SHAWORDS

zindagi bhar shikast khaai hai — Bazm Ansari

HomeBazm AnsariGhazal
"zindagi bhar shikast khaai hai ab mohabbat samajh mein aai hai dil kaa milnaa khushi ki baat sahi ye khushi kis ko raas aai hai gar hamein hai junun-e-dida-vari un ko kyuun shauq-e-khud-numaai hai ham jidhar hain faqat hai naam-e-khudaa vo jidhar hain udhar khudaai hai ik mulaaqaat mein hai ye aalam jaise barson ki aashnaai hai baat tark-e-anaa tak aa pahunchi ghairat-e-dil tiri duhaai hai 'bazm' samjhe the sarsari jis ko vo mulaaqaat rang laai hai"
Urdu

زندگی بھر شکست کھائی ہے اب محبت سمجھ میں آئی ہے دل کا ملنا خوشی کی بات سہی یہ خوشی کس کو راس آئی ہے گر ہمیں ہے جنون دیدہ وری ان کو کیوں شوق خودنمائی ہے ہم جدھر ہیں فقط ہے نام خدا وہ جدھر ہیں ادھر خدائی ہے اک ملاقات میں ہے یہ عالم جیسے برسوں کی آشنائی ہے بات ترک انا تک آ پہنچی غیرت دل تری دہائی ہے بزمؔ سمجھے تھے سرسری جس کو وہ ملاقات رنگ لائی ہے

Hindi

ज़िंदगी भर शिकस्त खाई है अब मोहब्बत समझ में आई है दिल का मिलना ख़ुशी की बात सही ये ख़ुशी किस को रास आई है गर हमें है जुनून-ए-दीदा-वरी उन को क्यूँ शौक़-ए-ख़ुद-नुमाई है हम जिधर हैं फ़क़त है नाम-ए-ख़ुदा वो जिधर हैं उधर ख़ुदाई है इक मुलाक़ात में है ये आलम जैसे बरसों की आश्नाई है बात तर्क-ए-अना तक आ पहुँची ग़ैरत-ए-दिल तिरी दुहाई है 'बज़्म' समझे थे सरसरी जिस को वो मुलाक़ात रंग लाई है

zindagī bhar shikast khaa.ī hai
Bazm Ansari
Bazm Ansari
Bazm Ansari
poet19 quotes

More by Bazm Ansari

View all →
Quote
"rafu-e-daaman-e-sad-taar-taar rahne de jo rah gai hai vahi yaadgaar rahne de vafaa nahin na sahi rishta-e-jafaa hi sahi vo raabta to koi barqaraar rahne de vo baat kar ki jo mere liye 'ajib na ho main aur tujh ko miraa intizaar rahne de hamaaraa haal sar-e-raah puchhne vaale ye iltifaat sar-e-rahguzaar rahne de miri shikast-e-anaa kaa khayaal kar zaalim bharam kuchh ai dil-e-be-ikhtiyaar rahne de ye dil hi 'bazm' abhi laaiq-e-muraad nahin abhi kuchh aur ise be-qaraar rahne de"
Bazm AnsariBazm Ansari
Quote
"kyaa kam hai ye bhi vaa'da-e-fardaa kiyaa to hai aae na aae us ne miraa dil rakhaa to hai dil khuun ho gayaa hai magar raaegaan nahin raushan mire lahu se charaagh-e-vafaa to hai be-naakhudaa bhi paar utarti hain kashtiyaan vo jin kaa naakhudaa nahin un kaa khudaa to hai vo us kaa muskuraa ke miraa haal puchhnaa ik haadisa sahi sar-e-raahe huaa to hai ai rahravaan-e-raah-e-mohabbat chale chalo manzil kaa kyaa mile na mile raasta to hai haalaat saazgaar nahin hain to kyaa huaa tufaan naa-guzir sahi hausla to hai har daur se hai 'bazm' 'ibaarat miri ghazal dekhaa nahin jo daur vo aakhir paDhaa to hai"
Bazm AnsariBazm Ansari
Quote
"tumhaare husn ko daad-e-jamaal di main ne khilaa jo phuul tumhaari misaal di main ne kashaan kashaan miri manzil pe aa rahaa hai koi kisi ke paanv mein zanjir Daal di main ne na kajravi ki shikaayat na be-rukhi kaa gila jo dil mein thi vo tavaqqo' nikaal di main ne ajiib kashmakash-e-go-mago se guzraa huun chhiDaa jo zikr tiraa baat Taal di main ne duaaein de mujhe sher-o-sukhan ke saanche mein kahaan kahaan tiri tasvir Dhaal di main ne main 'bazm' soz-e-taghaaful se jal bujhaa lekin use na zahmat-e-fikr-o-khayaal di main ne"
Bazm AnsariBazm Ansari
Quote
"dil gayaa shokhi-e-guftaar kahaan se laaun ab vo pairaaya-e-izhaar kahaan se laaun qissa-e-gardish-e-dauraan se abhi hosh nahin daastaan-e-lab-o-rukhsaar kahaan se laaun iltijaa ke liye apnon se takalluf hai mujhe sheva-e-minnat-e-aghyaar kahaan se laaun shirkat-e-ghair mohabbat mein gavaaraa kar luun is qadar jazba-e-isaar kahaan se laaun aatish-e-hijr ke tapte hue sahraaon mein raahat-e-saaya-e-divaar kahaan se laaun tu hai nazdik-e-rag-e-jaan magar ai husn-e-tamaam teraa jalva tiraa didaar kahaan se laaun 'bazm' mohlat nahin dete mujhe afkaar-e-jahaan fursat-e-kasrat-e-ashaar kahaan se laaun"
Bazm AnsariBazm Ansari

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi