"dayaar-e-be-hunar mein ye hunar bechaa nahin main ne main be-ghar to huaa huun apnaa ghar bechaa nahin main ne zarurat to rahi hai mujh ko bhi ashyaa-e-duniyaa ki magar khud ko kabhi bhi lamha-bhar bechaa nahin main ne mire siine mein jo paltaa rahaa hai ek muddat se kisi surat bhi bachpan kaa vo Dar bechaa nahin main ne usi ko bech Daalaa hai ye joban bhi javaani bhi ye apni aabru ko dar-ba-dar bechaa nahin main ne jalaa huun umr-bhar main is tamaazat mein sar-e-sahraa kisi surat bhi ghurbat mein shajar bechaa nahin main ne samandar se adaavat to rahi hai aaj tak 'tanhaa' samandar kaa koi laal-o-gohar bechaa nahin main ne"
bojh itnaa hai mere shaane par — Masood Tanha
"bojh itnaa hai mere shaane par main ki majbur huun uThaane par dosto mujh se ho gae barham be-basar aaina dikhaane par ab uDungaa main apni himmat se lag gae hain mujhe zamaane par bach ke niklaa thaa jo kabhi mujh se aa gayaa hai mire nishaane par aa bhi jaaeinge zer-e-daam aakhir ye jo aate hain ek daane par ik nazar hai tire taaaqub mein ik nazar hai miri zamaane par ghar banaayaa thaa aur niyyat se aa gayaa huun main ab jalaane par duniyaa aaegi baad marne ke ham faqiron ke aastaane par rafta rafta ab aa gai 'tanhaa' zindagi maut ke dahaane par"
بوجھ اتنا ہے میرے شانے پر میں کہ مجبور ہوں اٹھانے پر دوستو مجھ سے ہو گئے برہم بے بصر آئنہ دکھانے پر اب اڑوں گا میں اپنی ہمت سے لگ گئے ہیں مجھے زمانے پر بچ کے نکلا تھا جو کبھی مجھ سے آ گیا ہے مرے نشانے پر آ بھی جائیں گے زیر دام آخر یہ جو آتے ہیں ایک دانے پر اک نظر ہے ترے تعاقب میں اک نظر ہے مری زمانے پر گھر بنایا تھا اور نیت سے آ گیا ہوں میں اب جلانے پر دنیا آئے گی بعد مرنے کے ہم فقیروں کے آستانے پر رفتہ رفتہ اب آ گئی تنہاؔ زندگی موت کے دہانے پر
बोझ इतना है मेरे शाने पर मैं कि मजबूर हूँ उठाने पर दोस्तो मुझ से हो गए बरहम बे-बसर आइना दिखाने पर अब उड़ूँगा मैं अपनी हिम्मत से लग गए हैं मुझे ज़माने पर बच के निकला था जो कभी मुझ से आ गया है मिरे निशाने पर आ भी जाएँगे ज़ेर-ए-दाम आख़िर ये जो आते हैं एक दाने पर इक नज़र है तिरे तआ'क़ुब में इक नज़र है मिरी ज़माने पर घर बनाया था और निय्यत से आ गया हूँ मैं अब जलाने पर दुनिया आएगी बाद मरने के हम फ़क़ीरों के आस्ताने पर रफ़्ता रफ़्ता अब आ गई 'तन्हा' ज़िंदगी मौत के दहाने पर

More by Masood Tanha
View all →"mohabbat mein vafaa ke goshvaare bhuul baiThaa thaa main apne sab munaafe sab khasaare bhuul baiThaa thaa safar mein saath tum bhi the mujhe kyaa gham thaa raste kaa main apni dhun mein thaa vaade tumhaare bhuul baiThaa thaa main in lahron ke aanchal mein lipaT ke duur jaa pahunchaa samandar ki mohabbat mein kinaare bhuul baiThaa thaa bichhaD jaane ki vo baatein to aksar kartaa rahtaa thaa main un lafzon ke makhfi istiaare bhuul baiThaa thaa miri nazron mein be-mafhum thi ye raunaq-e-duniyaa main is duniyaa ko yaadon ke sahaare bhuul baiThaa thaa mujhe tum yaad aae the december ke mahine mein jab apni saari nindein khvaab saare bhuul baiThaa thaa"
"kuchh tumhaare to kuchh hamaare hue is mohabbat mein jo khasaare hue ham ne tanhaaiyon ke saare pal apne ashkon se hain sanvaare hue ab to shiddat se yaad aate hain teri qurbat mein din guzaare hue ye to hain ashk meri aankhon ke teri palkon pe jo sitaare hue jab talaatum kaa saamnaa thaa hamein duur ham se bahut kinaare hue aaj milnaa hai tum ne kis kis se tum ne gesu bhi hain sanvaare hue uTh ke ham aa gae the mahfil se us ki jaanib se jab ishaare hue"
"rahaa safar mein to aksar udaas kar degaa use bhi shaam kaa manzar udaas kar degaa mujhe yaqin hai ki ik roz laaziman tum ko vo apne ahd se haT kar udaas kar degaa jo tere naam ke sadqe mein mujh se maangegaa gali mein aisaa gadaagar udaas kar degaa abhi to vaqt hai is ke na tum qarib raho tumhein tumhaaraa sukhanvar udaas kar degaa ik ajnabi pe jo tum e'timaad karte ho tumhein kahin na kahin par udaas kar degaa mujhe pata hai ki mulhid hai shahr-e-hasrat se chalaa gayaa to ye kaafir udaas kar degaa"
"aqlim-e-aql-o-hosh ke sultaan ho gae khud ko bhulaa ke saahib-e-irfaan ho gae kyaa jaane aks meraa vahaan kaise aa gayaa vo aaine ko dekh ke hairaan ho gae har gosha-e-hayaat miraa jagmagaa uThaa raushan mohabbaton ke shama-daan ho gae yaadon ke zakhm aur zamaane ki tohmatein ham bekason ki maut ke saamaan ho gae aisi havaa chali ki miraa dil hi bujh gayaa taarik meri ziist ke aivaan ho gae 'tanhaa' se ab zaraa bhi maraasim nahin rahe teri taraf se aaj ye elaan ho gae"
"kam kiyaa ham ne apni zaat pe ghaur ham to karte hain kaaenaat pe ghaur tum ne maane hain hukm ghairon ke kab kiyaa hai hamaari baat pe ghaur masale hal na ho sake apne kar chuke hain muzaakaraat pe ghaur baat hoti hai jab mohabbat ki karnaa paDtaa hai dil ki baat pe ghaur jab bhi milne ki baat kartaa huun karne lagte hain meri baat pe ghaur haadisa phir na pesh aataa hamein ye muhaafiz jo karte ghaat pe ghaur"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"