SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMasood Tanha(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

GhazalMasood Tanha

Masood Tanha

kam kiyaa ham ne apni zaat pe ghaur

ham to karte hain kaaenaat pe ghaur

tum ne maane hain hukm ghairon ke

kab kiyaa hai hamaari baat pe ghaur

· · ·

GhazalMasood Tanha

Masood Tanha

dayaar-e-be-hunar mein ye hunar bechaa nahin main ne

main be-ghar to huaa huun apnaa ghar bechaa nahin main ne

zarurat to rahi hai mujh ko bhi ashyaa-e-duniyaa ki

magar khud ko kabhi bhi lamha-bhar bechaa nahin main ne

· · ·

GhazalMasood Tanha

Masood Tanha

mohabbat mein vafaa ke goshvaare bhuul baiThaa thaa

main apne sab munaafe sab khasaare bhuul baiThaa thaa

safar mein saath tum bhi the mujhe kyaa gham thaa raste kaa

main apni dhun mein thaa vaade tumhaare bhuul baiThaa thaa

· · ·

GhazalMasood Tanha

Masood Tanha

kuchh tumhaare to kuchh hamaare hue

is mohabbat mein jo khasaare hue

ham ne tanhaaiyon ke saare pal

apne ashkon se hain sanvaare hue

· · ·

GhazalMasood Tanha

Masood Tanha

rahaa safar mein to aksar udaas kar degaa

use bhi shaam kaa manzar udaas kar degaa

mujhe yaqin hai ki ik roz laaziman tum ko

vo apne ahd se haT kar udaas kar degaa

· · ·

GhazalMasood Tanha

Masood Tanha

aqlim-e-aql-o-hosh ke sultaan ho gae

khud ko bhulaa ke saahib-e-irfaan ho gae

kyaa jaane aks meraa vahaan kaise aa gayaa

vo aaine ko dekh ke hairaan ho gae

· · ·

GhazalMasood Tanha

Masood Tanha

baa-vafaa taarikh ke auraaq mein maane gae

jin alam-daaron ke dariyaaon pe kaT shaane gae

ham to apne the magar raanda gae the ishq mein

un se milne ke liye is baar begaane gae

· · ·

GhazalMasood Tanha

Masood Tanha

mahfil mein go ki zamzama-khvaani hai aur bas

meri nazar mein ashk-fishaani hai aur bas

chehre nae nae hain dayaar-e-haris mein

lekin gali tumhaari puraani hai aur bas

· · ·

GhazalMasood Tanha

Masood Tanha

mujhe pata hai junun kaa asar ziyaada hai

ki raah-e-shauq kaa mushkil safar ziyaada hai

suluk rakhtaa hai mujh se munaafiqon jaisaa

tamaam shahr mein jo mo'atabar ziyaada hai

· · ·

GhazalMasood Tanha

Masood Tanha

kisi ke ahd-e-tamannaa mein ham jiye kitne

hamaare saamne TuuTe hain aaine kitne

na puchh ham se akaarat hui javaani bhi

ki tere hijr mein kaaTe hain rat-jage kitne

· · ·

GhazalMasood Tanha

Masood Tanha

tiri jab tak kami baaqi rahegi

miri aavaargi baaqi rahegi

bikhar jaaungaa main lekin nazar mein

shabih-e-shabnami baaqi rahegi

· · ·

GhazalMasood Tanha

Masood Tanha

shisha-e-dil ujaal kar dekhein

ham bhi koi kamaal kar dekhein

jis ko rakkhaa aziz-e-jaan us ko

aaj dil se nikaal kar dekhein

· · ·

GhazalMasood Tanha

Masood Tanha

vo tilism-e-nigah-e-naaz kahaan bhulaa hai

gham ki rudaad kaa aaghaaz kahaan bhulaa hai

kitnaa dilkash hai tire husn-e-nazar kaa manzar

dekhne kaa mujhe andaaz kahaan bhulaa hai

· · ·

GhazalMasood Tanha

Masood Tanha

kuchh arz-e-iltifaat pe bhi ghaur kijiye

meri guzaarishaat pe bhi ghaur kijiye

aasaaishon mein apni raho har ghaDi magar

apnon ke haadsaat pe bhi ghaur kijiye

· · ·

GhazalMasood Tanha

Masood Tanha

koi bhi mo'atabar miltaa nahin hai

ik achchhaa ham-safar miltaa nahin hai

kahaan rahtaa hai aur miltaa hai kis se

hamein tu apne ghar miltaa nahin hai

· · ·

GhazalMasood Tanha

Masood Tanha

azizon ki inaayat bhi sazaa maalum hoti hai

ye barson ki rifaaqat bhi sazaa maalum hoti hai

kisi ke lauT aane ke bahut se khvaab dekhe the

magar ab to mohabbat bhi sazaa maalum hoti hai

· · ·

GhazalMasood Tanha

Masood Tanha

yunhi be-naam ta'alluq mein na maare jaate

achchhaa hotaa jo tire husn pe vaare jaate

baarhaa ham ne use ro ke kahaa hai saahab

din judaai ke nahin ham se guzaare jaate

· · ·

GhazalMasood Tanha

Masood Tanha

bebasi kaa jahaan chhoD aae

us kaa vahm-o-gumaan chhoD aae

ham musaafir the tere kuche mein

qarya qarya nishaan chhoD aae

· · ·

GhazalMasood Tanha

Masood Tanha

bojh itnaa hai mere shaane par

main ki majbur huun uThaane par

dosto mujh se ho gae barham

be-basar aaina dikhaane par

· · ·

GhazalMasood Tanha

Masood Tanha

koi jab muskuraa kar boltaa hai

mire dil kaa kabutar boltaa hai

gharaz hi kyaa hai tum ko mere dukh se

ki teraa to muqaddar boltaa hai

· · ·

GhazalMasood Tanha

Masood Tanha

is shahr-e-nigaaraan mein koi tujh saa nahin hai

main kaise bataaun tujhe tu kitnaa hasin hai

phulon kaa gudaaz ik tire paikar kaa havaala

mahtaab se baDh kar tiri rakhshanda jabin hai

· · ·

GhazalMasood Tanha

Masood Tanha

raah badlein ki rahnumaa badlein

ham hain is soch mein ki kyaa badlein

kar chuke the jo ham bichhaDne kaa

ab zaruri hai faisla badlein

· · ·

GhazalMasood Tanha

Masood Tanha

aao koi to hal nikaalte hain

saare qisse pe khaak Daalte hain

har musibat ko hans ke Taalte hain

jhumte hain dhamaal Daalte hain

· · ·

GhazalMasood Tanha

Masood Tanha

yuun bhi kab us se raabta niklaa

vo to achchhaa thaa main buraa niklaa

jaan ki maanind jis ko chaahaa thaa

dost lekin vo ghair kaa niklaa

· · ·