"ghar ki buniyaadein divaarein baam-o-dar the baabu ji sab ko baandh ke rakhne vaalaa khaas hunar the baabu ji tiin mohallon mein un jaisi qad kaaThi kaa koi na thaa achchhe-khaase unche puure qad-aavar the baabu ji ab to us suune maathe par kore-pan ki chaadar hai ammaa ji ki saari saj-dhaj sab zevar the baabu ji bhitar se khaalis jazbaati aur uupar se TheTh pitaa alag anuThaa anbujhaa saa ik tevar the baabu ji kabhi baDaa saa haath-kharch the kabhi hatheli ki sujan mere man kaa aadhaa saahas aadhaa Dar the baabu ji"
ye aur baat duur rahe manzilon se ham — Aalok Shrivastav
"ye aur baat duur rahe manzilon se ham bach kar chale hamesha magar qaafilon se ham hone ko phir shikaar nai uljhanon se ham milte hain roz apne kai doston se ham barson fareb khaate rahe dusron se ham apni samajh mein aae baDi mushkilon se ham manzil ki hai talab to hamein saath le chalo vaaqif hain khuub raah ki baarikiyon se ham jin ke paron se subh ki khushbu ke rang hain bachpan udhaar laae hain un titliyon se ham guzre hamaare ghar ki kisi rahguzar se vo parde haTaae dekhein unhein khiDkiyon se ham ab to hamaare beach kabhi duriyaan bhi hon tang aa gae hain roz ki nazdikiyon se ham jab bhi kahaa ki yaad hamaari kahaan unhein pakDe gae hain Thiik tabhi hichkiyon se ham"
یہ اور بات دور رہے منزلوں سے ہم بچ کر چلے ہمیشہ مگر قافلوں سے ہم ہونے کو پھر شکار نئی الجھنوں سے ہم ملتے ہیں روز اپنے کئی دوستوں سے ہم برسوں فریب کھاتے رہے دوسروں سے ہم اپنی سمجھ میں آئے بڑی مشکلوں سے ہم منزل کی ہے طلب تو ہمیں ساتھ لے چلو واقف ہیں خوب راہ کی باریکیوں سے ہم جن کے پروں سے صبح کی خوشبو کے رنگ ہیں بچپن ادھار لائے ہیں ان تتلیوں سے ہم گزرے ہمارے گھر کی کسی رہ گزر سے وہ پردے ہٹائے دیکھیں انہیں کھڑکیوں سے ہم اب تو ہمارے بیچ کبھی دوریاں بھی ہوں تنگ آ گئے ہیں روز کی نزدیکیوں سے ہم جب بھی کہا کہ یاد ہماری کہاں انہیں پکڑے گئے ہیں ٹھیک تبھی ہچکیوں سے ہم
ये और बात दूर रहे मंज़िलों से हम बच कर चले हमेशा मगर क़ाफ़िलों से हम होने को फिर शिकार नई उलझनों से हम मिलते हैं रोज़ अपने कई दोस्तों से हम बरसों फ़रेब खाते रहे दूसरों से हम अपनी समझ में आए बड़ी मुश्किलों से हम मंज़िल की है तलब तो हमें साथ ले चलो वाक़िफ़ हैं ख़ूब राह की बारीकियों से हम जिन के परों से सुब्ह की ख़ुशबू के रंग हैं बचपन उधार लाए हैं उन तितलियों से हम गुज़रे हमारे घर की किसी रहगुज़र से वो पर्दे हटाए देखें उन्हें खिड़कियों से हम अब तो हमारे बीच कभी दूरियाँ भी हों तंग आ गए हैं रोज़ की नज़दीकियों से हम जब भी कहा कि याद हमारी कहाँ उन्हें पकड़े गए हैं ठीक तभी हिचकियों से हम

More by Aalok Shrivastav
View all →"har baar huaa hai jo vahi to nahin hogaa Dar jis kaa sataataa hai abhi to nahin hogaa duniyaa ko chalo parkhein nae dost banaaein har shakhs zamaane mein vahi to nahin hogaa vo shakhs baDaa hai to ghalat ho nahin saktaa duniyaa ko bharosa ye abhi to nahin hogaa hai us kaa ishaara bhi samajhne ki zarurat hogaa to kabhi hogaa abhi to nahin hogaa do-chaar gaDe murde ukhaaDeinge kisi roz har baar nayaa jhagDaa kabhi to nahin hogaa kuchh aur bhi ho saktaa hai taqrir kaa matlab jo aap ne samjhaa hai vahi to nahin hogaa har baar zamaane kaa sitam hogaa mujhi par haan main hi badal jaaun kabhi to nahin hogaa"
"tu vafaa kar ke bhuul jaa mujh ko ab zaraa yuun bhi aazmaa mujh ko ye zamaana buraa nahin hai magar apni nazron se dekhnaa mujh ko be-sadaa kaaghazon mein aag lagaa aaj ki raat gungunaa mujh ko tujh ko kis kis mein DhunDhtaa aakhir tu bhi kis kis se maangtaa mujh ko ab kisi aur kaa pujaari hai jis ne maanaa thaa devtaa mujh ko"
"roz khvaabon mein aa ke chal dungaa teri nindon mein yuun khalal dungaa main nai shaam ki alaamat huun khaak suraj ke munh pe mal dungaa ab nayaa pairahan zaruri hai ye badan shaam tak badal dungaa apnaa ehsaas chhoD jaaungaa teri tanhaai le ke chal dungaa tum mujhe roz chiTThiyaan likhnaa main tumhein roz ik ghazal dungaa"
"agar safar mein mire saath meraa yaar chale tavaaf kartaa huaa mausam-e-bahaar chale lagaa ke vaqt ko Thokar jo khaaksaar chale yaqin ke qaafile hamraah be-shumaar chale navaaznaa hai to phir is tarah navaaz mujhe ki mere baa'd miraa zikr baar baar chale ye jism kyaa hai koi pairahan udhaar kaa hai yahin sanbhaal ke pahnaa yahin utaar chale ye jugnuon se bharaa aasmaan jahaan tak hai vahaan talak tiri nazron kaa iqtidaar chale yahi to ek tamannaa hai is musaafir ki jo tum nahin to safar mein tumhaaraa pyaar chale"
"hamesha zindagi ki har kami ko jiite rahte hain jise ham ji nahin paae usi ko jiite rahte hain hamaare dukh ki baarish ko koi daaman nahin miltaa hamaari aankh ke baadal nami ko jiite rahte hain kisi ke saath hain rasmein kisi ke saath hain qasmein kisi ke saath jiinaa hai kisi ko jiite rahte hain hamein maalum hai ik din bharosa TuuT jaaegaa magar phir bhi saraabon mein nadi ko jiite rahte hain hamaare saath chalti hai tumhaare pyaar ki khushbu lagaai thi jo tum ne us lagi ko jiite rahte hain chahakte ghar mahakte khet aur vo gaanv ki galiyaan jinhein ham chhoD aae un sabhi ko jiite rahte hai khudaa ke naam-levaa ham bhi hain tum bhi ho aur vo bhi magar afsos sab apni khudi ko jiite rahte hain"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
"kaaba-e-dil ko agar Dhaaiyegaa yaad rakhiye ki sazaa paaiyegaa yaad mein meri jo ghabraaiyegaa meri turbat pe chale aaiyegaa thoDi taklif sahi aane mein do ghaDi baiTh ke uTh jaaiyegaa yaad dilvaa ke vo agli baatein bhari mahfil mein na rulvaaiyegaa haal-e-dil kahiye to farmaate hain bakte bakte miraa sar khaaiyegaa yak zaraa aap ko ham dekh to lein baiThiye baiThiye phir jaaiyegaa ye 'haqir' aap se Darne kaa nahin aankhein bas ghair ko dikhlaaiyegaa"