SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byKhalid Ahmad(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

GhazalKhalid Ahmad

Khalid Ahmad

haal havaa jab puchhne aai ham majburon se

koi baat kahaan ban paai ham majburon se

aaj sabhi dukh aansu ban kar aankh mein tair gae

khel rahi thi khel khudaai ham majburon se

· · ·

GhazalKhalid Ahmad

Khalid Ahmad

baat se baat nikalne ke vasile na rahe

lab rasile na rahe nain nashile na rahe

ashk barse to darun-khaana-e-jaan sail gayaa

dard chamkaa to dar-o-baam bhi giile na rahe

· · ·

GhazalKhalid Ahmad

Khalid Ahmad

rang kahte hain kahaani meri

kis ki khushbu thi javaani meri

koi paae to mujhe kyaa paae

khoe rahnaa hai nishaani meri

· · ·

GhazalKhalid Ahmad

Khalid Ahmad

ik gaam sar-e-raah-e-sipaah aai na duniyaa

daryuza-e-uqbaa thaa so raas aai na duniyaa

mahrum rahi sohbat-e-mardaan-e-razaa se

kis husn ki dahshat thi ki paas aai na duniyaa

· · ·

GhazalKhalid Ahmad

Khalid Ahmad

phir vahi mehrbaan huaa aai

ai miri be-charaagh tanhaai

bain karne lagein na sannaaTe

paasdaaraan-e-gosh-o-goyaai

· · ·

GhazalKhalid Ahmad

Khalid Ahmad

kis baat pe gir gae nazar se

puchhe to sadaf saf-e-guhar se

ai dasht-navard-e-dil palaT bhi

ai khaak-ba-sar nikal bhi ghar se

· · ·

GhazalKhalid Ahmad

Khalid Ahmad

rag rag ek tasavvur ek umang bhare

ik khushbu phulon mein kyaa kyaa rang bhare

fan ki apni mauj dukhon ki apni rau

ik tarkash mein koi kitne khadang bhare

· · ·

GhazalKhalid Ahmad

Khalid Ahmad

pyaas lagnaa thi lagi sarshaar honaa thaa hue

ham ko gharqaab-e-saraab-e-daar honaa thaa hue

ham tiri aahaT pe saDkon par nikal aae to kyaa

ham ko rusvaa bar-sar-e-baazaar honaa thaa hue

· · ·

GhazalKhalid Ahmad

Khalid Ahmad

ubhri na koi shakl na paikar nazar aayaa

tasvir mein rangon kaa samundar nazar aayaa

ai dost tiraa shahr bhi hai shahr-e-tilismaat

chhukar jise dekhaa vahi patthar nazar aayaa

· · ·

GhazalKhalid Ahmad

Khalid Ahmad

dil bhar aae to samundar nahin dekhe jaate

aks paani mein utar kar nahin dekhe jaate

dekh ai sust-ravi ham se kinaaraa kar le

har qadam raah ke patthar nahin dekhe jaate

· · ·

GhazalKhalid Ahmad

Khalid Ahmad

khauf-zada the kaun se log in sher-dileron se

koi to itnaa puchhe in miTTi ke Dheron se

din ke des se uD aate hain meri aankhon mein

saath nibhaanaa bhuul gae the rang andheron se

· · ·

GhazalKhalid Ahmad

Khalid Ahmad

lab siye dekhaa karun sochaa karun

mere bas mein kuchh nahin main kyaa karun

raah mein hai dard kaa koh-e-giraan

kohkan bhi main nahin main kyaa karun

· · ·

GhazalKhalid Ahmad

Khalid Ahmad

sitam-taraaz talak zakhm-aashnaa bhi to ho

ufuq ufuq shafaq-e-dard ki hinaa bhi to ho

khalaa-ba-paa huun magar dasht dasht khaak-ba-sar

kuchh apnaa aap miTaane ki intihaa bhi to ho

· · ·

GhazalKhalid Ahmad

Khalid Ahmad

patthar se kyaa shakl nikaale ye ham kyaa jaanein

aazar kis paikar mein Dhaale ye ham kyaa jaanein

kaun havaa kaa haath baDhaae naav ulaT jaae

dariyaa kuude kaun uchhaale ye ham kyaa jaanein

· · ·

GhazalKhalid Ahmad

Khalid Ahmad

vo charchaa ji ke jhanjhaT kaa huaa hai

ki dil kaa paasbaan khaTkaa huaa hai

vo misraa thaa ki ik gul-rang chehra

abhi tak zehn mein aTkaa huaa hai

· · ·

GhazalKhalid Ahmad

Khalid Ahmad

rang saa phirtaa hai zer-e-aasmaan dekhaa huaa

ru-ba-ru ik aks hai jaane kahaan dekhaa huaa

kis ke hone ki khabar dete hain ye divaar-o-dar

jaane kyuun lagtaa hai mujh ko ye makaan dekhaa huaa

· · ·

GhazalKhalid Ahmad

Khalid Ahmad

Dar ye hai baazuon mein mom ki surat na pighal jaae kahin

tu mire saath mire jism ke dozakh mein na jal jaae kahin

ghar se gaataa huaa niklaa to huun main naghma-e-ehsaas magar

shahr ke shor mein dab jaaein na sar lai na badal jaae kahin

· · ·

GhazalKhalid Ahmad

Khalid Ahmad

sahraa mein divaar banaanaa jaane kaisaa ho

aur phir is se sar Takraanaa jaane kaisaa ho

ye raste jo ham ne pag pag aap bikhere hain

in raston se lauT ke jaanaa jaane kaisaa ho

· · ·

GhazalKhalid Ahmad

Khalid Ahmad

zindagi mein kisi rukh kaa kisi dukh kaa honaa

achchhaa hotaa hai safar mein koi apnaa honaa

dard bhi mauj ke maanind safar karte hain

achchhaa rahtaa hai palak par koi taaraa honaa

· · ·

GhazalKhalid Ahmad

Khalid Ahmad

nuur nuur zehnon mein khauf ke andhere hain

raushni ke peDon par raat ke basere hain

shahr shahr sannaaTe yuun sadaa ko ghere hain

jis tarah jaziron ke paaniyon mein Dere hain

· · ·

GhazalKhalid Ahmad

Khalid Ahmad

zamin ko phuul fazaa ko ghaTaaein detaa hai

mujhe falak se vo ab tak sadaaein detaa hai

vahi navaa-gar-e-aalam khudaa-e-saut-o-sadaa

vahi havaa ko faqat saaein saaein detaa hai

· · ·

GhazalKhalid Ahmad

Khalid Ahmad

is tarah phuuT ke royaa koi

be-kason kaa nahin goyaa koi

shor se gunjte sannaaTon ke

vaa kare kyaa lab-e-goyaa koi

· · ·

GhazalKhalid Ahmad

Khalid Ahmad

rabt kis se thaa kise kis kaa shanaasaa kaun thaa

shahr bhar tanhaa thaa lekin mujh saa tanhaa kaun thaa

main samundar thaa magar viraan thaa sahraa ki tarah

mere ghar tak chal ke aataa itnaa pyaasaa kaun thaa

· · ·

GhazalKhalid Ahmad

Khalid Ahmad

khaak par khaak ki Dheriyaan rah gaiin

aadmi uTh gae nekiyaan rah gaiin

kis ki taalim kaa aakhiri saal thaa

chuDiyaan bik gaiin baaliyaan rah gaiin

· · ·