Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Ejaz Asif
kiye hain mujh pe jo ehsaan jataa nahin saktaa
vo shakhs to miraa dil bhi dikhaa nahin saktaa
chhupaa huaa huun tah-e-sang ek muddat se
havaa kaa jhonkaa miri samt aa nahin saktaa
· · ·
Ejaz Asif
aa gayaa isaar mere halqa-e-ahbaab mein
phir kisi sho'le ne paai hai numu barfaab mein
kah rahi hai saahilon se Dubne vaale ki laash
main ne paayaa hai sukun ik muztarib girdaab mein
· · ·
Ejaz Asif
naved-e-yaum-e-bahaaraan khizaan se zaahir ho
misaal-e-saut-e-pareshaan fughaan se zaahir ho
tujhe gumaan hai agar khud pe lafz-e-raushan kaa
ridaa-e-shabnam-e-ijz-e-bayaan se zaahir ho
· · ·
Ejaz Asif
be-niyaaz-e-saut-o-mahrum-e-bayaan rakkhaa gayaa
yaani harf-e-shauq ko zer-e-zabaan rakkhaa gayaa
khvaab mein rakkhi gai buniyaad-e-shahr-e-aarzu
qaid mein barfaab ki shoala javaan rakkhaa gayaa
· · ·
Ejaz Asif
kis dil se ham iraada-e-tark-e-junun karein
mumkin nahin ki khvaahish-e-sahraa kaa khuun karein
kuchh guftugu ho aaj urus-e-bahaar se
kuchh ham khizaan-rasida bhi haasil sakun karein
· · ·
Ejaz Asif
huun main bhi shoabada koi duniyaa ke saamne
hairaan ho rahi hai mujhe paa ke saamne
zarre ne aaj apni haqiqat ko paa liyaa
zarra na sar-nigun huaa sahraa ke saamne
· · ·
Ejaz Asif
raushni ko tirgi kaa qahr ban kar le gayaa
aankh mein mahfuz the jitne bhi manzar le gayaa
ajnabi saa lag rahaa huun aaj apne aap ko
aaine ke saamne main kis kaa paikar le gayaa
· · ·
Ejaz Asif
har ek shai ki haqiqat se baa-khabar dekhun
main apni khaak mein pinhaan tujhe bhi gar dekhun
ye kyaa ki haat baDhaaun to sang-reze milein
kahin to main bhi damakte hue guhar dekhun
· · ·
Ejaz Asif
sadaa-e-ahd-e-vafaa ko zavaal kyuun aayaa
lab-e-sukut pe harf-e-savaal kyuun aayaa
kise khabar ki chaman mein khizaan ki aamad par
ghurur-e-shoala-e-gul ko jalaal kyuun aayaa
· · ·
Ejaz Asif
phulon se hogi dhuul judaa dekhte raho
manzar nikhaar degi havaa dekhte raho
laaegi rang laghzish-e-paa dekhte raho
manzil bhi degi apnaa pataa dekhte raho
· · ·







