Quote
"bas paikar-e-jaanaan pe nazar khinch rahaa huun main saans suhulat se agar khinch rahaa huun jo teri mohabbat kaa gham-e-hijr hai us ko khushiyon se ghaTaaun to sifar khinch rahaa huun main apne muqaddar ko tire haath pe rakh kar manzil se lagaataar safar khinch rahaa huun main khinch rahaa huun kisi pencil se tiraa husn phir saath hi us ke main rubber khinch rahaa huun ik samt se tujh ko vo udhar khinch rahaa hai ik samt se tujh ko main idhar khinch rahaa huun nabiyon mein farishton kaa hunar dekhte hain log main un mein chhupaa ek bashar khinch rahaa huun tum paDh rahe ho sher mire lafz samajh kar naadaan main magar khun-e-jigar khinch rahaa huun"







