SHAWORDS

zakhm risne lagaa hai phir shaayad — Khalid Sharif

HomeKhalid SharifGhazal
"zakhm risne lagaa hai phir shaayad yaad us ne kiyaa hai phir shaayad siskiyaan gunjti hain kaanon mein ghar kisi kaa jalaa hai phir shaayad haasil-e-umr kyaa yahi kuchh hai ye abhi sochnaa hai phir shaayad dar-e-zindaan pe phir hui dastak koi dard-aashnaa hai phir shaayad phir parinde uDe hain shaakhon se ik dhamaaka huaa hai phir shaayad muskuraate hain dekh dekh ke log imtihaan-e-vafaa hai phir shaayad"
Urdu

زخم رسنے لگا ہے پھر شاید یاد اس نے کیا ہے پھر شاید سسکیاں گونجتی ہیں کانوں میں گھر کسی کا جلا ہے پھر شاید حاصل عمر کیا یہی کچھ ہے یہ ابھی سوچنا ہے پھر شاید در زنداں پہ پھر ہوئی دستک کوئی درد آشنا ہے پھر شاید پھر پرندے اڑے ہیں شاخوں سے اک دھماکہ ہوا ہے پھر شاید مسکراتے ہیں دیکھ دیکھ کے لوگ امتحان وفا ہے پھر شاید

Hindi

ज़ख़्म रिसने लगा है फिर शायद याद उस ने किया है फिर शायद सिसकियाँ गूँजती हैं कानों में घर किसी का जला है फिर शायद हासिल-ए-उम्र क्या यही कुछ है ये अभी सोचना है फिर शायद दर-ए-ज़िंदाँ पे फिर हुई दस्तक कोई दर्द-आश्ना है फिर शायद फिर परिंदे उड़े हैं शाख़ों से इक धमाका हुआ है फिर शायद मुस्कुराते हैं देख देख के लोग इम्तिहान-ए-वफ़ा है फिर शायद

zaḳhm risne lagā hai phir shāyad
Khalid Sharif
Khalid Sharif
Khalid Sharif
poet19 quotes

More by Khalid Sharif

View all →
Quote
"mehrbaan koi nazar aae to samjhun tu hai phuul mahkein to ye jaanon ki tiri khushbu hai aql taslim nahin karti pe dil maantaa hai vo koi moajaza hai vahm hai yaa jaadu hai ab tiraa zikr kareinge na tujhe yaad kabhi haan magar dil ke dhaDakne pe kise qaabu hai kuchh mizaaj apnaa hi begaana huaa jaataa hai varna us shakhs ki to narm-ravi ki khu hai gham rag-o-pai mein utartaa hai lahu ki surat dard palkon pe laraztaa huaa ik aansu hai aaj kuchh rang digar hai mire ghar kaa 'khaalid' sochtaa huun ye tiri yaad hai yaa khud tu hai"
Khalid SharifKhalid Sharif
Quote
"vo to gayaa ab apni anaa ko sameT le ai gham-gusaar dast-e-duaa ko sameT le baalon mein apne Daal le ab khaak-e-ku-e-yaar baanhon mein us gali ki havaa ko sameT le miTTi ki ik lakir bhi kah degi daastaan chalne kaa shauq hai to ridaa ko sameT le in aablon ki raushni bhaTkegi shahr mein ai kucha-gard gardish-e-paa ko sameT le lafzon ko tark kar de ki in ko nahin sabaat aankhon mein aaj apni vafaa ko sameT le bas ek chup hi tere labon par saji rahe bas apne dil mein sail-e-balaa ko sameT le 'khaalid' kabhi to tazkira-e-jaan sunaa hamein apni sadaa mein khauf-e-sadaa ko sameT le"
Khalid SharifKhalid Sharif
Quote
"jis ko paa kar ham ye samjhe the ki kuchh khoyaa nahin vo jo bachhDaa hai to jaise koi bhi apnaa nahin vo abhi shaadaab hai jangal ke phulon ki tarah us ke chehre par gae mausam ne kuchh likkhaa nahin aaj se ik dusre ko qatl karnaa hai hamein tu miraa paikar nahin hai main tiraa saaya nahin main ne kaise pyaare pyaare log saunpe the tujhe ai gham-e-jaan ai gham-e-jaan ye miri duniyaa nahin main use kaise pukaaron kis tarah aavaaz duun jis ko apnaa kah na paaun aur begaana nahin aa ki pahle aablon ke zakhm hi taaza karein ai mire zauq-e-safar ab koi bhi sahraa nahin ham-safar bhi thaa magar izn-e-shanaasaai na thaa vo mire pahlu mein thaa aur main ne pahchaanaa nahin"
Khalid SharifKhalid Sharif
Quote
"use to kho hi chuke phir khayaal kyaa us kaa ye fikr kaisi ki phir hogaa haal kyaa us kaa vo ek shakhs jise khud hi chhoD baiThe hain ghulaae detaa hai dil ko malaal kyaa us kaa tumhaari aankhon mein chhalkin nadaamatein kaise javaab banne lagaa kyaa savaal kyaa us kaa vo nafraton ke bhanvar mein bhi muskuraa ke milaa ab is se baDh ke bhalaa ho kamaal kyaa us kaa use to jaan se bhi apni aziz-tar rakhiye jo zakhm khud hi lage indimaal kyaa us kaa ab is tarah bhi na yaadon ki kirchiyaan chuniye na thaa firaaq se behtar visaal kyaa us kaa ye soch kar na use phir kabhi mile 'khaalid' ki jaane hogaa nadaamat se haal kyaa us kaa"
Khalid SharifKhalid Sharif

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer