"kuchh to aakhir mujhe bataa kyaa hai meri qismat kaa faisla kyaa hai aql koi javaab de na saki dil se puchho ki chaahtaa kyaa hai tu agar mehrbaan ho mujh par dard kyaa chiiz hai davaa kyaa hai teri rusvaai meri badnaami ishq ki aur intihaa kyaa hai tu mujhe apne dar se duur na kar aur 'haamid' ki iltijaa kyaa hai"
har baat kaa javaab saa hai bhi nahin bhi hai — Hamid Lateef
"har baat kaa javaab saa hai bhi nahin bhi hai chehra tiraa kitaab saa hai hai bhi nahin bhi hai dekhaa hai us ko par nahin dekhaa bataaein kyaa us rukh par ik naqaab saa hai bhi nahin bhi hai karnaa to chaahte hain bahut kuchh agar magar zehnon mein inqalaab saa hai bhi nahin bhi hai kah to diyaa hai ham ne sar-e-bazm haal-e-dil sun kar vo laa-javaab saa hai bhi nahin bhi hai aanaa to chaahte hain mire paas vo magar un ko kuchh ijtinaab saa hai bhi nahin bhi hai vo mahv-e-guftugu ho to lagtaa hai yuun mujhe bajtaa huaa rabaab saa hai bhi nahin bhi hai us ki gali mein haal har ik naa-muraad kaa mujh khaanumaan-kharaab saa hai bhi nahin bhi hai vo ham ko mil gae hain mile hain magar kahaan ik darmiyaan hijaab saa hai bhi nahin bhi hai 'haamid' nasha sharaab saa hai bhi nahin bhi hai saaghar mein aaftaab saa hai bhi nahin bhi hai"
ہر بات کا جواب سا ہے بھی نہیں بھی ہے چہرہ ترا کتاب سا ہے ہے بھی نہیں بھی ہے دیکھا ہے اس کو پر نہیں دیکھا بتائیں کیا اس رخ پر اک نقاب سا ہے بھی نہیں بھی ہے کرنا تو چاہتے ہیں بہت کچھ اگر مگر ذہنوں میں انقلاب سا ہے بھی نہیں بھی ہے کہہ تو دیا ہے ہم نے سر بزم حال دل سن کر وہ لا جواب سا ہے بھی نہیں بھی ہے آنا تو چاہتے ہیں مرے پاس وہ مگر ان کو کچھ اجتناب سا ہے بھی نہیں بھی ہے وہ محو گفتگو ہو تو لگتا ہے یوں مجھے بجتا ہوا رباب سا ہے بھی نہیں بھی ہے اس کی گلی میں حال ہر اک نا مراد کا مجھ خانماں خراب سا ہے بھی نہیں بھی ہے وہ ہم کو مل گئے ہیں ملے ہیں مگر کہاں اک درمیاں حجاب سا ہے بھی نہیں بھی ہے حامدؔ نشہ شراب سا ہے بھی نہیں بھی ہے ساغر میں آفتاب سا ہے بھی نہیں بھی ہے
हर बात का जवाब सा है भी नहीं भी है चेहरा तिरा किताब सा है है भी नहीं भी है देखा है उस को पर नहीं देखा बताएँ क्या उस रुख़ पर इक नक़ाब सा है भी नहीं भी है करना तो चाहते हैं बहुत कुछ अगर मगर ज़ेहनों में इंक़लाब सा है भी नहीं भी है कह तो दिया है हम ने सर-ए-बज़्म हाल-ए-दिल सुन कर वो ला-जवाब सा है भी नहीं भी है आना तो चाहते हैं मिरे पास वो मगर उन को कुछ इज्तिनाब सा है भी नहीं भी है वो महव-ए-गुफ़्तुगू हो तो लगता है यूँ मुझे बजता हुआ रबाब सा है भी नहीं भी है उस की गली में हाल हर इक ना-मुराद का मुझ ख़ानुमाँ-ख़राब सा है भी नहीं भी है वो हम को मिल गए हैं मिले हैं मगर कहाँ इक दरमियाँ हिजाब सा है भी नहीं भी है 'हामिद' नशा शराब सा है भी नहीं भी है साग़र में आफ़्ताब सा है भी नहीं भी है

More by Hamid Lateef
View all →"kis qadar hai ravaan-davaan khushbu ho gai thak ke nim-jaan khushbu jab chalaa qaafila bahaaron kaa ban gai mir-e-kaarvaan khushbu aai hai itr-bez jhonke si un ke paikar ki mehrbaan khushbu rang leti hain apne jism tamaam jazb karti hain titliyaan khushbu bhaari hai anginat gulaabon par adh-khile jism ki javaan khushbu kitni khaamoshi se milaati hai jism se jism jaan se jaan khushbu sau zabaanon mein baat karti hai vasl ki raat hai zabaan khushbu narm sargoshiyaan sunaati hai garm saanson ke darmiyaan khushbu un ke qadmon ko chumti 'haamid' jaa chuki hai kahaan kahaan khushbu"
"chaak ho jaataa hai daaman matla-e-tanvir kaa ye asar hotaa hai mere naala-e-shab-gir kaa meraa chehra muskuraataa dekh kar hain mutmain dekhne vaalon ne dekhaa ek rukh tasvir kaa kuchh na bolo un ke aage gar suno meraa kahaa khaamushi mein bhi asar aa jaaegaa taqrir kaa tu ise pairon se raundegaa mujhe kyaa ilm thaa itnaa unchaa martaba hogaa miri tahrir kaa"
"har baat kaa javaab saa hai bhi nahin bhi hai chehra tiraa kitaab saa hai bhi nahin bhi hai dekhaa hai us ko par nahin dekhaa bataaein kyaa us rukh par ik naqaab saa hai bhi nahin bhi hai karnaa to chaahte hain bahut kuchh agar magar zehnon mein inqalaab saa hai bhi nahin bhi hai kah to diyaa hai ham ne sar-e-bazm haal-e-dil sun kar vo laa-javaab saa hai bhi nahin bhi hai aanaa to chaahte hain mire paas vo magar un ko kuchh ijtinaab saa hai bhi nahin bhi hai vo mahv-e-guftugu ho to lagtaa hai yuun mujhe bajtaa huaa rabaab saa hai bhi nahin bhi hai us ki gali mein haal har ik naa-muraad kaa mujh khaanumaan-kharaab saa hai bhi nahin bhi hai vo ham ko mil gae hain mile hain magar kahaan ik darmiyaan hijaab saa hai bhi nahin bhi hai 'haamid' nasha sharaab saa hai bhi nahin bhi hai saaghar mein aaftaab saa hai bhi nahin bhi hai"
"zindagi kaa singhaar hain ham log yaani jaan-e-bahaar hain ham log apni taqdir khud banaai hai apne parvardigaar hain ham log ai khudaa apni pahli ghalati par aaj tak sharmsaar hain ham log saaraa aalam thaa muntazir apnaa haasil-e-intizaar hain ham log be-sutun kyaa hai kuchh nahin 'haamid' tesha-e-aab-daar hain ham log"
"gar mujh se khafaa ho to sazaa kyon nahin dete mujh ko bhari mahfil se uThaa kyon nahin dete hotaa hai faqat jin se andheron mein izaafa tum aise charaaghon ko bujhaa kyon nahin dete bimaar tumhaare lab-e-dam hain zaraa dekho tum kaise masihaa ho davaa kyon nahin dete vo jins-e-giraan jis ko vafaa kahti hai duniyaa baazaar mein bikti hai to laa kyon nahin dete rahte ho rag-e-jaan se bhi nazdik ye maanaa tum DhunDne vaalon ko pataa kyon nahin dete mahfil mein jo haal-e-dil-e-pur-dard tumhaaraa vo puchh rahaa hai to bataa kyon nahin dete 'haamid' tumhein manzil kaa pataa jis ne bataayaa tum aise musaafir ko duaa kyon nahin dete"
More on Dil
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"