Quote
"mausam-e-gul aa gayaa saaghar uThaa saaqiyaa ab zindagi ke giit gaa ab na rah rah kar sitamgar yaad aa yuun na fitna-gar mujhe paiham sataa ai ajal ab kyaa hai tujh ko intizaar mujh ko teri justuju hai khuub aa de rahe hain is qadar dhoke nadim uTh gai ho jaise duniyaa se vafaa ittifaaqan lab pe shikve aa gae ye nahin thaa varna meraa muddaaa ab hamein dair-o-haram se kyaa gharaz ishq dil mein bas gayaa hai aap kaa mujh pe phir farmaaeinge vo mashq-e-naaz phir miraa soyaa muqaddar jaag uThaa yaad mein barson kisi ki ai 'naresh' main lahu shaam-o-sahar rotaa rahaa"
