SHAWORDS

sadaa-e-ahd-e-vafaa ko zavaal kyuun aayaa — Ejaz Asif

HomeEjaz AsifGhazal
"sadaa-e-ahd-e-vafaa ko zavaal kyuun aayaa lab-e-sukut pe harf-e-savaal kyuun aayaa kise khabar ki chaman mein khizaan ki aamad par ghurur-e-shoala-e-gul ko jalaal kyuun aayaa bujhaa rahaa thaa main apne vajud kaa khurshid tiri nigaah mein rang-e-malaal kyuun aayaa shab-e-firaaq ne dekhi na thi miri surat shab-e-firaaq ko meraa khayaal kyuun aayaa chubhan hai zehan mein 'aasif' ki is andhere mein ufuq ke haath pe aakhir hilaal kyuun aayaa"
Urdu

صدائے عہد وفا کو زوال کیوں آیا لب سکوت پہ حرف سوال کیوں آیا کسے خبر کہ چمن میں خزاں کی آمد پر غرور‌ شعلۂ گل کو جلال کیوں آیا بجھا رہا تھا میں اپنے وجود کا خورشید تری نگاہ میں رنگ ملال کیوں آیا شب فراق نے دیکھی نہ تھی مری صورت شب فراق کو میرا خیال کیوں آیا چبھن ہے ذہن میں آصفؔ کہ اس اندھیرے میں افق کے ہاتھ پہ آخر ہلال کیوں آیا

Hindi

सदा-ए-अहद-ए-वफ़ा को ज़वाल क्यूँ आया लब-ए-सुकूत पे हर्फ़-ए-सवाल क्यूँ आया किसे ख़बर कि चमन में ख़िज़ाँ की आमद पर ग़ुरूर-ए-शोला-ए-गुल को जलाल क्यूँ आया बुझा रहा था मैं अपने वजूद का ख़ुर्शीद तिरी निगाह में रंग-ए-मलाल क्यूँ आया शब-ए-फ़िराक़ ने देखी न थी मिरी सूरत शब-ए-फ़िराक़ को मेरा ख़याल क्यूँ आया चुभन है ज़ेहन में 'आसिफ़' कि इस अँधेरे में उफ़ुक़ के हाथ पे आख़िर हिलाल क्यूँ आया

sadā-e-ahd-e-vafā ko zavāl kyuuñ aayā
Ejaz Asif
Ejaz Asif
Ejaz Asif
poet11 quotes

More by Ejaz Asif

View all →
Quote
"aa gayaa isaar mere halqa-e-ahbaab mein phir kisi sho'le ne paai hai numu barfaab mein kah rahi hai saahilon se Dubne vaale ki laash main ne paayaa hai sukun ik muztarib girdaab mein kaanp uTThaa huun varud-e-baarish-e-mauuda par gharq hone ko hai saaraa shahr sail-e-aab mein mere haathon mein agar taqdir-e-subh-o-shaam ho titliyaan taa'bir ki rakh duun kitaab-e-khvaab mein khaak ke putle ne aakhir kar diyaa ifshaa use dafan thaa jo raaz ab tak sina-e-mahtaab mein saamne ki chiiz mein 'aasif' nahin koi kashish tak na yuun hairat se apne 'aks ko taalaab mein"
Ejaz AsifEjaz Asif

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"
Mukhtar SiddiquiMukhtar Siddiqui