SHAWORDS

mujhe pata hai junun kaa asar ziyaada hai — Masood Tanha

HomeMasood TanhaGhazal
"mujhe pata hai junun kaa asar ziyaada hai ki raah-e-shauq kaa mushkil safar ziyaada hai suluk rakhtaa hai mujh se munaafiqon jaisaa tamaam shahr mein jo mo'atabar ziyaada hai use bhi tujh se mohabbat rahi hai jaan-e-ghazal jo teri bazm mein baa-chashm-e-tar ziyaada hai faqih-e-shahr kaa main ne sunaa hai vaaz bahut tire bayaan mein lekin asar ziyaada hai main sochtaa huun ki guzregi kis tarah 'tanhaa' ye kal kaa bojh mire aaj par ziyaada hai"
Urdu

مجھے پتہ ہے جنوں کا اثر زیادہ ہے کہ راہ شوق کا مشکل سفر زیادہ ہے سلوک رکھتا ہے مجھ سے منافقوں جیسا تمام شہر میں جو معتبر زیادہ ہے اسے بھی تجھ سے محبت رہی ہے جان غزل جو تیری بزم میں با چشم تر زیادہ ہے فقیہ شہر کا میں نے سنا ہے وعظ بہت ترے بیان میں لیکن اثر زیادہ ہے میں سوچتا ہوں کہ گزرے گی کس طرح تنہاؔ یہ کل کا بوجھ مرے آج پر زیادہ ہے

Hindi

मुझे पता है जुनूँ का असर ज़ियादा है कि राह-ए-शौक़ का मुश्किल सफ़र ज़ियादा है सुलूक रखता है मुझ से मुनाफ़िक़ों जैसा तमाम शहर में जो मो'तबर ज़ियादा है उसे भी तुझ से मोहब्बत रही है जान-ए-ग़ज़ल जो तेरी बज़्म में बा-चश्म-ए-तर ज़ियादा है फ़क़ीह-ए-शहर का मैं ने सुना है वा'ज़ बहुत तिरे बयान में लेकिन असर ज़ियादा है मैं सोचता हूँ कि गुज़रेगी किस तरह 'तन्हा' ये कल का बोझ मिरे आज पर ज़ियादा है

mujhe pata hai junūñ kā asar ziyāda hai
Masood Tanha
Masood Tanha
Masood Tanha
poet60 quotes

More by Masood Tanha

View all →
Quote
"dayaar-e-be-hunar mein ye hunar bechaa nahin main ne main be-ghar to huaa huun apnaa ghar bechaa nahin main ne zarurat to rahi hai mujh ko bhi ashyaa-e-duniyaa ki magar khud ko kabhi bhi lamha-bhar bechaa nahin main ne mire siine mein jo paltaa rahaa hai ek muddat se kisi surat bhi bachpan kaa vo Dar bechaa nahin main ne usi ko bech Daalaa hai ye joban bhi javaani bhi ye apni aabru ko dar-ba-dar bechaa nahin main ne jalaa huun umr-bhar main is tamaazat mein sar-e-sahraa kisi surat bhi ghurbat mein shajar bechaa nahin main ne samandar se adaavat to rahi hai aaj tak 'tanhaa' samandar kaa koi laal-o-gohar bechaa nahin main ne"
Masood TanhaMasood Tanha
Quote
"mohabbat mein vafaa ke goshvaare bhuul baiThaa thaa main apne sab munaafe sab khasaare bhuul baiThaa thaa safar mein saath tum bhi the mujhe kyaa gham thaa raste kaa main apni dhun mein thaa vaade tumhaare bhuul baiThaa thaa main in lahron ke aanchal mein lipaT ke duur jaa pahunchaa samandar ki mohabbat mein kinaare bhuul baiThaa thaa bichhaD jaane ki vo baatein to aksar kartaa rahtaa thaa main un lafzon ke makhfi istiaare bhuul baiThaa thaa miri nazron mein be-mafhum thi ye raunaq-e-duniyaa main is duniyaa ko yaadon ke sahaare bhuul baiThaa thaa mujhe tum yaad aae the december ke mahine mein jab apni saari nindein khvaab saare bhuul baiThaa thaa"
Masood TanhaMasood Tanha
Quote
"rahaa safar mein to aksar udaas kar degaa use bhi shaam kaa manzar udaas kar degaa mujhe yaqin hai ki ik roz laaziman tum ko vo apne ahd se haT kar udaas kar degaa jo tere naam ke sadqe mein mujh se maangegaa gali mein aisaa gadaagar udaas kar degaa abhi to vaqt hai is ke na tum qarib raho tumhein tumhaaraa sukhanvar udaas kar degaa ik ajnabi pe jo tum e'timaad karte ho tumhein kahin na kahin par udaas kar degaa mujhe pata hai ki mulhid hai shahr-e-hasrat se chalaa gayaa to ye kaafir udaas kar degaa"
Masood TanhaMasood Tanha

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar