aaftaab ke saath"
Ahmad AdilAhmad Adil
Quote
"ham apne zakhm sabhi ko dikhaa nahin sakte jo shikva tum se hai sab ko sunaa nahin sakte mire khayaal ki gahraai ko zaraa samjho ki sirf lafz to matlab bataa nahin sakte malaal ye hai ki saaqi to ban gae saahab sharaab haath mein hai aur pilaa nahin sakte ajab hai phuul ki fitrat use masal kar tum mahakte haathon ki khushbu chhupaa nahin sakte likhaa gayaa jo muqaddar mein harf-e-aakhir hai tum apni marzi se is ko miTaa nahin sakte hazaaron hiile bahaane taraash lo phir bhi tum apne chehre ki khiffat chhupaa nahin sakte ab ek ham hain ki sadiyaan guzaar dein 'aadil' aur ek vo hain ki lamha bataa nahin sakte"
Ahmad AdilAhmad Adil
Quote
"kamar kaso to masaafat ki aabru rakhnaa jo chal paDo to na manzil ki aarzu rakhnaa bikhar rahaa hai sabhi kuchh agarche duniyaa mein hayaat-e-nau ki magar phir bhi justuju rakhnaa jahaan mein log faqat zindagi nibhaate hain baDaa kamaal hai jiine ko khub-ru rakhnaa agar nigaah-o-nazar mein ho rahmat-e-mutlaq jhukaae sar mire maulaa ke ru-ba-ru rakhnaa vazaahaton ke liye baar baar jaanaa ho isi khayaal se mubham si guftugu rakhnaa khizaan ke baad chaman mein bahaar aane par ravish-ravish vahi afsaana-e-numu rakhnaa savaal ziist kaa dushvaar hai bahut 'aadil' ki aarzu nahin rakhnaa yaa aarzu rakhnaa"
Ahmad AdilAhmad Adil
Quote
"nishaan manzil kaa batlaayaa na mujh ko ham-safar jaanaa tazabzub mein paDaa hai vo jise main ne khizar jaanaa nazar meri basirat ko sadaa mahdud rakhti hai pas-e-manzar nahin dekhaa faqat pesh-e-nazar jaanaa jahaan taqdir le jaae vahaan raste nahin jaate kiyaa thaa rukh idhar kaa kyuun likhaa thaa jab udhar jaanaa havaala zindagi kaa bhi tumhaari zulf jaisaa hai bikharnaa phir sanvar jaanaa sanvarnaa phir bikhar jaanaa junun ki raah ko ab tak samajh paae nahin saahab ki apne jism ko Dhaa kar faqat jaan se guzar jaanaa Duboyaa jis ne kashti ko use hi naa-khudaa samjhe diye the jis ne saare dukh usi ko chaaragar jaanaa unhin taarik raahon se guzarnaa hai tumhein 'aadil' charaagh-e-jaan jalaa kar tum bilaa khauf-o-khatar jaanaa"
Ahmad AdilAhmad Adil

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud