SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byArshad Abbas Zaki(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"to kyaa huaa jo mire saath aaj tu nahin hai faqat yahi ki hai viraani haav-hu nahin hai tumhaare saath jo ik roz meri baat na ho to yuun lage ki kisi se bhi guftugu nahin hai ye zakhm-e-dil ki numaaish nahin tamaashaa-garo dar-asl baat ye hai pairahan rafu nahin hai kisi ne dekhaa nahin ham ne jaise dekhaa use ghalat kahaa hai kisi ne vo khub-ru nahin hai abhi abhi jo mujhe tujh pe pyaar aa rahaa hai khudaa kaa shukr adaa kar tu ru-ba-ru nahin hai main aap apnaa mukhaalif main aap apnaa harif mire alaava miraa koi bhi adu nahin hai"
Arshad Abbas ZakiArshad Abbas Zaki
Quote
"lagaa liyaa thaa dil ko ek sil ke saath so ji rahaa huun dard-e-mustaqil ke saath sab apni apni jannaton mein kho gae kise paDi nibhaataa mujh khajil ke saath main jis taraf thaa jaan ki amaan na thi vo ho gayaa hujum-e-mushtail ke saath uDaan bhar rahaa thaa vo khalaaon ki hamaaraa raabta thaa aab-o-gil ke saath be-itminaan ho gayaa tiraa asiir ye kyaa kiyaa hai tu ne mere dil ke saath phir us ke zikr ne rulaa diyaa 'zaki' hai chheD-chhaaD zakhm-e-mundamil ke saath"
Arshad Abbas ZakiArshad Abbas Zaki
Quote
"ghazal ko gardish-e-ayyaam se nikaalte hain use na hone ke ibhaam se nikaalte hain ye log kyuun tiri takzib karte hain jabki hazaar kaam tire naam se nikaalte hain ye sher hain hamein khairaat mein nahin milte kabhi dhuein se kabhi jaam se nikaalte hain tujhe khabar hi nahin hai ki ham visaal ki faal kabhi sahar se kabhi shaam se nikaalte hain khudaayaa dasht-e-safar khatm kyuun nahin hotaa suraagh-e-raah to har gaam se nikaalte hain ab intizaar yahi hai ki kab hamaare imaam hamein musibat-o-aalaam se nikaalte hain kuchh aur kaamon mein dil ko lagaa ke dekhein 'zaki' ise tilism-e-shafaq-faam se nikaalte hain"
Arshad Abbas ZakiArshad Abbas Zaki
Quote
"khafaa hain is liye vo ham se farmaaish nahin karte so ham bhi dhuup aur saae ki paimaaish nahin karte zamaana har chamakti chiiz ko sonaa samajhtaa hai hamaaraa masala ye hai ki aaraaish nahin karte zarurat aashkaaraa karti hai naam-o-nasab sab kaa vagarna jo hasin hote hain zebaaish nahin karte utar sakti nahin dil-aaine mein raushni jab tak ham us se saaf saari gard-o-aalaaish nahin karte zaki har ek khvaahish ki chukaanaa paDti hai qimat talab ham is liye ab us se aasaaish nahin karte"
Arshad Abbas ZakiArshad Abbas Zaki
Quote
"main udaas huun mire mehrbaan main udaas huun tu kahin nahin hai tu hai kahaan main udaas huun miraa shahr-e-khvaab to reza reza bikhar chukaa kahin kho gai miri kahkashaan main udaas huun mujhe apne qadmon ki khaak mein hi panaah de mere paas kuchh bhi nahin hai maan main udaas huun ye jo jang hai kisi aur vaqt pe Taal dein saf-e-dostaan saf-e-dushmanaan main udaas huun tumhein umr bhar kaa hai tajraba koi mashvara koi mashvara ai shikastagaan main udaas huun main ajiib huun nahin mukhtalif haan ajiib huun vahaan saaraa shahr hai khush jahaan main udaas huun"
Arshad Abbas ZakiArshad Abbas Zaki