SHAWORDS

zabt kaa jitnaa asaasa hai uThaae jaaeinge — Mehboob Rahi

HomeMehboob RahiGhazal
"zabt kaa jitnaa asaasa hai uThaae jaaeinge ab mahaajan karb ke mujh se na Taale jaaeinge haq-paraston se salibon ko sajaayaa jaaegaa aur kabhi sar un ke nezon par uchhaale jaaeinge reza-reza khvaahishein aur aarzuein zakhm-zakhm mere ghar se jaane vaale aur kyaa le jaaeinge hai vahaan to sirf sikkon ki numaaish kaa chalan aap us baazaar mein naqd-e-vafaa le jaaeinge dil kaa sonaa ruup ki chaandi javaani kaa nikhaar vaqt ke qazzaaq aa kar sab uThaa le jaaeinge phuul chaahat ke bichhaate jaaeinge har raah mein nafraton ke khaar ai 'raahi' uThaa le jaaeinge"
Urdu

ضبط کا جتنا اثاثہ ہے اٹھائے جائیں گے اب مہاجن کرب کے مجھ سے نہ ٹالے جائیں گے حق پرستوں سے صلیبوں کو سجایا جائے گا اور کبھی سر ان کے نیزوں پر اچھالے جائیں گے ریزہ ریزہ خواہشیں اور آرزوئیں زخم زخم میرے گھر سے جانے والے اور کیا لے جائیں گے ہے وہاں تو صرف سکوں کی نمائش کا چلن آپ اس بازار میں نقد وفا لے جائیں گے دل کا سونا روپ کی چاندی جوانی کا نکھار وقت کے قزاق آ کر سب اٹھا لے جائیں گے پھول چاہت کے بچھاتے جائیں گے ہر راہ میں نفرتوں کے خار اے راہیؔ اٹھا لے جائیں گے

Hindi

ज़ब्त का जितना असासा है उठाए जाएँगे अब महाजन कर्ब के मुझ से न टाले जाएँगे हक़-परस्तों से सलीबों को सजाया जाएगा और कभी सर उन के नेज़ों पर उछाले जाएँगे रेज़ा-रेज़ा ख़्वाहिशें और आरज़ूएँ ज़ख़्म-ज़ख़्म मेरे घर से जाने वाले और क्या ले जाएँगे है वहाँ तो सिर्फ़ सिक्कों की नुमाइश का चलन आप उस बाज़ार में नक़्द-ए-वफ़ा ले जाएँगे दिल का सोना रूप की चाँदी जवानी का निखार वक़्त के क़ज़्ज़ाक़ आ कर सब उठा ले जाएँगे फूल चाहत के बिछाते जाएँगे हर राह में नफ़रतों के ख़ार ऐ 'राही' उठा ले जाएँगे

zabt kā jitnā asāsa hai uThā.e jā.eñge
Mehboob Rahi
Mehboob Rahi
Mehboob Rahi
poet22 quotes

More by Mehboob Rahi

View all →
Quote
"altaaf-o-karam ghaiz-o-ghazab kuchh bhi nahin hai thaa pahle bahut kuchh magar ab kuchh bhi nahin hai barsaat ho suraj se samundar se uge aag mumkin hai har ik baat ajab kuchh bhi nahin hai dil hai ki haveli koi sunsaan si jis mein khvaahish hai na hasrat na talab kuchh bhi nahin hai ab ziist bhi ik lamha-e-saakit hai ki jis mein hangaama-e-din garmi-e-shab kuchh bhi nahin hai sab quvvat-e-baazu ke karishmaat hain 'raahi' kyaa chiiz hai ye naam-o-nasab kuchh bhi nahin hai"
Mehboob RahiMehboob Rahi
Quote
"kyaa koi ganj-e-giraan-maaya chhupaa hai mujh mein khojne vaale tu kyaa khoj rahaa hai mujh mein main to khaamosh huun haalaat ki saffaaki par jaane phir kaun hai jo chikh rahaa hai mujh mein jis se ho paai na taa-haal shanaasaai miri log kahte hain ki ik zehn-e-rasaa hai mujh mein phir masaail ke yazid aae hain bai'at lene garm phir maarka-e-karb-o-balaa hai mujh mein dosto mujh ko khangaaloge kahaan tak aakhir maa-sivaa-karb bhalaa dusraa kyaa hai mujh mein na koi dard na ehsaas na jazba na umang ye bhi 'raahi' koi jiine ki adaa hai mujh mein"
Mehboob RahiMehboob Rahi
Quote
"hangaama shahr-e-jaan mein musalsal lahu se hai ehsaas mein hai jitni bhi halchal lahu se hai shaadaabiyaan usi ki badaulat hain ruuh mein hai regzaar-e-jism jo jal-thal lahu se hai saabit huaa ki detaa hai tu ye bhi aag si saabit huaa ye soz-e-musalsal lahu se hai khaake sabhi adhure hain sab naqsh naa-tamaam duniyaa mein jo bhi kuchh hai mukammal lahu se hai qaaem hai us se aariz-e-gulgun ki dilkashi rangin rukh-e-hayaat kaa aanchal lahu se hai daanishvari lahu se mili ek shakhs ko ik aur shakhs hai ki jo paagal lahu se hai 'raahi' vagarna zehn hai taarikiyon kaa ghar raushan khayaal-o-fikr ki mashal lahu se hai"
Mehboob RahiMehboob Rahi
Quote
"shoalon mein gham-e-zaat ki jhulsaayaa huaa saa har paikar-e-ehsaas hai murjhaayaa huaa saa har shakhs hai auhaam ke aaseb ke haathon sahmaa huaa simTaa huaa ghabraayaa huaa saa har zehn jo firdaus-e-takhayyul thaa kisi din lagtaa hai jahannum koi dahkaayaa huaa saa sadiyon se main jiine ki sazaa kaaT rahaa huun saanson ki salibon pe huun laTkaayaa huaa saa har shakhs hai be-mehri-e-haalaat se har-dam ruThaa huaa biphraa huaa jhallaayaa huaa saa sahraaon mein nafrat ke bhaTaktaa huun musalsal do ghunT ko chaahat ke huun tarsaayaa huaa saa kyaa paaegaa phir vusat-e-afkaar ki 'raahi' roTi ke jhamelon mein hai uljhaayaa huaa saa"
Mehboob RahiMehboob Rahi
Quote
"ik e'tidaal azal-taa-abad zaruri hai har ek shai mein tavaazun ashad zaruri hai agar bigaaD na aae bataaoge kyunkar har ik qubul se pahle to rad zaruri hai vo zulm-o-jaur ho yaa sabr-o-zabt jo bhi ho miyaan sabhi ke liye ek had zaruri hai guzaarishaat pe bhi jab navaazishaat na hon mutaalibaat mein tab shadd-o-mad zaruri hai vo sab ki jis ki zarurat kabhi na samjhi gai hamaare daur mein vo sad-ba-sad zaruri hai sabhi ke saath munaasib nahin hai ek si baat azizo tafraqa-e-nek-o-bad zaruri hai jo chaahte ho ki fan par ho dastaras 'raahi' nigaah-e-naqd-o-shuur-o-khirad zaruri hai"
Mehboob RahiMehboob Rahi

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil