SHAWORDS

jab koi ham se ruuTh jaataa hai — Kash Kannauji

HomeKash KannaujiGhazal
"jab koi ham se ruuTh jaataa hai haath haathon se chhuT jaataa hai aankh uThti hai aasmaan ki taraf dil miraa jab bhi TuuT jaataa hai dil huaa hai hamaaraa dilli saa jis ko dekhun vo lauT jaataa hai apnaa dil apne paas hi rakhiye ham se vo TuuT phuuT jaataa hai samjho vo ho gayaa khudaa ke qarib jis ki baaton se jhuuT jaataa hai kitnaa naazuk hai dil miraa 'kaashif' us ki baaton se TuuT jaataa hai"
Urdu

جب کوئی ہم سے روٹھ جاتا ہے ہاتھ ہاتھوں سے چھوٹ جاتا ہے آنکھ اٹھتی ہے آسماں کی طرف دل مرا جب بھی ٹوٹ جاتا ہے دل ہوا ہے ہمارا دلی سا جس کو دیکھوں وہ لوٹ جاتا ہے اپنا دل اپنے پاس ہی رکھئے ہم سے وہ ٹوٹ پھوٹ جاتا ہے سمجھو وہ ہو گیا خدا کے قریب جس کی باتوں سے جھوٹ جاتا ہے کتنا نازک ہے دل مرا کاشفؔ اس کی باتوں سے ٹوٹ جاتا ہے

Hindi

जब कोई हम से रूठ जाता है हाथ हाथों से छूट जाता है आँख उठती है आसमाँ की तरफ़ दिल मिरा जब भी टूट जाता है दिल हुआ है हमारा दिल्ली सा जिस को देखूँ वो लौट जाता है अपना दिल अपने पास ही रखिए हम से वो टूट फूट जाता है समझो वो हो गया ख़ुदा के क़रीब जिस की बातों से झूट जाता है कितना नाज़ुक है दिल मिरा 'काशिफ़' उस की बातों से टूट जाता है

jab koī ham se ruuTh jaatā hai
Kash Kannauji
Kash Kannauji
Kash Kannauji
poet12 quotes

More by Kash Kannauji

View all →
Quote
"ab dil ke kaarobaar mein shohrat zaraa si ho ham log jab milein to suhulat zaraa si ho ye kyaa ki aaj yaad kiyaa kal bhulaa diyaa chaaho kisi ko jab bhi to shiddat zaraa si ho is daur-e-nau mein miltaa hai eazaaz bhi use jo matlabi ho jis mein jahaalat zaraa si ho karnaa to chaahtaa huun main tujh se kai savaal ai iltifaat-e-yaar inaayat zaraa si ho jis pe hai dil fidaa miraa jo hai mujhe eazaaz us ke bhi dil mein kaash mohabbat zaraa si ho main jis ke pyaar mein huaa barbaad chaar-su us ke bhi dil mein meri hukumat zaraa si ho 'kaashif' mujhe pasand na aaya kabhi vo shakhs daulat ho jis pe khuub par izzat zaraa si ho"
Kash KannaujiKash Kannauji

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud