Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Kash Kannauji
daaman-e-zist gham se bhar Daalaa
bevafaa tujh se pyaar kar Daalaa
itnaa ehsaas ban chukaa huun main
apnaa ehsaas qatl kar Daalaa
· · ·
Kash Kannauji
zakhm-e-dil-gir ko lahu kar ke
tujh ko DhunDun hai aarzu kar ke
ek teri talaash mein ham ne
khud ko kho Daalaa ku-ba-ku kar ke
· · ·
Kash Kannauji
jab koi ham se ruuTh jaataa hai
haath haathon se chhuT jaataa hai
aankh uThti hai aasmaan ki taraf
dil miraa jab bhi TuuT jaataa hai
· · ·
Kash Kannauji
hai vaqt bigDaa hamaaraa badal bhi saktaa hai
tumhaare haath se ye pal nikal bhi saktaa hai
bahut sambhaalaa hai dil ko tumhaari fitrat se
magar jo dekhegaa phir se machal bhi saktaa hai
· · ·
Kash Kannauji
chand yaadon ke darmiyaan hogaa
teraa qissa vahaan bayaan hogaa
tere ehsaas kaa jo jaadu hai
meri ghazlon se vo ayaan hogaa
· · ·
Kash Kannauji
ab dil ke kaarobaar mein shohrat zaraa si ho
ham log jab milein to suhulat zaraa si ho
ye kyaa ki aaj yaad kiyaa kal bhulaa diyaa
chaaho kisi ko jab bhi to shiddat zaraa si ho
· · ·
Kash Kannauji
aao mil baiTh baat ki jaae
masala hai to raae li jaae
meraa dil phir dukhaa diyaa us ne
ik ghazal phir nai kahin jaae
· · ·
Kash Kannauji
gile shikve bhulaanaa aa gayaa phir
ghamon pe muskuraanaa aa gayaa phir
tu khelaa hai hamesha dil se mere
hamein bhi dil dukhaanaa aa gayaa phir
· · ·
Kash Kannauji
mire khudaa tu mujhe khud se aashnaa kar de
main teri shab se bhaTkun mujhe fanaa kar de
tamaam umr vo mere visaal ko tarse
tu us ke dil ko judaai se aashnaa kar de
· · ·
Kash Kannauji
ye zindagi kaa hai ik saaneha kahein kis se
hamaare biich mein hai faasla kahein kis se
tamaam raat to uljhan savaar thi mujh pe
tabhi main der se shaayad uThaa kahein kis se
· · ·
Kash Kannauji
dil chaahtaa thaa laanaa jigar le ke aa gayaa
main apni shaairi kaa hunar le ke aa gayaa
ai iltifaat-e-yaar mujhe muaaf kar ki main
laanaa kahin thaa tujh ko kidhar le ke aa gayaa
· · ·
Kash Kannauji
ham se rudaad-e-mohabbat mein khayaanat na hui
us se bichhDe to kisi aur se ulfat na hui
dil mein baste thaa mere vo kabhi dhaDkan ki tarah
baad is ke to mire dil ko mohabbat na hui
· · ·







