Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Muzaffar Eraj
shahr-e-be-saut mein amaan mil jaae
koi patthar miri taraf hi aae
ik fasil-e-havaa na rang na ruup
ik khayaal-e-khudaa mujhe bahkaae
· · ·
Muzaffar Eraj
vo bahut be-qaraar hai shaayad
us ko bhi intizaar hai shaayad
nafratein sar se paanv tak dekhein
dil mein thoDaa saa pyaar hai shaayad
· · ·
Muzaffar Eraj
tumhaare shahr mein jaane kahaan se utraa thaa
ki un dinon bhi koi us ke dil mein bastaa thaa
main jaan-bujh ke hone ko aaya thaa nilaam
kisi ne tum ko bhi boli lagaate dekhaa thaa
· · ·
Muzaffar Eraj
sulagti dhuup thi dasht-o-jabal the banjar the
jahaan jahaan se bhi guzre ajiib manzar the
jo maan ki kokh se nikle tiri talaash rahi
lahad nasib hui jab bhi tere khugar the
· · ·
Muzaffar Eraj
vo bahut be-qaraar hai shaayad
us ko bhi intizaar hai shaayad
nafratein sar se paanv tak dekhin
dil mein thoDaa saa pyaar hai shaayad
· · ·
Muzaffar Eraj
basaaein kitni bhi ham bastiyaan khalaaon mein
uThe hain khaak se rahnaa to hai saraabon mein
hamein na bor karo saahab-e-adaa kah kar
rahe hain ham to hamesha hi kaj-adaaon mein
· · ·
Muzaffar Eraj
apne bojh se TuuT rahaa huun
main bhi kaanch kaa ik TukDaa huun
koi kahaani yaad nahin hai
raddi kaaghaz bech chukaa huun
· · ·
Muzaffar Eraj
zindagi naqsh-e-aab hai logo
bulbula hai saraab hai logo
tum jahaan se bhi chaaho paDh Daalo
meraa chehra kitaab hai logo
· · ·
Muzaffar Eraj
mujh se miltaa thaa vo barsaat mein jugnu ki tarah
bujh bhi jaataa thaa mire haat mein jugnu ki tarah
main ne din mein to use der talak DhunDaa thaa
vo nazar aaya mujhe raat mein jugnu ki tarah
· · ·
Muzaffar Eraj
mol-tol karne vaalon se kyaa kahnaa
dil moti par koi khol nahin chaDhtaa
ek hi saudaagar manDi mein haath aaya
vo bhi kabaaDi kartaa raddi kaa saudaa
· · ·
Muzaffar Eraj
chaand mein nuur sitaaron mein sharar dekhaa hai
jab bhi aankhon mein tiri aks-e-sahar dekhaa hai
kaun hai jis ne bulaayaa hai pahaaDon se mujhe
kaun thaa jis ki duaaon mein asar dekhaa hai
· · ·
Muzaffar Eraj
kan-ankhiyon par soch parinda baiThaa thaa
main ne chehra aaine mein dekhaa thaa
lafz na jumle aur na hi koi mafhum
us ne khat likkhaa lekin kyaa likkhaa thaa
· · ·
Muzaffar Eraj
namak nigaahon mein honTon mein zaaiqa na rahaa
unhein rijhaane kaa ab ham mein hausla na rahaa
na taak jhaank na hi chilmanein darichon par
jahaan bhi dekhiye nazron kaa raabta na rahaa
· · ·
Muzaffar Eraj
yuun bulaane se niind kab aai
jab bhi aai hai be-talab aai
ro paDe dil dayaar ke baasi
un ke ghar mein bahaar jab aai
· · ·
Muzaffar Eraj
shaam se pahle lauT aane ki baat karo
in logon ko Tarkhaane ki baat karo
mere liye taamir karo kyon taaj-mahal
mere liye ik kaashaane ki baat karo
· · ·
Muzaffar Eraj
kab kisi ne ki kisi se dil ki baat
lab hilaa kar ye kahaa thaa kah di baat
ik na ik din tum ko aanaa hai magar
aaj aate main bhi kahtaa apni baat
· · ·
Muzaffar Eraj
itnaa huaa zamin pe huvaidaa kiyaa mujhe
aur us ke baa'd bhiiD mein tanhaa kiyaa mujhe
main mo'tabar kise kahun naa-mo'tabar kise
har shakhs ne hi shahr mein sajda kiyaa mujhe
· · ·
Muzaffar Eraj
toD di zanjir rishton ki paraae shahr mein
baat sadiyon ki na lamhon ki paraae shahr mein
ek hi shiddat ke jhonke se bikhar ke rah gai
zindagi thi kachche dhaagon ki paraae shahr mein
· · ·
Muzaffar Eraj
tiri saada-dili kaa aaina huun
ki apnaa aap arpan kar chukaa huun
main apne jism par baarud baandhe
tumhaari raah mein kab se khaDaa huun
· · ·
Muzaffar Eraj
jaa-ba-jaa hai naghma-khvaan
meraa dil meri zabaan
sunne vaalaa hi nahin
kyaa karun qissa bayaan
· · ·
Muzaffar Eraj
mahshar thaa ik aan mein TuuTaa dharti par
jaane kis aaseb kaa saayaa dharti par
kaun hai jis ne tan-man dhan sab luuT liyaa
kis ne rakhaa hai paanv khudaayaa dharti par
· · ·
Muzaffar Eraj
khushbu badan ki khaali samundar havaaon ke
kyuun chheDte hain ham ko payambar sadaaon ke
dekhi na jaae ham se pareshaan barahnagi
chunte hain apne jism mein patthar ridaaon ke
· · ·
Muzaffar Eraj
ye kis maqaam se aakhir palaT gayaa hai tu
mire habib bataa kis jagah chhupaa hai tu
hayaat aa ke yahaan par Thaharne vaali hai
kisi ke paanv ki aahaT pe boltaa hai tu
· · ·
Muzaffar Eraj
puraane ghaav nae dukh bhulaane baiThe hain
dukaanein lutf-o-karam ki sajaane baiThe hain
hamin ko vo bhi samajhte hain behis-o-bekaar
ki apni prem kathaaein sunaane baiThe hain
· · ·







