SHAWORDS

ye sitam ik khvaahish-e-mauhum par — Akbar Haideri Kashmiri

"ye sitam ik khvaahish-e-mauhum par lutf farmaa khaatir-e-maghmum par ai masarrat mere gham-khaane se duur ye giraani aur mire maqsum par pursish-e-haalaat-e-gham se darguzar rahm farmaa ab dil-e-marhum par banda-parvar sirf itni arz thi farz kuchh khaadim ke hain makhdum par sabr karti hi rahi be-chaargi zulm hotaa hi rahaa mazlum par kyaa mubassir dida-e-khun-baar thaa tabsira kartaa rahaa maqsum par ik tabassum thaa javaab-e-aarzu vusatein qurbaan huiin mafhum par ibtidaa-e-gham ki dur-andeshiyaan shaad hon anjaam-e-naa-maalum par aaj tak 'akbar' huun main saabit-qadam jaada-e-khuddaari-e-mauhum par"
Urdu

یہ ستم اک خواہش موہوم پر لطف فرما خاطر مغموم پر اے مسرت میرے غم خانے سے دور یہ گرانی اور مرے مقسوم پر پرسش حالات غم سے درگزر رحم فرما اب دل مرحوم پر بندہ پرور صرف اتنی عرض تھی فرض کچھ خادم کے ہیں مخدوم پر صبر کرتی ہی رہی بے چارگی ظلم ہوتا ہی رہا مظلوم پر کیا مبصر دیدۂ خوں بار تھا تبصرہ کرتا رہا مقسوم پر اک تبسم تھا جواب آرزو وسعتیں قرباں ہوئیں مفہوم پر ابتدائے غم کی دور اندیشیاں شاد ہوں انجام نا معلوم پر آج تک اکبرؔ ہوں میں ثابت قدم جادۂ خود دارئ موہوم پر

Hindi

ये सितम इक ख़्वाहिश-ए-मौहूम पर लुत्फ़ फ़रमा ख़ातिर-ए-मग़्मूम पर ऐ मसर्रत मेरे ग़म-ख़ाने से दूर ये गिरानी और मिरे मक़्सूम पर पुर्सिश-ए-हालात-ए-ग़म से दरगुज़र रहम फ़रमा अब दिल-ए-मरहूम पर बंदा-परवर सिर्फ़ इतनी अर्ज़ थी फ़र्ज़ कुछ ख़ादिम के हैं मख़दूम पर सब्र करती ही रही बे-चारगी ज़ुल्म होता ही रहा मज़लूम पर क्या मुबस्सिर दीदा-ए-ख़ूँ-बार था तब्सिरा करता रहा मक़्सूम पर इक तबस्सुम था जवाब-ए-आरज़ू वुसअतें क़ुर्बां हुईं मफ़्हूम पर इब्तिदा-ए-ग़म की दूर-अंदेशियाँ शाद हों अंजाम-ए-ना-मा'लूम पर आज तक 'अकबर' हूँ मैं साबित-क़दम जादा-ए-ख़ुद्दारी-ए-मौहूम पर

ye sitam ik ḳhvāhish-e-mauhūm par
Akbar Haideri Kashmiri
Akbar Haideri Kashmiri
Akbar Haideri Kashmiri
poet25 quotes

