SHAWORDS

chand yaadon ke darmiyaan hogaa — Kash Kannauji

HomeKash KannaujiGhazal
"chand yaadon ke darmiyaan hogaa teraa qissa vahaan bayaan hogaa tere ehsaas kaa jo jaadu hai meri ghazlon se vo ayaan hogaa jis ne raushan karin meri raatein vo miraa chaand ab kahaan hogaa aa ke ik baar dil mein jhaank mere tu hi is mein kahin nihaan hogaa jab vo bichhDegaa mere dil kaa khuun kaash phailaa yahaan vahaan hogaa mujh se ghazlein udaas hain 'kaashif' aaj phir dard raaegaan hogaa"
Urdu

چند یادوں کے درمیاں ہوگا تیرا قصہ وہاں بیاں ہوگا تیرے احساس کا جو جادو ہے میری غزلوں سے وہ عیاں ہوگا جس نے روشن کریں میری راتیں وہ مرا چاند اب کہاں ہوگا آ کے اک بار دل میں جھانک میرے تو ہی اس میں کہیں نہاں ہوگا جب وہ بچھڑے گا میرے دل کا خوں کاش پھیلا یہاں وہاں ہوگا مجھ سے غزلیں اداس ہیں کاشفؔ آج پھر درد رائیگاں ہوگا

Hindi

चंद यादों के दरमियाँ होगा तेरा क़िस्सा वहाँ बयाँ होगा तेरे एहसास का जो जादू है मेरी ग़ज़लों से वो अयाँ होगा जिस ने रौशन करीं मेरी रातें वो मिरा चाँद अब कहाँ होगा आ के इक बार दिल में झाँक मेरे तू ही इस में कहीं निहाँ होगा जब वो बिछड़ेगा मेरे दिल का ख़ूँ काश फैला यहाँ वहाँ होगा मुझ से ग़ज़लें उदास हैं 'काशिफ़' आज फिर दर्द राएगाँ होगा

chand yādoñ ke darmiyāñ hogā
Kash Kannauji
Kash Kannauji
Kash Kannauji
poet12 quotes

More by Kash Kannauji

View all →
Quote
"ab dil ke kaarobaar mein shohrat zaraa si ho ham log jab milein to suhulat zaraa si ho ye kyaa ki aaj yaad kiyaa kal bhulaa diyaa chaaho kisi ko jab bhi to shiddat zaraa si ho is daur-e-nau mein miltaa hai eazaaz bhi use jo matlabi ho jis mein jahaalat zaraa si ho karnaa to chaahtaa huun main tujh se kai savaal ai iltifaat-e-yaar inaayat zaraa si ho jis pe hai dil fidaa miraa jo hai mujhe eazaaz us ke bhi dil mein kaash mohabbat zaraa si ho main jis ke pyaar mein huaa barbaad chaar-su us ke bhi dil mein meri hukumat zaraa si ho 'kaashif' mujhe pasand na aaya kabhi vo shakhs daulat ho jis pe khuub par izzat zaraa si ho"
Kash KannaujiKash Kannauji

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer