SHAWORDS

zamin pe bojh banaa main bhi zindagi ki tarah — Maroof Chaudhary

"zamin pe bojh banaa main bhi zindagi ki tarah khud apne shahr mein phirtaa huun ajnabi ki tarah jhulasti dhuup mein har samt bhaagte saae na jaane baiTheinge kab mil ke aadmi ki tarah mire chaman kaa ‘ajab haal hai ki barson se sabaa gulon se bhi milti hai ajnabi ki tarah main uTh to jaaun magar teri rah-guzar ai dost ujaD na jaae kahin meri zindagi ki tarah ye aarzu hai rafiqo ki in havaadis se tumhaare dil mein paDe dard aagahi ki tarah"
Urdu

زمیں پہ بوجھ بنا میں بھی زندگی کی طرح خود اپنے شہر میں پھرتا ہوں اجنبی کی طرح جھلستی دھوپ میں ہر سمت بھاگتے سائے نہ جانے بیٹھیں گے کب مل کے آدمی کی طرح مرے چمن کا عجب حال ہے کہ برسوں سے صبا گلوں سے بھی ملتی ہے اجنبی کی طرح میں اٹھ تو جاؤں مگر تیری رہگزر اے دوست اجڑ نہ جائے کہیں میری زندگی کی طرح یہ آرزو ہے رفیقو کہ ان حوادث سے تمہارے دل میں پڑے درد آگہی کی طرح

Hindi

ज़मीं पे बोझ बना मैं भी ज़िंदगी की तरह ख़ुद अपने शहर में फिरता हूँ अजनबी की तरह झुलसती धूप में हर सम्त भागते साए न जाने बैठेंगे कब मिल के आदमी की तरह मिरे चमन का ‘अजब हाल है कि बरसों से सबा गुलों से भी मिलती है अजनबी की तरह मैं उठ तो जाऊँ मगर तेरी रहगुज़र ऐ दोस्त उजड़ न जाए कहीं मेरी ज़िंदगी की तरह ये आरज़ू है रफ़ीक़ो कि इन हवादिस से तुम्हारे दिल में पड़े दर्द आगही की तरह

zamīñ pe bojh banā maiñ bhī zindagī kī tarah
M
Maroof Chaudhary
Maroof Chaudhary
poet1 quotes

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi