SHAWORDS

chehra bataa rahaa hai raaton ko jaagte ho — Diya Jeem

HomeDiya JeemGhazal
"chehra bataa rahaa hai raaton ko jaagte ho kaisi thakan mili hai hans kar utaarte ho kis ke qadam paDe the kaise nishaan paDe hain kis ke ghamon ki miTTi aangan se jhaaDte ho likkho kabhi ki mujh ko tum yaad kar rahe ho masrufiyat ke lamhe bhi mujh pe vaarte ho chhoDaa thaa tum ne jaisaa Thahre hue hain ab tak aur tum gali gali mein ham ko pukaarte ho rukhsat karo naa hans kar aankhon se do duaaein jaane pe mere aise kyon munh bigaaDte ho taare hue hain maddham chandaa chalaa gayaa hai yaan raat ho chuki hai tum din guzaarte ho mausam huaa hai barham bechain hain fazaaein aise mein tum 'diyaa' ki zulfein sanvaarte ho"
Urdu

چہرہ بتا رہا ہے راتوں کو جاگتے ہو کیسی تھکن ملی ہے ہنس کر اتارتے ہو کس کے قدم پڑے تھے کیسے نشاں پڑے ہیں کس کے غموں کی مٹی آنگن سے جھاڑتے ہو لکھو کبھی کہ مجھ کو تم یاد کر رہے ہو مصروفیت کے لمحے بھی مجھ پہ وارتے ہو چھوڑا تھا تم نے جیسا ٹھہرے ہوئے ہیں اب تک اور تم گلی گلی میں ہم کو پکارتے ہو رخصت کرو نا ہنس کر آنکھوں سے دو دعائیں جانے پہ میرے ایسے کیوں منہ بگاڑتے ہو تارے ہوئے ہیں مدھم چندا چلا گیا ہے یاں رات ہو چکی ہے تم دن گزارتے ہو موسم ہوا ہے برہم بے چین ہیں فضائیں ایسے میں تم دیاؔ کی زلفیں سنوارتے ہو

Hindi

चेहरा बता रहा है रातों को जागते हो कैसी थकन मिली है हँस कर उतारते हो किस के क़दम पड़े थे कैसे निशाँ पड़े हैं किस के ग़मों की मिट्टी आँगन से झाड़ते हो लिक्खो कभी कि मुझ को तुम याद कर रहे हो मसरूफ़ियत के लम्हे भी मुझ पे वारते हो छोड़ा था तुम ने जैसा ठहरे हुए हैं अब तक और तुम गली गली में हम को पुकारते हो रुख़्सत करो ना हँस कर आँखों से दो दुआएँ जाने पे मेरे ऐसे क्यों मुँह बिगाड़ते हो तारे हुए हैं मद्धम चंदा चला गया है याँ रात हो चुकी है तुम दिन गुज़ारते हो मौसम हुआ है बरहम बेचैन हैं फ़ज़ाएँ ऐसे में तुम 'दिया' की ज़ुल्फ़ें सँवारते हो

chehra batā rahā hai rātoñ ko jāgte ho
D
Diya Jeem
Diya Jeem
poet11 quotes

More by Diya Jeem

View all →
Quote
"zabaan pe aane se pahle kahi gai huun main kisi khayaal mein kho kar buni gai huun main mire khayaal ki dahliz itni unchi hai ki aasmaan ke baraabar chuni gai huun main miraa ghurur miri vahshaton pe haavi hai kuchh aise vasf se mumtaaz ki gai huun main mire vajud mein pahron sukut rahtaa hai na jaane kis ki sadaa mein gundhi gai huun main mire khayaal se jal jaate hain charaagh-e-sahar ki taaq-e-shams-o-qamar par rakhi gai huun main vo roz khvaab ke rauzan se dekhtaa hai mujhe ajiib Dor hai jis se bandhi gai huun main sabhi ke dil mein 'diyaa' pyaar kaa jalaati huun varaq varaq pe ujaalaa likhi gai huun main"
D
Diya Jeem
Quote
"tere aangan mein vafaaon kaa shajar rakkhaa thaa apne honTon pe duaaon kaa shajar rakkhaa thaa kaise na yaad ki khiDki mein Thaharti kal shab mere kamre mein sadaaon kaa shajar rakkhaa thaa yaad-e-jaanaan ke parindon ke sukun ki khaatir apne siine mein vafaaon kaa shajar rakkhaa thaa jaane kyaa soch ke fitrat se mohabbat ki thi mere ajdaad ne gaanv kaa shajar rakkhaa thaa meri qismat mein mohabbat kaa sitaara hi nahin meri qismat mein jafaaon kaa shajar rakkhaa thaa vaise to pyaar ki chhaanv se mohabbat thi 'diyaa' par kahin dil mein anaaon kaa shajar rakkhaa thaa"
D
Diya Jeem
Quote
"thi ham ne pyaar mein har baat maani kyaa karte hamein hi kahte rahe vo divaani kyaa karte kal us ke hijr ki divaar toD di ham ne nae zamaane mein yaadein puraani kyaa karte tumhaare saath hi kirdaar thaa hamaaraa bhi jo tum gae to ham aage kahaani kyaa karte yunhi uThaa ke buDhaape ko saunp di ham ne tumhaare baad bhari ye javaani kyaa karte nigal liyaa vo nagina ba-vaqt-e-rukhsati hi tumhaare naam ki thi jo nishaani kyaa karte 'diyaa' ye aankh to ik khvaab se hi bhar aai tumhaare naam pe ham zindagaani kyaa karte"
D
Diya Jeem

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer