SHAWORDS

ziist be-aasraa na ho jaae — Dr. Naresh

HomeDr. NareshGhazal
"ziist be-aasraa na ho jaae dard dil se judaa na ho jaae lutf aataa hai ranj sahne mein mere gham ki davaa na ho jaae aa rahi hai bahaar phulon par josh-e-vahshat sivaa na ho jaae kah to duun haal-e-dil use lekin Dar hai zaalim khafaa na ho jaae khauf hai mujh se aankh laDte hi un ki shokhi hayaa na ho jaae vo gurezaan se hain sitam se 'naresh' zindagi be-maza na ho jaae"
Urdu

زیست بے آسرا نہ ہو جائے درد دل سے جدا نہ ہو جائے لطف آتا ہے رنج سہنے میں میرے غم کی دوا نہ ہو جائے آ رہی ہے بہار پھولوں پر جوش وحشت سوا نہ ہو جائے کہہ تو دوں حال دل اسے لیکن ڈر ہے ظالم خفا نہ ہو جائے خوف ہے مجھ سے آنکھ لڑتے ہی ان کی شوخی حیا نہ ہو جائے وہ گریزاں سے ہیں ستم سے نریشؔ زندگی بے مزہ نہ ہو جائے

Hindi

ज़ीस्त बे-आसरा न हो जाए दर्द दिल से जुदा न हो जाए लुत्फ़ आता है रंज सहने में मेरे ग़म की दवा न हो जाए आ रही है बहार फूलों पर जोश-ए-वहशत सिवा न हो जाए कह तो दूँ हाल-ए-दिल उसे लेकिन डर है ज़ालिम ख़फ़ा न हो जाए ख़ौफ़ है मुझ से आँख लड़ते ही उन की शोख़ी हया न हो जाए वो गुरेज़ाँ से हैं सितम से 'नरेश' ज़िंदगी बे-मज़ा न हो जाए

ziist be-āsrā na ho jaa.e
Dr. Naresh
Dr. Naresh
Dr. Naresh
poet27 quotes

More by Dr. Naresh

View all →
Quote
"tujh pe donon nisaar hain qaatil jaan-e-muztar ho yaa dil-e-bismil qahr hai qahr-e-ishq ki manzil har qadam aag hai nai mushkil ho gae dekh kar vo aaina apni surat pe aap hi maail gham se aazaad kar diyaa ham ko kyon na pir-e-mughaan ke hon qaail kis qadar dil-kushaa fazaa hogi aap jab honge zinat-e-mahfil aadmiyyat ko naaz thaa jin par ab vo daanaa rahe na vo 'aaqil chaara-saazi mariz-e-ulfat ki aap ke vaaste nahin mushkil aarzuon mein mach gai halchal kaun ye yaad aa gayaa ai dil tu ubhaare jo ham ko pasti se tujh ko yaarab nahin koi mushkil haae jo baat bhi kahi main ne zer-e-lab tu ne kah diyaa mohmil kyaa bharosa karein kisi pe 'naresh' aadmi aadmi kaa hai qaatil"
Dr. NareshDr. Naresh
Quote
"vo jo mahfil mein khuub hanstaa thaa haae vo shakhs kitnaa tanhaa thaa chup kaa ye tajraba bhi kaisaa thaa saaraa ghar saaein saaein kartaa thaa tum se ruThaa to thaa zarur magar khud se Dar kar main ghar se bhaagaa thaa jitne aansu the mere apne the aur har qahqaha paraayaa thaa husn kyaa zehn ki zarurat thi ishq kyaa jism kaa taqaazaa thaa pak chuki fasl kaaT ab is ko khet vahmon kaa tu ne boyaa thaa tum ne jis ki duaaein maangi thiin abr vo parbaton pe barsaa thaa mere andar kaa main visaal ki shab mujh se bhi tez tez dauDaa thaa haae vo din 'naresh' jab us ne khat na likhiye ye khat mein likkhaa thaa"
Dr. NareshDr. Naresh
Quote
"yuun ba-zaahir dekhne mein go ki be chehra huun main mujh mein apne khaal-o-khat dekho ki aaina huun main jazba-e-sahra-navardi thak ke kab ruktaa huun main paanv se kaanTaa nikalne de abhi chaltaa huun main haal zahr-aalud maazi faut mustaqbil siyaah aaj ke insaan ki taqdir paDh saktaa huun main mai-kashi to kyaa bujhaa paaegi meri tishnagi dijiye mujh ko samundar pyaas kaa sahraa huun main vo khayaalon mein barahna jism kyaa aae 'naresh' raat bhar apne badan ki aanch se sulgaa huun main"
Dr. NareshDr. Naresh
Quote
"zikr-e-maazi se shab-o-roz sataate hain mujhe mere ahbaab hi divaana banaate hain mujhe main to ik jumla-e-baa-maani-o-baa-matlab huun aur vo harf-e-ghalat kah ke miTaate hain mujhe ek be-rabt taalluq kaa sahaaraa le kar log kyaa ishq ke andaaz sikhaate hain mujhe jo the apne hi khad-o-khaal se ghaafil kal tak aaj vo log bhi aaina dikhaate hain mujhe kuchh tabiat hi baghaavat ki taraf maail hai varna maikhaane ke aadaab to aate hain mujhe kuchh taalluq koi nisbat nahin lekin phir bhi ai 'naresh' aaj sunaa hai ki banaate hain mujhe"
Dr. NareshDr. Naresh

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb