SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAnwar Kamal Anwar(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"baraae-dilkashi lafz-o-maaani maang letaa hai qalam se roz kaaghaz ik kahaani maang letaa hai shab-e-furqat mein jab dil Duub jaataa hai udaasi mein tire rangin tasavvur se javaani maang letaa hai bhulaa detaa hai azmat pyaas mein apni samundar bhi baDhaa kar haath dariyaaon se paani maang letaa hai charaagh-e-rahguzar huun main haqiqat hai magar ye bhi kabhi suraj bhi mujh se zau-fishaani maang letaa hai rahe ye baat bhi pesh-e-nazar zill-e-ilaahi ke falak de kar zamin ki hukmraani maang letaa hai bharosa kijiye kis ki ataa par ai 'kamaal-anvar' khudaa bhi ham se vaapas zindagaani maang letaa hai"
Anwar Kamal AnwarAnwar Kamal Anwar
Quote
"fasurda-dil hain khushi se bichhaD gae hain log khudaa ko bhuul ke mushkil mein paD gae hain log gham aur dard ke jangal uge hain chehron par nae zamaane mein kitne ujaD gae hain log sitam ki aandhi ne mismaar kar diyaa in ko ye lag rahaa hai jaDon se ukhaD gae hain log najaat ki koi surat nazar nahin aati dukhon ke phande mein aise jakaD gae hain log the raah-e-raast pe jab tak paDe the pasti mein bulandiyon pe pahunch kar bigaD gae hain log bhulaa diye hain khulus-o-vafaa ke saare sabaq mafaad khatre mein aayaa to laD gae hain log ajiib chiiz anaa kaa khumaar bhi hai 'kamaal' nihatte ho ke bhi maidaan mein aD gae hain log"
Anwar Kamal AnwarAnwar Kamal Anwar
Quote
"vafaa-paraston ke munh se zabaan khinchtaa hai zaraa zaraa pe sitamgar kamaan khinchtaa hai main chhoD kar chalaa aayaa huun shahr mein jis ko mujhe vo gaanv kaa kachchaa makaan khinchtaa hai ye aur baat vahi faasla hai sadiyon se zamin ko apni taraf aasmaan khinchtaa hai miri nazar mein bahaadur vahi sipaahi hai khilaaf-e-zulm jo apni kamaan khinchtaa hai tamaasha dekh ke mehmaan hai ye hairat mein jo maal tar hai use mezbaan khinchtaa hai kabhi kabhi tiri furqat mein lagtaa hai aisaa badan se jaise koi meri jaan khinchtaa hai adab ki ilm ki baatein use pasand nahin 'kamaal' kis liye duniyaa kaa dhyaan khinchtaa hai"
Anwar Kamal AnwarAnwar Kamal Anwar
Quote
"ye aabru ye shaan ye tevar bachaa ke rakh dil ko tu khvaahishon se qalandar bachaa ke rakh mahlon ki fikr chhoD ki barsaat hai qarib aandhi se apnaa phuus kaa chhappar bachaa ke rakh chaaron taraf hai aag chaman mein lagi hui apnaa vajud mom ke paikar bachaa ke rakh kangaal kar na de tujhe qatron ki parvarish kuchh apne paas bhi to samundar bachaa ke rakh mujh par na khatm hogaa sadaaqat kaa silsila tarkash mein apne tiir sitamgar bachaa ke rakh badli hui hai vaqt ki raftaar aaj-kal zauq-e-safar ko vaqt ke rahbar bachaa ke rakh parkhegaa vaqt tujh ko kasauTi pe baar baar 'anvar-kamaal’ apne tu jauhar bachaa ke rakh"
Anwar Kamal AnwarAnwar Kamal Anwar
Quote
"hamaare dil ko taDpaayaa bahut hai sitamgar ne sitam Dhaayaa bahut hai kabhi to aaegaa mausam khushi kaa lahu aankhon ne barsaayaa bahut hai ujaale jab munazzam ho gae hain andheraa phir to ghabraayaa bahut hai kahaan main jaaungaa mere liye to tiri divaar kaa saaya bahut hai tu kyon rahbar ke pichhe chal rahe ho agar rahbar ne bhaTkaayaa bahut hai qadam dariyaa mein jo rakhtaa nahin ab vo tufaanon se Takraayaa bahut hai tahi-daaman 'kamaal-anvar' hai lekin adab kaa phir bhi sarmaaya bahut hai"
Anwar Kamal AnwarAnwar Kamal Anwar
Quote
"zabaan khol savaal-o-javaab kar ke dikhaa agar tu gungaa nahin hai khitaab kar ke dikhaa mizaaj puchh charaaghon kaa aa ke dharti par ye kaam bhi to kabhi aaftaab kar ke dikhaa nae jahaanon ki be-kaar kar rahaa hai talaash isi zamin pe paidaa gulaab kar ke dikhaa adhure qisson ki ahl-e-nazar na deinge daad unhein tu dil ki mukammal kitaab kar ke dikhaa sunaa hai sab ke tu dukh kaa ilaaj kartaa hai hamaare dil se alag iztiraab kar ke dikhaa ye kaun kahtaa hai zaahir tu aib kar ke dikhaa haqiqaton ko magar be-naqaab kar ke dikhaa safar hayaat kaa ab itnaa bhi nahin dushvaar tamaashaa mujh ko nae ham-rikaab kar ke dikhaa 'kamaal' jiine se bezaar log ho jaaein na zindagi ko tu itnaa kharaab kar ke dikhaa"
Anwar Kamal AnwarAnwar Kamal Anwar
Quote
"jin ko kuchh manzur rab ki dosti se kam nahin maut bhi un ke liye to zindagi se kam nahin ek ye bhi hai ibaadat kaa tariqa dosto khidmat-e-khalq-e-khudaa bhi bandagi se kam nahin phir khayaal aataa hai nakhvat hai khudaa ko naa-pasand ji mein aataa to hai kah dein ham kisi se kam nahin sulh kaa kyon raasta karte nahin tum ikhtiyaar dushmanon jab hone vaali dushmani se kam nahin jis ko haasil ho gai vo saahab-e-tauqir hai tere dar ki naukri bhi afsari se kam nahin maan jaa sham-e-mohabbat ko bujhaa mat maan jaa ye ujaalaa surajon ki raushni se kam nahin sher kahnaa shauq hai pesha nahin meraa 'kamaal' ishq vaise to mujhe bhi shaairi se kam nahin"
Anwar Kamal AnwarAnwar Kamal Anwar
Quote
"hasin khvaabon ki mahfil sajaanaa bhuul gayaa mile vo ranj ki main muskuraanaa bhuul gayaa charaaghaan main ne kiyaa saare shahr mein lekin khud apne ghar kaa andheraa miTaanaa bhuul gayaa kahaaniyaan hain bahut mere haafize mein magar jo yaad rakhnaa thaa main vo fasaanaa bhuul gayaa talaash-e-zar mein main phirtaa rahaa zamaane mein jo mere paas thaa main vo khazaana bhuul gayaa na jaane kaise dukhon se najaat milti hai hamaare ghar mein to gham aa ke jaanaa bhuul gayaa milaa jo peD parinda utar gayaa us par ba-vaqt-e-shaam jab apnaa Thikaanaa bhuul gayaa kisi ke lab pe nahin mere dard ke qisse to kyaa 'kamaal' mujhe ye zamaana bhuul gayaa"
Anwar Kamal AnwarAnwar Kamal Anwar
Quote
"agar himmat javaan ho shaadmaani DhunD leti hai zarurat tapte sahraa mein bhi paani DhunD leti hai kisi rangin manzar tak rasaai jab nahin hoti nazar afsurda manzar mein javaani DhunD leti hai hadon se baDhne lagti hai ghuTan jab dida-o-dil ki tariqa guftugu kaa be-zabaani DhunD leti hai numaaish dil ke zakhmon ki chalo dilli mein karte hain sunaa hai qaatilon ko raajdhaani DhunD leti hai masaail kaa kabhi hal DhunDne par bhi nahin miltaa masaail kaa kabhi hal zindagaani DhunD leti hai kisi ko qissa-e-dil jab sunaanaa chaahtaa huun main bahaane be-rukhi ke bad-gumaani DhunD leti hai koi uftaad jab bhi TuTti hai zindagaani par mujhi ko kyon baraa-e-nauha-khvaani DhunD leti hai haqiqat se agar rishta ho us kaa to 'kamaal-anvar' khud apne paDhne vaalon ko kahaani DhunD leti hai"
Anwar Kamal AnwarAnwar Kamal Anwar
Quote
"koi muflis ho ki dhanvaan chalaa jaataa hai maut jab aati hai insaan chalaa jaataa hai naakhudaa dekhte rahte hain khaDe saahil par kashtiyaan luuT le tufaan chalaa jaataa hai us musaafir ke liye kuchh nahin manzil ki khushi jis kaa raste mein hi saamaan chalaa jaataa hai kaisaa taajir hai munaafa nahin hotaa tujh ko tujh ko har saude mein nuqsaan chalaa jaataa hai yaad aate hain kai chaand se raushan chehre jab bhi maazi ki taraf dhyaan chalaa jaataa hai vo tamaashe sar-e-baazaar nazar aate hain dekhne vaalon kaa imaan chalaa jaataa hai kar ke ehsaan jataayaa na karein aap 'kamaal' is tarah dekhiye ehsaan chalaa jaataa hai"
Anwar Kamal AnwarAnwar Kamal Anwar