SHAWORDS

vo pareshaani sar-e-dasht-e-adam hai ham ko — Ehsanul Haq Mazhar

"vo pareshaani sar-e-dasht-e-adam hai ham ko baagh-e-rizvaan bhi mil jaae to kam hai ham ko ab bhi dil mein tire hone kaa gumaan baaqi hai TuTte bante iraadon ki qasam hai ham ko is ko kahte hain miyaan zakhm kaa taaza honaa vo kisi aur se bichhDaa hai to gham hai ham ko tujh se yuun maangte hain teraa bharam rah jaae varna har chiiz mohabbat mein baham hai ham ko tire aane pe koi radd-e-amal kyaa dete ye khushi itni ziyaada hai na kam hai ham ko"
Urdu

وہ پریشانی سر دشت عدم ہے ہم کو باغ رضوان بھی مل جائے تو کم ہے ہم کو اب بھی دل میں ترے ہونے کا گماں باقی ہے ٹوٹتے بنتے ارادوں کی قسم ہے ہم کو اس کو کہتے ہیں میاں زخم کا تازہ ہونا وہ کسی اور سے بچھڑا ہے تو غم ہے ہم کو تجھ سے یوں مانگتے ہیں تیرا بھرم رہ جائے ورنہ ہر چیز محبت میں بہم ہے ہم کو ترے آنے پہ کوئی رد عمل کیا دیتے یہ خوشی اتنی زیادہ ہے نہ کم ہے ہم کو

Hindi

वो परेशानी सर-ए-दश्त-ए-अदम है हम को बाग़-ए-रिज़वान भी मिल जाए तो कम है हम को अब भी दिल में तिरे होने का गुमाँ बाक़ी है टूटते बनते इरादों की क़सम है हम को इस को कहते हैं मियाँ ज़ख़्म का ताज़ा होना वो किसी और से बिछड़ा है तो ग़म है हम को तुझ से यूँ माँगते हैं तेरा भरम रह जाए वर्ना हर चीज़ मोहब्बत में बहम है हम को तिरे आने पे कोई रद्द-ए-अमल क्या देते ये ख़ुशी इतनी ज़ियादा है न कम है हम को

vo pareshānī sar-e-dasht-e-adam hai ham ko
E
Ehsanul Haq Mazhar
Ehsanul Haq Mazhar
poet15 quotes

More by Ehsanul Haq Mazhar

View all →
Quote
"jo thakaavaT pe mabni niind nahin main samajhtaa huun achchhi niind nahin aadhi basti ko jaagnaa hogaa jitni aankhein hain utni niind nahin maut se kyuun Daraa rahe ho mujhe ye koi meri pahli niind nahin aankhein achchhi hain is sitaare par is sitaare pe achchhi niind nahin ek din us ne kah diyaa mujh se main tumhaari huun meri niind nahin us ke chehre ko paDh ke sotaa huun mujh se achchhi kisi ki niind nahin khvaab kitne hi dekhne hain abhi aur aankhon mein ratti niind nahin"
E
Ehsanul Haq Mazhar
Quote
"khumaar-e-qurb mein is baat kaa khayaal na thaa hamaare zehn mein kuchh aur thaa visaal na thaa tiri judaai mein mahtaab dekhte ham kyaa hamaaraa masala tu thaa tiraa jamaal na thaa phir ek din use sab log dekhne pahunche palaT ke aae to lab par koi savaal na thaa kamaal ye hai tire hijr mein salaamat huun tire firaaq mein marnaa koi kamaal na thaa ghamon ke vahm mein guzri hai zindagi saari malaal karte rahe go koi malaal na thaa jo teraa haal hai is se to saaf lagtaa hai hamaare baad kisi ko tiraa khayaal na thaa"
E
Ehsanul Haq Mazhar
Quote
"is liye tez bhaagtaa huun main apne pichhe paDaa huaa huun main ghup andhere mein raushni ki tarah us ki aankhon se gir rahaa huun main mujh ko gham to nahin judaai kaa ye muravvat mein ro rahaa huun main yaad karnaa bhi us ko chhoD diyaa aakhiri chaal chal chukaa huun main meri baatein mazaaq mein mat le zindagi tujh se kuchh baDaa huun main mujh se vo sulh karne vaalaa thaa aur naaraaz ho gayaa huun main dasht is baat par bahut khush hai us ke hisse mein aa gayaa huun main baatein hone lagi hain mere khilaaf yaani mahfil se jaa chukaa huun main"
E
Ehsanul Haq Mazhar

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi