SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMannan Bijnori(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"qadam sau man ke lagte hain kamar hi TuuT jaati hai koi ummid jab bar aati aati TuuT jaati hai dariche band zehnon ke nahin khulte hain taaqat se lagaa ho zang taale mein to chaabi TuuT jaati hai tiri ulfat mein aisaa haal hai jaise koi machhli nigal leti hai kaanTaa aur laggi TuuT jaati hai jidhar ke ho udhar ke ho raho dil se to behtar hai ki loTaa be-tali kaa ho to TonTi TuuT jaati hai akaD kar bolne vaale na ho gar taan aaTe mein tave se qabl hi haathon mein roTi TuuT jaati hai chavanni ke na tuDvaane pe ham se ruThne vaale kahaan hai tu ki aa ab sau ki gaDDi TuuT jaati hai"
Mannan BijnoriMannan Bijnori
Quote
"quvvat-e-jaur jaae chhin tujh se jo tu jafaa kare tu bhi ho be-bas ek din aisaa bhi ho khudaa kare chheDe koi jo gham ki baat teraa bhi jaae dil pe haath siine mein dhaDkanon ke saath tiir saa kuchh chubhaa kare tere bhi honT jaaein sil tu bhi kabhi ho munfail rukh pe baras ke abr-e-dil qissa-e-dil kahaa kare aatish-e-shauq ho na kam baDhti hi jaae dam-ba-dam lazzat-e-dilbari se gham tujh ko bhi aashnaa kare ul-julul bak gayaa tujh ko tiraa ye dil-jalaa rab se magar hai ye duaa kuchh na tiraa buraa kare vaqt ki aae din ki raaD ziist ki dam-ba-dam lataaD us pe ghamon ki chheD-chhaaD koi na kyuun chiDaa kare vasl ki bar na aae aas kar ke hazaar iltimaas hijr mein ho jo mahv-e-yaas vo ye ghazal paDhaa kare"
Mannan BijnoriMannan Bijnori
Quote
"shab-e-be-maah bhi us ki nahin kaali hogi jis ne katran bhi tire nuur ki paa li hogi log kahte hain koi tujh saa hasin aur bhi hai main ye kahtaa huun ki ye baat khayaali hogi us ne bhi mujh ko yahi soch ke DhunDaa na kabhi main ne ab tak to nai duniyaa basaa li hogi jab sunaa ek andheraa saa hai ghar mein mere dukh se bole miri tasvir haTaa li hogi hain pashemaan vo moattal tujhe kar ke ai dil gham na kar phir usi mansab pe bahaali hogi aaTh das saal mein 'mannaan' ye ejaaz-e-sukhan tum ne kuchh umr-e-sukhan apni chhupaa li ho hogi"
Mannan BijnoriMannan Bijnori
Quote
"husn hai maghrur dil saudaai hai ishq aur nafrat mein haathaa-paai hai dhaDkanon mein kar diyaa paidaa fasaad har adaa mein teri ik balvaai hai ham ne khud dekhi hai dast-e-ghair mein teri to tasvir bhi harjaai hai vajd aankhon mein hai baasi niind kaa vasl ki jab se karam-farmaai hai tum ko dekhe bin guzarnaa chheD thaa dil pe mat lo daagh-e-dil dukh-daai hai dil-lagi hai ibtidaa-e-dilbari chaahaton mein chheD-chhaaD achchhaai hai kitni sharmili hai 'mannaan' us ki yaad dard ke parde mein chhap kar aai hai"
Mannan BijnoriMannan Bijnori
Quote
"aarzuon ne uchhal-kud machaai hui hai jab se tujh tak miri chaahat ki rasaai hui hai mujh se israar hai dil kaa ki banun sahraai khaak naadaan ne siine mein uDaai hui hai duur se taapne vaale bhi jhulas sakte hain teri raanaai ne vo aag lagaai hui hai rah ke siine mein mire teraa taraf-daar hai dil saari paTTi tiri aankhon ki paDhaai hui hai khush-numaa manzaro itraao na itnaa khud par yaar ne zulf-e-hasin rukh pe giraai hui hai ahl-e-takhil tasavvur mein jise chhu na sakein main ne vo shakl nigaahon mein basaai hui hai"
Mannan BijnoriMannan Bijnori
Quote
"aapsi baaton ko akhbaar nahin hone diyaa ham ne ye kamra havaa-daar nahin hone diyaa bad-gumaani ko kiyaa chaae pilaa kar rukhsat naashte kaa bhi talabgaar nahin hone diyaa dil ke zakhmon ki khabar hone na di ashkon ko gham kaa aankhon se sarokaar nahin hone diyaa sakht lafzon mein bhi deti hai mazaa baat us ki us ne lahje ko dil-aazaar nahin hone diyaa rakh diye honTon pe ungli ki tarah honT us ne ek shikva bhi numudaar nahin hone diyaa us ne naadaan ho, kah kar hamein uksaayaa thaa umr bhar us ko samajhdaar nahin hone diyaa chaahatein paain hain 'mannaan' vafaaon ke tufail jazba-e-ishq ko ayyaar nahin hone diyaa"
Mannan BijnoriMannan Bijnori