SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byDiya Jeem(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Ghazal
D

Diya Jeem

dard miThi zabaan pe rakh aae

tiir yaani kamaan pe rakh aae

ek lamhe ne maar li baazi

lafz us ki zabaan pe rakh aae

· · ·

Ghazal
D

Diya Jeem

zabaan pe aane se pahle kahi gai huun main

kisi khayaal mein kho kar buni gai huun main

mire khayaal ki dahliz itni unchi hai

ki aasmaan ke baraabar chuni gai huun main

· · ·

Ghazal
D

Diya Jeem

tulu-e-ishq ke manzar thame the

kahin kaase kahin par sar thame the

nazar dahshat-zada yunhi nahin thi

khayaalon mein bahut se Dar thame the

· · ·

Ghazal
D

Diya Jeem

tumhein is dil se kyaa aadi huaa hai

ki jalne kaa diyaa aadi huaa hai

use niind aae bhi to kaise aae

vo mere khvaab kaa aadi huaa hai

· · ·

Ghazal
D

Diya Jeem

tere aangan mein vafaaon kaa shajar rakkhaa thaa

apne honTon pe duaaon kaa shajar rakkhaa thaa

kaise na yaad ki khiDki mein Thaharti kal shab

mere kamre mein sadaaon kaa shajar rakkhaa thaa

· · ·

Ghazal
D

Diya Jeem

thi ham ne pyaar mein har baat maani kyaa karte

hamein hi kahte rahe vo divaani kyaa karte

kal us ke hijr ki divaar toD di ham ne

nae zamaane mein yaadein puraani kyaa karte

· · ·

Ghazal
D

Diya Jeem

aap ke vaade kisi kal se bandhe rahte hain

chaahne vaale usi pal se bandhe rahte hain

tang aa jaati hain pallu se lagi girhein bhi

kaise rishte hain jo malmal se bandhe rahte hain

· · ·

Ghazal
D

Diya Jeem

umr guzri hai sahaare nahin badle main ne

jo piyaare hain vo pyaare nahin badle main ne

vahi aakaash vahi raat ki chaadar sar par

chaand ko dekh ke taare nahin badle main ne

· · ·

Ghazal
D

Diya Jeem

chehra bataa rahaa hai raaton ko jaagte ho

kaisi thakan mili hai hans kar utaarte ho

kis ke qadam paDe the kaise nishaan paDe hain

kis ke ghamon ki miTTi aangan se jhaaDte ho

· · ·

Ghazal
D

Diya Jeem

jab bhi ho mujh ko thakan tum ko duaa deti huun

ghar ke kaamon mein magan tum ko duaa deti huun

aisaa lagtaa hai mohabbat kaa khudaa hai us mein

dekhti huun jo gagan tum ko duaa deti huun

· · ·

Ghazal
D

Diya Jeem

jaisaa kahtaa hai tu vaisaa nahin karne vaali

ab tire saath main achchhaa nahin karne vaali

aise dekho naa mohabbat kaa gumaan hotaa hai

vaada lenaa hai to vaada nahin karne vaali

· · ·