SHAWORDS

zindagi kaa singhaar hain ham log — Hamid Lateef

HomeHamid LateefGhazal
"zindagi kaa singhaar hain ham log yaani jaan-e-bahaar hain ham log apni taqdir khud banaai hai apne parvardigaar hain ham log ai khudaa apni pahli ghalati par aaj tak sharmsaar hain ham log saaraa aalam thaa muntazir apnaa haasil-e-intizaar hain ham log be-sutun kyaa hai kuchh nahin 'haamid' tesha-e-aab-daar hain ham log"
Urdu

زندگی کا سنگھار ہیں ہم لوگ یعنی جان بہار ہیں ہم لوگ اپنی تقدیر خود بنائی ہے اپنے پروردگار ہیں ہم لوگ اے خدا اپنی پہلی غلطی پر آج تک شرمسار ہیں ہم لوگ سارا عالم تھا منتظر اپنا حاصل انتظار ہیں ہم لوگ بے ستوں کیا ہے کچھ نہیں حامدؔ تیشۂ آب دار ہیں ہم لوگ

Hindi

ज़िंदगी का सिंघार हैं हम लोग या'नी जान-ए-बहार हैं हम लोग अपनी तक़दीर ख़ुद बनाई है अपने परवरदिगार हैं हम लोग ऐ ख़ुदा अपनी पहली ग़लती पर आज तक शर्मसार हैं हम लोग सारा आलम था मुंतज़िर अपना हासिल-ए-इंतिज़ार हैं हम लोग बे-सुतूँ क्या है कुछ नहीं 'हामिद' तेशा-ए-आब-दार हैं हम लोग

zindagī kā siñghār haiñ ham log
Hamid Lateef
Hamid Lateef
Hamid Lateef
poet8 quotes

More by Hamid Lateef

View all →
Quote
"kis qadar hai ravaan-davaan khushbu ho gai thak ke nim-jaan khushbu jab chalaa qaafila bahaaron kaa ban gai mir-e-kaarvaan khushbu aai hai itr-bez jhonke si un ke paikar ki mehrbaan khushbu rang leti hain apne jism tamaam jazb karti hain titliyaan khushbu bhaari hai anginat gulaabon par adh-khile jism ki javaan khushbu kitni khaamoshi se milaati hai jism se jism jaan se jaan khushbu sau zabaanon mein baat karti hai vasl ki raat hai zabaan khushbu narm sargoshiyaan sunaati hai garm saanson ke darmiyaan khushbu un ke qadmon ko chumti 'haamid' jaa chuki hai kahaan kahaan khushbu"
Hamid LateefHamid Lateef
Quote
"har baat kaa javaab saa hai bhi nahin bhi hai chehra tiraa kitaab saa hai hai bhi nahin bhi hai dekhaa hai us ko par nahin dekhaa bataaein kyaa us rukh par ik naqaab saa hai bhi nahin bhi hai karnaa to chaahte hain bahut kuchh agar magar zehnon mein inqalaab saa hai bhi nahin bhi hai kah to diyaa hai ham ne sar-e-bazm haal-e-dil sun kar vo laa-javaab saa hai bhi nahin bhi hai aanaa to chaahte hain mire paas vo magar un ko kuchh ijtinaab saa hai bhi nahin bhi hai vo mahv-e-guftugu ho to lagtaa hai yuun mujhe bajtaa huaa rabaab saa hai bhi nahin bhi hai us ki gali mein haal har ik naa-muraad kaa mujh khaanumaan-kharaab saa hai bhi nahin bhi hai vo ham ko mil gae hain mile hain magar kahaan ik darmiyaan hijaab saa hai bhi nahin bhi hai 'haamid' nasha sharaab saa hai bhi nahin bhi hai saaghar mein aaftaab saa hai bhi nahin bhi hai"
Hamid LateefHamid Lateef
Quote
"har baat kaa javaab saa hai bhi nahin bhi hai chehra tiraa kitaab saa hai bhi nahin bhi hai dekhaa hai us ko par nahin dekhaa bataaein kyaa us rukh par ik naqaab saa hai bhi nahin bhi hai karnaa to chaahte hain bahut kuchh agar magar zehnon mein inqalaab saa hai bhi nahin bhi hai kah to diyaa hai ham ne sar-e-bazm haal-e-dil sun kar vo laa-javaab saa hai bhi nahin bhi hai aanaa to chaahte hain mire paas vo magar un ko kuchh ijtinaab saa hai bhi nahin bhi hai vo mahv-e-guftugu ho to lagtaa hai yuun mujhe bajtaa huaa rabaab saa hai bhi nahin bhi hai us ki gali mein haal har ik naa-muraad kaa mujh khaanumaan-kharaab saa hai bhi nahin bhi hai vo ham ko mil gae hain mile hain magar kahaan ik darmiyaan hijaab saa hai bhi nahin bhi hai 'haamid' nasha sharaab saa hai bhi nahin bhi hai saaghar mein aaftaab saa hai bhi nahin bhi hai"
Hamid LateefHamid Lateef
Quote
"gar mujh se khafaa ho to sazaa kyon nahin dete mujh ko bhari mahfil se uThaa kyon nahin dete hotaa hai faqat jin se andheron mein izaafa tum aise charaaghon ko bujhaa kyon nahin dete bimaar tumhaare lab-e-dam hain zaraa dekho tum kaise masihaa ho davaa kyon nahin dete vo jins-e-giraan jis ko vafaa kahti hai duniyaa baazaar mein bikti hai to laa kyon nahin dete rahte ho rag-e-jaan se bhi nazdik ye maanaa tum DhunDne vaalon ko pataa kyon nahin dete mahfil mein jo haal-e-dil-e-pur-dard tumhaaraa vo puchh rahaa hai to bataa kyon nahin dete 'haamid' tumhein manzil kaa pataa jis ne bataayaa tum aise musaafir ko duaa kyon nahin dete"
Hamid LateefHamid Lateef

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi