Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Hasrat Mohani
dard-e-dil ki unhein khabar na hui
koi tadbir kaargar na hui
koshishein ham ne kiin hazaar magar
ishq mein ek mo'tabar na hui
· · ·
Hasrat Mohani
taabaan jo nur-e-husn ba-simaa-e-ishq hai
kis darja dil-pazir tamaashaa-e-ishq hai
arbaab-e-hosh jitne hain bimaar-e-aql hain
un ke liye zarur mudaavaa-e-ishq hai
· · ·
Hasrat Mohani
husn-e-be-mehr ko parvaa-e-tamannaa kyaa ho
jab ho aisaa to ilaaj-e-dil-e-shaidaa kyaa ho
kasrat-e-husn ki ye shaan na dekhi na suni
barq larzaan hai koi garm-e-tamaashaa kyaa ho
· · ·
Hasrat Mohani
phir bhi hai tum ko masihaai kaa daavaa dekho
mujh ko dekho mire marne ki tamanna dekho
ham na kahte the banaavaT hai ye saaraa ghussa
hans ke lo phir vo unhon ne hamein dekhaa dekho
· · ·
Hasrat Mohani
apnaa saa shauq auron mein laaein kahaan se ham
ghabraa gae hain be-dili-e-hamrahaan se ham
kuchh aisi duur bhi to nahin manzil-e-muraad
lekin ye jab ki chhuT chalein kaarvaan se ham
· · ·
Hasrat Mohani
dekhnaa bhi to unhein duur se dekhaa karnaa
sheva-e-ishq nahin husn ko rusvaa karnaa
ik nazar bhi tiri kaafi thi pa-e-raahat-e-jaan
kuchh bhi dushvaar na thaa mujh ko shakebaa karnaa
· · ·
Hasrat Mohani
didani hain dil-e-kharaab ke rang
aah us chashm-e-pur-hijaab ke rang
fasl-e-gul mein paDein to khuub khilein
khirqa-e-zohd par sharaab ke rang
· · ·
Hasrat Mohani
paiham diyaa pyaala-e-mai barmalaa diyaa
saaqi ne iltifaat kaa dariyaa bahaa diyaa
us hila-ju ne vasl ki shab ham se ruuTh kar
nairang-e-rozgaar kaa aalam dikhaa diyaa
· · ·
Hasrat Mohani
chhup ke us ne jo khud-numaai ki
intihaa thi ye dilrubaai ki
maail-e-ghamza hai vo chashm-e-siyaah
ab nahin khair paarsaai ki
· · ·
Hasrat Mohani
pairav-e-maslak-e-taslim-o-razaa hote hain
ham teri raah-e-mohabbat mein fanaa hote hain
sharm kar sharm ki ai jazba-e-taasir-e-vafaa
tere haathon vo pashimaan-e-jafaa hote hain
· · ·
Hasrat Mohani
badal-e-lazzat-e-aazaar kahaan se laaun
ab tujhe ai sitam-e-yaar kahaan se laaun
pursish-e-haal pe hai khaatir-e-jaanaan maail
jurat-e-koshish-e-izhaar kahaan se laaun
· · ·
Hasrat Mohani
sitam ho jaae tamhid-e-karam aisaa bhi hotaa hai
mohabbat mein bataa ai zabt-e-gham aisaa bhi hotaa hai
bhulaa deti hain sab ranj o alam hairaaniyaan meri
tiri tamkin-e-behad ki qasam aisaa bhi hotaa hai
· · ·
Hasrat Mohani
faiz-e-mohabbat se hai qaid-e-mihan
mere liye ek balaa-e-hasan
shaam-e-gharibaan ke baraabar kahaan
mazhab-e-ushshaaq mein subh-e-vatan
· · ·
Hasrat Mohani
ab vo farmaate hain kab main ne dikhaain aankhein
aap ne muft mein ro ro ke sujaain aankhein
muztarib ham bhi rahe raat taDap kar kaafi
dil bhi bechain rahaa un ki jo aaiin aankhein
· · ·
Hasrat Mohani
kyaa tum ko ilaaj-e-dil-e-shaidaa nahin aataa
aataa hai par is tarah ki goyaa nahin aataa
ho jaati thi taskin so ab fart-e-alam se
is baat ko rote hain ki ronaa nahin aataa
· · ·
Hasrat Mohani
ravish-e-husn-e-muraaaat chali jaati hai
ham se aur un se vahi baat chali jaati hai
us jafaa-ju se baa-imaa-e-tamannaa ab tak
havas-e-lutf-o-inaayaat chali jaati hai
· · ·
Hasrat Mohani
un ko jo shughl-e-naaz se fursat na ho saki
ham ne ye kah diyaa ki mohabbat na ho saki
shukr-e-jafaa bhi ahl-e-razaa ne kiyaa adaa
un se yahi nahin ki shikaayat na ho saki
· · ·
Hasrat Mohani
siyahkaar the baa-safaa ho gae ham
tire ishq mein kyaa se kyaa ho gae ham
na jaanaa ki shauq aur bhaDkegaa meraa
vo samjhe ki us se judaa ho gae ham
· · ·
Hasrat Mohani
tire dard se jis ko nisbat nahin hai
vo raahat musibat hai raahat nahin hai
junun-e-mohabbat kaa divaana huun main
mire sar mein saudaa-e-hikmat nahin hai
· · ·
Hasrat Mohani
duaa mein zikr kyuun ho muddaaa kaa
ki ye sheva nahin ahl-e-razaa kaa
talab meri bahut kuchh hai magar kyaa
karam teraa hai ik dariyaa ataa kaa
· · ·
Hasrat Mohani
aasaan-e-haqiqi hai na kuchh sahl-e-majaazi
maalum hui raah-e-mohabbat ki daraazi
kuchh lutf o nazar laazim o malzum nahin hain
ik ye bhi tamannaa ki na ho shoabada baazi
· · ·
Hasrat Mohani
na sahi gar unhein khayaal nahin
ki hamaaraa bhi ab vo haal nahin
yaad unhein vaada-e-visaal nahin
kab kiyaa thaa yahi khayaal nahin
· · ·
Hasrat Mohani
jo vo nazar basar-e-lutf aam ho jaae
ajab nahin ki hamaaraa bhi kaam ho jaae
sharaab-e-shauq ki qimat hai naqd-e-jaan-e-aziz
agar ye baais-e-kaif-e-davaam ho jaae
· · ·
Hasrat Mohani
har dil mein ik hujum-e-mohabbat hai aaj-kal
us shokh ki kuchh aur hi hasrat hai aaj-kal
ai sehr-e-husn-e-yaar main ab tujh se kyaa kahun
dil kaa jo haal teri badaulat hai aaj-kal
· · ·







