Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Waseem Barelvi
ye hai to sab ke liye ho ye zid hamaari hai
is ek baat pe duniyaa se jang jaari hai
uDaan vaalo uDaanon pe vaqt bhaari hai
paron ki ab ke nahin hauslon ki baari hai
· · ·
Waseem Barelvi
tu samajhtaa hai ki rishton ki duhaai deinge
ham to vo hain tire chehre se dikhaai deinge
ham ko mahsus kiyaa jaae hai khushbu ki tarah
ham koi shor nahin hain jo sunaai deinge
· · ·
Waseem Barelvi
apne saae ko itnaa samjhaane de
mujh tak mere hisse ki dhuup aane de
ek nazar mein kai zamaane dekhe to
buDhi aankhon ki tasvir banaane de
· · ·
Waseem Barelvi
khul ke milne kaa saliqa aap ko aataa nahin
aur mere paas koi chor darvaaza nahin
vo samajhtaa thaa use paa kar hi main rah jaaungaa
us ko meri pyaas ki shiddat kaa andaaza nahin
· · ·
Waseem Barelvi
sab ne milaae haath yahaan tirgi ke saath
kitnaa baDaa mazaaq huaa raushni ke saath
shartein lagaai jaati nahin dosti ke saath
kiije mujhe qubul miri har kami ke saath
· · ·
Waseem Barelvi
kitnaa dushvaar thaa duniyaa ye hunar aanaa bhi
tujh se hi faasla rakhnaa tujhe apnaanaa bhi
kaisi aadaab-e-numaaish ne lagaain shartein
phuul honaa hi nahin phuul nazar aanaa bhi
· · ·
Waseem Barelvi
bhalaa ghamon se kahaan haar jaane vaale the
ham aansuon ki tarah muskuraane vaale the
hamin ne kar diyaa elaan-e-gumrahi varna
hamaare pichhe bahut log aane vaale the
· · ·
Waseem Barelvi
apne andaaz kaa akelaa thaa
is liye main baDaa akelaa thaa
pyaar to janm kaa akelaa thaa
kyaa miraa tajraba akelaa thaa
· · ·
Waseem Barelvi
main aasmaan pe bahut der rah nahin saktaa
magar ye baat zamin se to kah nahin saktaa
kisi ke chehre ko kab tak nigaah mein rakkhun
safar mein ek hi manzar to rah nahin saktaa
· · ·
Waseem Barelvi
shaam tak subh ki nazron se utar jaate hain
itne samjhauton pe jiite hain ki mar jaate hain
phir vahi talkhi-e-haalaat muqaddar Thahri
nashshe kaise bhi hon kuchh din mein utar jaate hain
· · ·
Waseem Barelvi
lahu na ho to qalam tarjumaan nahin hotaa
hamaare daur mein aansu zabaan nahin hotaa
jahaan rahegaa vahin raushni luTaaegaa
kisi charaagh kaa apnaa makaan nahin hotaa
· · ·
Waseem Barelvi
vo mere ghar nahin aataa main us ke ghar nahin jaataa
magar in ehtiyaaton se taalluq mar nahin jaataa
bure achchhe hon jaise bhi hon sab rishte yahin ke hain
kisi ko saath duniyaa se koi le kar nahin jaataa
· · ·
Waseem Barelvi
haadson ki zad pe hain to muskuraanaa chhoD dein
zalzalon ke khauf se kyaa ghar banaanaa chhoD dein
tum ne mere ghar na aane ki qasam khaai to hai
aansuon se bhi kaho aankhon mein aanaa chhoD dein
· · ·
Waseem Barelvi
main is umiid pe Duubaa ki tu bachaa legaa
ab is ke baad miraa imtihaan kyaa legaa
ye ek mela hai vaada kisi se kyaa legaa
Dhalegaa din to har ik apnaa raasta legaa
· · ·
Waseem Barelvi
dukh apnaa agar ham ko bataanaa nahin aataa
tum ko bhi to andaaza lagaanaa nahin aataa
pahunchaa hai buzurgon ke bayaanon se jo ham tak
kyaa baat hui kyuun vo zamaana nahin aataa
· · ·
Waseem Barelvi
zaraa saa qatra kahin aaj agar ubhartaa hai
samundaron hi ke lahje mein baat kartaa hai
khuli chhaton ke diye kab ke bujh gae hote
koi to hai jo havaaon ke par katartaa hai
· · ·
Waseem Barelvi
apne chehre se jo zaahir hai chhupaaein kaise
teri marzi ke mutaabiq nazar aaein kaise
ghar sajaane kaa tasavvur to bahut baad kaa hai
pahle ye tai ho ki is ghar ko bachaaein kaise
· · ·
Waseem Barelvi
apne har har lafz kaa khud aaina ho jaaungaa
us ko chhoTaa kah ke main kaise baDaa ho jaaungaa
tum giraane mein lage the tum ne sochaa hi nahin
main giraa to masala ban kar khaDaa ho jaaungaa
· · ·
Waseem Barelvi
kyaa dukh hai samundar ko bataa bhi nahin saktaa
aansu ki tarah aankh tak aa bhi nahin saktaa
tu chhoD rahaa hai to khataa is mein tiri kyaa
har shakhs miraa saath nibhaa bhi nahin saktaa
· · ·
Waseem Barelvi
tumhaari raah mein miTTi ke ghar nahin aate
isi liye to tumhein ham nazar nahin aate
mohabbaton ke dinon ki yahi kharaabi hai
ye ruuTh jaaein to phir lauT kar nahin aate
· · ·
Waseem Barelvi
andheraa zehn kaa samt-e-safar jab khone lagtaa hai
kisi kaa dhyaan aataa hai ujaalaa hone lagtaa hai
vo jitni duur ho utnaa hi meraa hone lagtaa hai
magar jab paas aataa hai to mujh se khone lagtaa hai
· · ·
Waseem Barelvi
mohabbat naa-samajh hoti hai samjhaanaa zaruri hai
jo dil mein hai use aankhon se kahlaanaa zaruri hai
usulon par jahaan aanch aae Takraanaa zaruri hai
jo zinda ho to phir zinda nazar aanaa zaruri hai
· · ·
Waseem Barelvi
aate aate miraa naam saa rah gayaa
us ke honTon pe kuchh kaanptaa rah gayaa
raat mujrim thi daaman bachaa le gai
din gavaahon ki saf mein khaDaa rah gayaa
· · ·
Waseem Barelvi
chaand kaa khvaab ujaalon ki nazar lagtaa hai
tu jidhar ho ke guzar jaae khabar lagtaa hai
us ki yaadon ne ugaa rakkhe hain suraj itne
shaam kaa vaqt bhi aae to sahar lagtaa hai
· · ·







