SHAWORDS

ye sitam uf aatish-e-didaar bhaDkaane ke baad — Naresh M. A

HomeNaresh M. AGhazal
"ye sitam uf aatish-e-didaar bhaDkaane ke baad ho gae ru-posh vo ik jalva dikhlaane ke baad aah-e-sozaan kaa shahidon ki asar to dekhiye khud bhi qaatil hai pashemaan qatl farmaane ke baad tere dam se thi bahaar-e-zindagi jaan-e-bahaar zindagi baar-e-garaan hai ab tire jaane ke baad main thaa divaana tiri ik ik adaa kaa fitna-gar phir mujhe kyaa hosh rahtaa aankh laD jaane ke baad aakhiri dam intizaar ab kyaa kisi kaa ai 'naresh' ab koi aae na aae dam nikal jaane ke baad"
Urdu

یہ ستم اف آتش دیدار بھڑکانے کے بعد ہو گئے روپوش وہ اک جلوہ دکھلانے کے بعد آہ سوزاں کا شہیدوں کی اثر تو دیکھیے خود بھی قاتل ہے پشیماں قتل فرمانے کے بعد تیرے دم سے تھی بہار زندگی جان بہار زندگی بار گراں ہے اب ترے جانے کے بعد میں تھا دیوانہ تری اک اک ادا کا فتنہ گر پھر مجھے کیا ہوش رہتا آنکھ لڑ جانے کے بعد آخری دم انتظار اب کیا کسی کا اے نریشؔ اب کوئی آئے نہ آئے دم نکل جانے کے بعد

Hindi

ये सितम उफ़ आतिश-ए-दीदार भड़काने के बाद हो गए रू-पोश वो इक जल्वा दिखलाने के बाद आह-ए-सोज़ाँ का शहीदों की असर तो देखिए ख़ुद भी क़ातिल है पशेमाँ क़त्ल फ़रमाने के बाद तेरे दम से थी बहार-ए-ज़िंदगी जान-ए-बहार ज़िंदगी बार-ए-गराँ है अब तिरे जाने के बाद मैं था दीवाना तिरी इक इक अदा का फ़ित्ना-गर फिर मुझे क्या होश रहता आँख लड़ जाने के बाद आख़िरी दम इंतिज़ार अब क्या किसी का ऐ 'नरेश' अब कोई आए न आए दम निकल जाने के बाद

ye sitam uf ātish-e-dīdār bhaḌkāne ke baad
Naresh M. A
Naresh M. A
Naresh M. A
poet15 quotes

More by Naresh M. A

View all →
Quote
"mausam-e-gul aa gayaa saaghar uThaa saaqiyaa ab zindagi ke giit gaa ab na rah rah kar sitamgar yaad aa yuun na fitna-gar mujhe paiham sataa ai ajal ab kyaa hai tujh ko intizaar mujh ko teri justuju hai khuub aa de rahe hain is qadar dhoke nadim uTh gai ho jaise duniyaa se vafaa ittifaaqan lab pe shikve aa gae ye nahin thaa varna meraa muddaaa ab hamein dair-o-haram se kyaa gharaz ishq dil mein bas gayaa hai aap kaa mujh pe phir farmaaeinge vo mashq-e-naaz phir miraa soyaa muqaddar jaag uThaa yaad mein barson kisi ki ai 'naresh' main lahu shaam-o-sahar rotaa rahaa"
Naresh M. ANaresh M. A
Quote
"saaghar ki kahaani bhuul gae shishe kaa fasaana bhuul gae jis vaqt laDi saaqi se nazar ham jaam uThaanaa bhuul gae ham mahv-e-nazaara kyaa hote ai dost bhalaa is mahfil mein jis bazm mein hosh-o-khirad kho kar ham hosh mein aanaa bhuul gae hai daar-o-madaar-e-ranj-o-sukun is dil kaa un ki marzi par jis vaqt zaraa hans hans ke mile ham haal sunaanaa bhuul gae sochaa thaa vo khvaab mein aaeinge ji bhar ke karungaa shikve gile afsos ki ye bhi ho na sakaa vo khvaab mein aanaa bhuul gae furqat mein 'naresh'-e-khasta-jaan ko is tarah jo taDpaate ho duzdida-nigaahi se apni kyaa barq giraanaa bhuul gae"
Naresh M. ANaresh M. A
Quote
"koi baada-kash jise mai-kashi kaa tariq-e-khaas na aa sakaa gham-e-zindagi ki kashaa-kashon se kabhi najaat na paa sakaa ye muqaddaraat ke shoabde ye mire nasib ye bebasi ki vo puchhne bhi lage kabhi to main dard-e-dil na sunaa sakaa miri hamsari kaa khayaal kyaa miri ham-rahi kaa savaal kyaa rah-e-ishq kaa koi raah-rau miri gard ko bhi na paa sakaa zar-o-sim shohrat-o-martaba mujhe is jahaan mein milaa na kyaa magar ek shai thi sukun-e-dil jo main zindagi mein na paa sakaa miri guftugu mein vo zor thaa ki sukhan-shanaas the dam-ba-khud magar un ki mahfil-e-naaz mein main zabaan tak na hilaa sakaa kabhi aandhiyon ne uDaa diyaa kabhi bijliyon ne jalaa diyaa kisi haal mein miraa aashiyaan mujhe aah raas na aa sakaa kahin doston ki tasalliyon se hui hai dard mein kuchh kami ye to ek kahne ki baat hai koi gham hai kis kaa baTaa sakaa use ai 'naresh' main kyaa kahun jo kahun na ishq kaa moajiza ki gham-e-jahaan to gham-e-jahaan mujhe aasmaan na miTaa sakaa"
Naresh M. ANaresh M. A

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi