"dard-e-dil ki unhein khabar na hui koi tadbir kaargar na hui koshishein ham ne kiin hazaar magar ishq mein ek mo'tabar na hui kar chuke ham ko be-gunaah shahid aap ki aankh phir bhi tar na hui naa-rasaa aah-e-aashiqaan vo kahaan duur un se jo be-asar na hui aai bujhne ko apni sham-e-hayaat shab-e-gham ki magar sahar na hui shab the ham garm-e-naala-haa-e-firaaq subh ik aah-e-sard sar na hui tum se kyunkar vo chhup sake 'hasrat' nigah-e-shauq parda dar na hui"
kyaa tum ko ilaaj-e-dil-e-shaidaa nahin aataa — Hasrat Mohani
"kyaa tum ko ilaaj-e-dil-e-shaidaa nahin aataa aataa hai par is tarah ki goyaa nahin aataa ho jaati thi taskin so ab fart-e-alam se is baat ko rote hain ki ronaa nahin aataa tum ho ki tumhein vaada-vafaai ki nahin khu main huun ki mujhe tum se taqaazaa nahin aataa hai paas ye kis ki nigah-e-mahv-e-hayaa kaa lab tak jo mire harf-e-tamannaa nahin aataa un ki nigah-e-mast ke jalve hain nazar mein bhule se bhi zikr-e-mai-o-minaa nahin aataa shokhi se vo maanaa-e-sitam puchh rahe hain ab lafz-e-jafaa bhi unhein goyaa nahin aataa main dard ki lazzat se razaa-mand huun 'hasrat' mujh ko sitam-e-yaar kaa shikvaa nahin aataa"
کیا تم کو علاج دل شیدا نہیں آتا آتا ہے پر اس طرح کہ گویا نہیں آتا ہو جاتی تھی تسکین سو اب فرط الم سے اس بات کو روتے ہیں کہ رونا نہیں آتا تم ہو کہ تمہیں وعدہ وفائی کی نہیں خو میں ہوں کہ مجھے تم سے تقاضا نہیں آتا ہے پاس یہ کس کی نگہ محو حیا کا لب تک جو مرے حرف تمنا نہیں آتا ان کی نگہ مست کے جلوے ہیں نظر میں بھولے سے بھی ذکر مے و مینا نہیں آتا شوخی سے وہ معنائے ستم پوچھ رہے ہیں اب لفظ جفا بھی انہیں گویا نہیں آتا میں درد کی لذت سے رضامند ہوں حسرتؔ مجھ کو ستم یار کا شکوا نہیں آتا
क्या तुम को इलाज-ए-दिल-ए-शैदा नहीं आता आता है पर इस तरह कि गोया नहीं आता हो जाती थी तस्कीन सो अब फ़र्त-ए-अलम से इस बात को रोते हैं कि रोना नहीं आता तुम हो कि तुम्हें वादा-वफ़ाई की नहीं ख़ू मैं हूँ कि मुझे तुम से तक़ाज़ा नहीं आता है पास ये किस की निगह-ए-महव-ए-हया का लब तक जो मिरे हर्फ़-ए-तमन्ना नहीं आता उन की निगह-ए-मस्त के जल्वे हैं नज़र में भूले से भी ज़िक्र-ए-मय-ओ-मीना नहीं आता शोख़ी से वो माना-ए-सितम पूछ रहे हैं अब लफ़्ज़-ए-जफ़ा भी उन्हें गोया नहीं आता मैं दर्द की लज़्ज़त से रज़ा-मंद हूँ 'हसरत' मुझ को सितम-ए-यार का शिकवा नहीं आता

More by Hasrat Mohani
View all →"taabaan jo nur-e-husn ba-simaa-e-ishq hai kis darja dil-pazir tamaashaa-e-ishq hai arbaab-e-hosh jitne hain bimaar-e-aql hain un ke liye zarur mudaavaa-e-ishq hai main kyaa huun ek zarra-e-sahraa-e-ishtiyaaq dil kyaa hai ek qatra-e-dariyaa-e-ishq hai shaah o gadaa kaa farq nahin ahd-e-husn mein ab jis ko dekhiye use daavaa-e-ishq hai zaahir hai be-qaraari-e-paiham se haal-e-dil bekaar ham ko daavaa-e-ikhfaa-e-ishq hai pinhaan hijaab-e-naaz mein hai surat-e-jamaal paidaa haruf-e-shauq se maanaa-e-ishq hai ai ahl-e-aql kyuun ho use fikr-e-naam-o-nang 'hasrat' kharaab-e-ishq hai rusvaa-e-ishq hai"
"husn-e-be-mehr ko parvaa-e-tamannaa kyaa ho jab ho aisaa to ilaaj-e-dil-e-shaidaa kyaa ho kasrat-e-husn ki ye shaan na dekhi na suni barq larzaan hai koi garm-e-tamaashaa kyaa ho be-misaali ke hain ye rang jo baa-vasf-e-hijaab be-naqaabi pe tiraa jalva-e-yaktaa kyaa ho dekhein ham bhi jo tire husn-e-dil-aaraa ki bahaar is mein nuqsaan tiraa ai gul-e-raa'naa kyaa ho ham gharaz-mand kahaan martaba-e-ishq kahaan ham ko samjhein vo havas-kaar to bejaa kyaa ho dil-farebi hai tiri baais-e-sad josh o kharosh haal ye ho to dil-e-zaar shakebaa kyaa ho raat din rahne lagi us sitam-ijaad ki yaad 'hasrat' ab dekhiye anjaam hamaaraa kyaa ho"
"phir bhi hai tum ko masihaai kaa daavaa dekho mujh ko dekho mire marne ki tamanna dekho ham na kahte the banaavaT hai ye saaraa ghussa hans ke lo phir vo unhon ne hamein dekhaa dekho ghar se har-vaqt nikal aate ho khole hue baal shaam dekho na miri jaan saveraa dekho mahfil-e-ghair mein be-parda tumhein dekh liyaa ab kabhi ham se khabar-daar na chhupnaa dekho khaana-e-jaan mein numudaar hai ik paikar-e-nur hasrato aao rukh-e-yaar kaa jalva dekho dil ko rangini-e-khvaahish ki khataa par aakhir milti hai us gul-e-raanaa se sazaa kyaa dekho saamne sab ke munaasib nahin ham par ye itaab sar se Dhal jaae na ghusse mein dupaTTa dekho mar-miTe ham to kabhi yaad bhi tum ne na kiyaa ab mohabbat kaa na karnaa kabhi daavaa dekho sar kahin baal kahin haath kahin paanv kahin un kaa sonaa bhi hai kis shaan kaa sonaa dekho ab vo shokhi se ye kahte hain sitamgar hain jo ham dil kisi aur se kuchh roz ko bahlaa dekho vaaizo munh mein tumhaare bhi bhar aae paani mai-e-rangin kaa jo saaghar se chhalaknaa dekho baat kyaa hai jo hue jaate ho tum yunhi khafaa mujh ko dekho na mire dil kaa dhDaknaa dekho jurm-e-nazzaara pe kaun itni khushaamad kartaa ab vo ruThe hain lo aur tamaashaa dekho masti-e-husn se apni bhi nahin tum ko khabar kyaa suno arz miri haal miraa kyaa dekho dosto tark-e-mohabbat ki nasihat hai fuzul aur na maano to dil-e-zaar ko samjhaa dekho havas-e-did miTi hai na miTegi 'hasrat' dekhne ke liye chaaho unhein jitnaa dekho"
"apnaa saa shauq auron mein laaein kahaan se ham ghabraa gae hain be-dili-e-hamrahaan se ham kuchh aisi duur bhi to nahin manzil-e-muraad lekin ye jab ki chhuT chalein kaarvaan se ham ai yaad-e-yaar dekh ki baa-vasf-e-ranj-e-hijr masrur hain tiri khalish-e-naa-tavaan se ham maalum sab hai puchhte ho phir bhi muddaaa ab tum se dil ki baat kahein kyaa zabaan se ham ai zohd-e-khushk teri hidaayat ke vaaste saughaat-e-ishq laae hain ku-e-butaan se ham betaabiyon se chhup na sakaa haal-e-aarzu aakhir bache na us nigah-e-bad-gumaan se ham piraana-sar bhi shauq ki himmat buland hai khvaahaan-e-kaam-e-jaan hain jo us naujavaan se ham maayus bhi to karte nahin tum za-raah-e-naaz tang aa gae hain kashmakash-e-imtihaan se ham khalvat banegi tere gham-e-jaan-navaaz ki leinge ye kaam apne dil-e-shaadmaan se ham hai intihaa-e-yaas bhi ik ibtidaa-e-shauq phir aa gae vahin pe chale the jahaan se ham 'hasrat' phir aur jaa ke karein kis ki bandagi achchhaa jo sar uThaaein bhi is aastaan se ham"
"har dil mein ik hujum-e-mohabbat hai aaj-kal us shokh ki kuchh aur hi hasrat hai aaj-kal ai sehr-e-husn-e-yaar main ab tujh se kyaa kahun dil kaa jo haal teri badaulat hai aaj-kal mastur kis hijaab mein hai vo jamaal-e-paak ahl-e-nazar ko jis se 'aqidat hai aaj-kal ik tarfa be-khudi kaa hai 'aalam ki 'ishq mein taklif aaj kal hai na raahat hai aaj-kal"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"kisi ki mehrbaani ho gai hai ayaan dil ki kahaani ho gai hai hare mausam ki pahli khvaahishein uf khushi gham ki divaani ho gai hai sabhi afraad ghar ke so gae hain bahut lambi kahaani ho gai hai rivaayat kaa hai ab bhi sahar qaaem har ik jiddat puraani ho gai hai pas-e-chehra milaa ik aur chehra 'aqidat paani paani ho gai hai"