More by Akbar Haideri Kashmiri

View all →
Quote
"juzv-o-kul kaa ham is andaaz se rishta samjhe dekh kar qatre ko maahiyyat-e-dariyaa samjhe har adaa teri ham-aahang thi dil se itni har adaa ko tiri ham dil kaa taqaazaa samjhe ham vo khud-bin hain ki hangaama-e-dil ke aage saare hangaama-e-giti ko tamaashaa samjhe ham ko miTTi ke gharondon ki haqiqat maalum jism ki khaak ko ham nafs kaa saaya samjhe ham ki har nisbat-e-mauhum ko apnaate rahe ik shikasta se taalluq ko bhi kitnaa samjhe ustuvaar itnaa huaa rishta-e-aavaaz 'akbar' dil ki dhaDkan ko bhi ham dost kaa lahja samjhe"
Akbar Haideri KashmiriAkbar Haideri Kashmiri
Quote
"kis chaman ki khaak mein phulon kaa mustaqbil nahin durbin nazron mein rang-o-bu hain aab-o-gil nahin shokhiyaan hain jis ki har jumbish mein laakhon be-naqaab kyuun vo duzdida-nigaahi haq-shanaas-e-dil nahin jabr sahtaa huun magar kab tak sahun insaan huun sabr kartaa huun magar dil sabr ke qaabil nahin ai havaadis-aashnaa izaa-talab dil muzda-baad jaa rahaa huun us taraf ab main jidhar manzil nahin kyaa huaa kyuun chhu ke tum ghunche ko pichhe haT gae ye gul-e-nau-khez hai meraa shikasta-dil nahin ai nigaah-e-naaz teri bazm mein laayaa huun main aaj us dil ko jo barq-e-tur kaa qaail nahin bazm-e-husn-o-ishq mein 'akbar' ki afsurda-dili daad ke laaeq nahin be-daad ke qaabil nahin"
Akbar Haideri KashmiriAkbar Haideri Kashmiri
Quote
"yuun sang-dil hayaat se ahd-o-vafaa kiyaa divaar darmiyaan thi magar khud ko vaa kiyaa miTTi kaa rang-o-nur se rishta qadim thaa har baar zindagi ne nayaa tajraba kiyaa the dastaras mein yuun to sab asraar-e-kaaenaat is umr-e-bevafaa ne magar naa-rasaa kiyaa har ajnabi maqaam se tanhaa guzar gae apnaa hi naqsh-e-paa thaa jise rahnumaa kiyaa chamkaa diyaa lahu ne dil-e-tira-jism ko ik sail-e-nur thaa ki ragon mein bahaa kiyaa daanista luT gayaa ye saman-zaar dekhnaa phulon ne nikhaton ko sipurd-e-sabaa kiyaa ye raat raushni ki tamannaa mein bujh gai dil ko ye kis shikast ne be-muddaaa kiyaa yuun to jahaan tamaam hai tufaan-e-rang-o-nur kis aabshaar ne hamein rangin-navaa kiyaa"
Akbar Haideri KashmiriAkbar Haideri Kashmiri
Quote
"ik jal-thal thi kal tak ye zamin ye dasht bhi kal tak dariyaa the ye shor thaa kal ik sannaaTaa ye shahar bhi kal tak sahraa the aaghaaz apnaa vahshat basri anjaam apnaa shorida-sari ham aaj bhi hain badnaam bahut ham kal bhi nihaayat rusvaa the tanhaai-e-zaat kaa saaya hai tanhaai apnaa virsa hai ham aaj bhi hain tanhaa tanhaa ham kal bhi tanhaa tanhaa the maazi ke kharaabon mein bhi kahin lau detaa rahaa suraj apnaa maazi ke kharaabon mein bhi ham ik khvaab-e-jahaan-fardaa the apnaa hi to hai shahkaar-e-amal tahzib kaa ye zindaan 'akbar' ham aaj hain shahron ke qaidi kal tak aavaara-e-sahraa the"
Akbar Haideri KashmiriAkbar Haideri Kashmiri
Quote
"maut us bekas ki ghaayat hi sahi umr bhar jis ne musibat hi sahi husn kaa anjaam dekhein ahl-e-husn ishq meraa be-haqiqat hi sahi zindagi hai chashm-e-ibrat mein abhi kuchh nahin to aish-o-ishrat hi sahi dekh letaa huun tabassum husn kaa gham-parasti meri fitrat hi sahi parda-daar-e-saadgi hai har adaa ye tasanno be-zarurat hi sahi darpai-e-aazaar hai qismat to ho ab mujhe tum se mohabbat hi sahi hur-e-be-jaa ki talaafi kuchh to kar khair izhaar-e-nadaamat hi sahi ai ajal kuchh zindagi kaa haq bhi hai zindagi teri amaanat hi sahi kyaa karun 'akbar' dili jazbaat ko is taghazzul mein qadaamat hi sahi"
Akbar Haideri KashmiriAkbar Haideri Kashmiri
Quote
"aah ai saudaa-e-khaam-e-aarzu taa-ba-kai aakhir nizaam-e-aarzu zabt-e-aah-e-dil-shikan aur main hazin kar rahaa huun ehtiraam-e-aarzu hoshiyaar ai infiaal-e-kaif-zaa husn tak pahunchaa payaam-e-aarzu chashm-e-lutf-aagin nae andaaz se le rahi hai intiqaam-e-aarzu ahl-e-dil zinda hain kis ummid par nazm-e-duniyaa hai nizaam-e-aarzu yaas ki gunjaaishein kis dil mein hain le rahaa hai kaun naam-e-aarzu bazm-e-anjum jab saraapaa-gosh thi kaash tum sunte payaam-e-aarzu aah ab khuddaari-e-akbar kahaan ho gai vo bhi ghulaam-e-aarzu"
Akbar Haideri KashmiriAkbar Haideri Kashmiri

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud