SHAWORDS

thi ham ne pyaar mein har baat maani kyaa karte — Diya Jeem

HomeDiya JeemGhazal
"thi ham ne pyaar mein har baat maani kyaa karte hamein hi kahte rahe vo divaani kyaa karte kal us ke hijr ki divaar toD di ham ne nae zamaane mein yaadein puraani kyaa karte tumhaare saath hi kirdaar thaa hamaaraa bhi jo tum gae to ham aage kahaani kyaa karte yunhi uThaa ke buDhaape ko saunp di ham ne tumhaare baad bhari ye javaani kyaa karte nigal liyaa vo nagina ba-vaqt-e-rukhsati hi tumhaare naam ki thi jo nishaani kyaa karte 'diyaa' ye aankh to ik khvaab se hi bhar aai tumhaare naam pe ham zindagaani kyaa karte"
Urdu

تھی ہم نے پیار میں ہر بات مانی کیا کرتے ہمیں ہی کہتے رہے وہ دوانی کیا کرتے کل اس کے ہجر کی دیوار توڑ دی ہم نے نئے زمانے میں یادیں پرانی کیا کرتے تمہارے ساتھ ہی کردار تھا ہمارا بھی جو تم گئے تو ہم آگے کہانی کیا کرتے یوں ہی اٹھا کے بڑھاپے کو سونپ دی ہم نے تمہارے بعد بھری یہ جوانی کیا کرتے نگل لیا وہ نگینہ بوقت رخصتی ہی تمہارے نام کی تھی جو نشانی کیا کرتے دیاؔ یہ آنکھ تو اک خواب سے ہی بھر آئی تمہارے نام پہ ہم زندگانی کیا کرتے

Hindi

थी हम ने प्यार में हर बात मानी क्या करते हमें ही कहते रहे वो दिवानी क्या करते कल उस के हिज्र की दीवार तोड़ दी हम ने नए ज़माने में यादें पुरानी क्या करते तुम्हारे साथ ही किरदार था हमारा भी जो तुम गए तो हम आगे कहानी क्या करते यूँही उठा के बुढ़ापे को सौंप दी हम ने तुम्हारे बाद भरी ये जवानी क्या करते निगल लिया वो नगीना ब-वक़्त-ए-रुख़्सती ही तुम्हारे नाम की थी जो निशानी क्या करते 'दिया' ये आँख तो इक ख़्वाब से ही भर आई तुम्हारे नाम पे हम ज़िंदगानी क्या करते

thī ham ne pyaar meñ har baat maanī kyā karte
D
Diya Jeem
Diya Jeem
poet11 quotes

More by Diya Jeem

View all →
Quote
"zabaan pe aane se pahle kahi gai huun main kisi khayaal mein kho kar buni gai huun main mire khayaal ki dahliz itni unchi hai ki aasmaan ke baraabar chuni gai huun main miraa ghurur miri vahshaton pe haavi hai kuchh aise vasf se mumtaaz ki gai huun main mire vajud mein pahron sukut rahtaa hai na jaane kis ki sadaa mein gundhi gai huun main mire khayaal se jal jaate hain charaagh-e-sahar ki taaq-e-shams-o-qamar par rakhi gai huun main vo roz khvaab ke rauzan se dekhtaa hai mujhe ajiib Dor hai jis se bandhi gai huun main sabhi ke dil mein 'diyaa' pyaar kaa jalaati huun varaq varaq pe ujaalaa likhi gai huun main"
D
Diya Jeem
Quote
"tere aangan mein vafaaon kaa shajar rakkhaa thaa apne honTon pe duaaon kaa shajar rakkhaa thaa kaise na yaad ki khiDki mein Thaharti kal shab mere kamre mein sadaaon kaa shajar rakkhaa thaa yaad-e-jaanaan ke parindon ke sukun ki khaatir apne siine mein vafaaon kaa shajar rakkhaa thaa jaane kyaa soch ke fitrat se mohabbat ki thi mere ajdaad ne gaanv kaa shajar rakkhaa thaa meri qismat mein mohabbat kaa sitaara hi nahin meri qismat mein jafaaon kaa shajar rakkhaa thaa vaise to pyaar ki chhaanv se mohabbat thi 'diyaa' par kahin dil mein anaaon kaa shajar rakkhaa thaa"
D
Diya Jeem
Quote
"aap ke vaade kisi kal se bandhe rahte hain chaahne vaale usi pal se bandhe rahte hain tang aa jaati hain pallu se lagi girhein bhi kaise rishte hain jo malmal se bandhe rahte hain subh ki shabnami palkon ko masalte hue haath ik nae khvaab ki konpal se bandhe rahte hain khaTTi miThi si koi baat labon mein le kar munh ko Dhaanpe hue aanchal se bandhe rahte hain sirf mere hi bayaabaan pe paDi os nahin ashk dariyaaon ke baadal se bandhe rahte hain shaam ki zulfein bikharne se ayaan hotaa hai kitne jugnu hain jo kaajal se bandhe rahte hain zindagi sone ki mohlat nahin deti hai 'diyaa' khvaab taabir ke aanchal se bandhe rahte hain"
D
Diya Jeem

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari