SHAWORDS

vo bahut be-qaraar hai shaayad — Muzaffar Eraj

HomeMuzaffar ErajGhazal
"vo bahut be-qaraar hai shaayad us ko bhi intizaar hai shaayad nafratein sar se paanv tak dekhein dil mein thoDaa saa pyaar hai shaayad kar ke tai marhale udaas thaa vo jeb mein us ki haar hai shaayad zindagi aakhiri Thikaane par qaabil-e-e'tibaar hai shaayad gham bhi phal-phultaa hai aae din shajar-e-saaya-daar hai shaayad mere rone pe koi baat na ki aaj vo sogvaar hai shaayad guftugu mein na mujh se jiit sakaa is liye sharmsaar hai shaayad jis ko dekhun vo girtaa paDtaa hai har taraf intishaar hai shaayad kaj-kulaahi tumhaari 'iraj' ji baais-e-iftikhaar hai shaayad"
Urdu

وہ بہت بیقرار ہے شاید اس کو بھی انتظار ہے شاید نفرتیں سر سے پاؤں تک دیکھیں دل میں تھوڑا سا پیار ہے شاید کر کے طے مرحلے اداس تھا وہ جیب میں اس کی ہار ہے شاید زندگی آخری ٹھکانے پر قابل اعتبار ہے شاید غم بھی پھل پھولتا ہے آئے دن شجر سایہ دار ہے شاید میرے رونے پہ کوئی بات نہ کی آج وہ سوگوار ہے شاید گفتگو میں نہ مجھ سے جیت سکا اس لئے شرمسار ہے شاید جس کو دیکھوں وہ گرتا پڑتا ہے ہر طرف انتشار ہے شاید کج کلاہی تمہاری ایرجؔ جی باعث افتخار ہے شاید

Hindi

वो बहुत बे-क़रार है शायद उस को भी इंतिज़ार है शायद नफ़रतें सर से पाँव तक देखें दिल में थोड़ा सा प्यार है शायद कर के तय मरहले उदास था वो जेब में उस की हार है शायद ज़िंदगी आख़िरी ठिकाने पर क़ाबिल-ए-ए'तिबार है शायद ग़म भी फल-फूलता है आए दिन शजर-ए-साया-दार है शायद मेरे रोने पे कोई बात न की आज वो सोगवार है शायद गुफ़्तुगू में न मुझ से जीत सका इस लिए शर्मसार है शायद जिस को देखूँ वो गिरता पड़ता है हर तरफ़ इंतिशार है शायद कज-कुलाही तुम्हारी 'ईरज' जी बाइस-ए-इफ़्तिख़ार है शायद

vo bahut be-qarār hai shāyad
Muzaffar Eraj
Muzaffar Eraj
Muzaffar Eraj
poet28 quotes

More by Muzaffar Eraj

View all →
Quote
"tumhaare shahr mein jaane kahaan se utraa thaa ki un dinon bhi koi us ke dil mein bastaa thaa main jaan-bujh ke hone ko aaya thaa nilaam kisi ne tum ko bhi boli lagaate dekhaa thaa ye haadisa thaa ki imaan main bhi le aaya ye saaneha hai ki main ne tumhin ko puujaa thaa churaa ke le gayaa meraa sukun meraa qaraar vo barson saath mire ghar mein mere rahtaa thaa balaa se chhin ke le jaae zindagi meri main mutmain huun ki meraa bhi koi apnaa thaa main is tarah se bikaa yuun luTaa phir aisaa huaa vo apni totaa kahaani sunaane aaya thaa use sadaa hi rahaa zo'm paarsaai kaa agarche us ko darindon ne roz nochaa thaa main apni be-sar-o-saamaaniyaan chhapaaun kyaa vo ham-safar thaa miraa jis ne mujh ko luuTaa thaa zabaan se zakhm lagaane se baaz aa 'iraj' ye zakhm maanaa tujhe baar baar lagtaa thaa"
Muzaffar ErajMuzaffar Eraj
Quote
"sulagti dhuup thi dasht-o-jabal the banjar the jahaan jahaan se bhi guzre ajiib manzar the jo maan ki kokh se nikle tiri talaash rahi lahad nasib hui jab bhi tere khugar the badal chuki hai achaanak haraarat-e-arzi javaalaa phuuT rahe hain jahaan samundar the saraab jaise guzaari hai zindagi ham ne ki duur hi se lubhaane mein ham hunar-var the na but taraashe na puuje na toD Daale magar kisi bhi shahr mein aae ba-shakl-e-aazar the hamaari maut se pahle hi kitne logon ne hamaare baare mein likkhaa thaa ham gadaagar the main jin ke biich mein leTaa thaa be-his-o-harakat luTe-piTe the musaafir kaTe hue sar the vo din ki maan ki du'aaein panaah thiin 'iraj' kanval the raat ki raani the ham gul-e-tar the"
Muzaffar ErajMuzaffar Eraj
Quote
"vo bahut be-qaraar hai shaayad us ko bhi intizaar hai shaayad nafratein sar se paanv tak dekhin dil mein thoDaa saa pyaar hai shaayad kar ke tai marhale udaas thaa vo jiit mein us ki haar hai shaayad zindagi aakhiri Thikaane par qaabil-e-e'tibaar hai shaayad gham bhi phal phultaa hai aae din shajar-e-saaya-daar hai shaayad mere rone pe koi baat na ki aaj vo sogvaar hai shaayad guftugu mein na mujh se jiit sakaa is liye sharmsaar hai shaayad jis ko dekhun vo girtaa paDtaa hai har taraf intishaar hai shaayad kaj-kulaahi tumhaari 'iraj' ji baais-e-iftikhaar hai shaayad"
Muzaffar ErajMuzaffar Eraj
Quote
"apne bojh se TuuT rahaa huun main bhi kaanch kaa ik TukDaa huun koi kahaani yaad nahin hai raddi kaaghaz bech chukaa huun ziist ne apne par phailaae ret ke sahraaon mein khaDaa huun apni baat kahun to kyunkar un ki baaton mein uljhaa huun sab miTTi ke saudaagar hain jin ke bhi haathon mein bikaa huun mujh se tark-e-taalluq kar lo main andar se TuuT chukaa huun tum hi becho tum hi kharido sud-o-ziyaan se laa-parvaa huun laakh sanvaaro laakh bigaaDo vaisaa rahungaa main jaisaa huun nuqta ek huun 'iraj' lekin samton hi samton mein baTaa huun"
Muzaffar ErajMuzaffar Eraj

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi