SHAWORDS

ye baat un ki tabi'at pe baar guzri hai — A. D. Azhar

HomeA. D. AzharGhazal
"ye baat un ki tabi'at pe baar guzri hai ki zindagi miri kyon khush-gavaar guzri hai khushi se zindagi-e-gham guzaarne vaalo khizaan tumhaare hi dam se bahaar guzri hai nahin uThaae hain apnon ke bhi kabhi ehsaan hazaar shukr ki begaana-vaar guzri hai dil-e-gharib ko ghar kaa huaa na chain nasib ise to 'umr sar-e-rahguzaar guzri hai nasheman apnaa hai phir barq-o-baad se sarshaar nai bahaar bhi kyaa saazgaar guzri hai koi masarrat-e-lazzat mujhe na dard kaa gham miri to ziist hi mastaana-vaar guzri hai ye saadgi to zaraa dekhiye vo puchhte hain ki zindagi tiri kyon be-qaraar guzri hai main apne daa’vaa-e-ulfat se aaj baaz aayaa guzar gai hai magar sharmsaar guzri hai"
Urdu

یہ بات ان کی طبیعت پہ بار گزری ہے کہ زندگی مری کیوں خوشگوار گزری ہے خوشی سے زندگیٔ غم گزارنے والو خزاں تمہارے ہی دم سے بہار گزری ہے نہیں اٹھائے ہیں اپنوں کے بھی کبھی احساں ہزار شکر کہ بیگانہ وار گزری ہے دل غریب کو گھر کا ہوا نہ چین نصیب اسے تو عمر سر رہ گزار گزری ہے نشیمن اپنا ہے پھر برق و باد سے سرشار نئی بہار بھی کیا سازگار گزری ہے کوئی مسرت لذت مجھے نہ درد کا غم مری تو زیست ہی مستانہ وار گزری ہے یہ سادگی تو ذرا دیکھیے وہ پوچھتے ہیں کہ زندگی تری کیوں بے قرار گزری ہے میں اپنے دعوائے الفت سے آج باز آیا گزر گئی ہے مگر شرمسار گزری ہے

Hindi

ये बात उन की तबी'अत पे बार गुज़री है कि ज़िंदगी मिरी क्यों ख़ुश-गवार गुज़री है ख़ुशी से ज़िंदगी-ए-ग़म गुज़ारने वालो ख़िज़ाँ तुम्हारे ही दम से बहार गुज़री है नहीं उठाए हैं अपनों के भी कभी एहसाँ हज़ार शुक्र कि बेगाना-वार गुज़री है दिल-ए-ग़रीब को घर का हुआ न चैन नसीब इसे तो 'उम्र सर-ए-रहगुज़ार गुज़री है नशेमन अपना है फिर बर्क़-ओ-बाद से सरशार नई बहार भी क्या साज़गार गुज़री है कोई मसर्रत-ए-लज़्ज़त मुझे न दर्द का ग़म मिरी तो ज़ीस्त ही मस्ताना-वार गुज़री है ये सादगी तो ज़रा देखिए वो पूछते हैं कि ज़िंदगी तिरी क्यों बे-क़रार गुज़री है मैं अपने दा'वा-ए-उल्फ़त से आज बाज़ आया गुज़र गई है मगर शर्मसार गुज़री है

ye baat un kī tabī'at pe baar guzrī hai
A. D. Azhar
A. D. Azhar
A. D. Azhar
poet10 quotes

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb