Quote
"vo bahut be-qaraar hai shaayad us ko bhi intizaar hai shaayad nafratein sar se paanv tak dekhein dil mein thoDaa saa pyaar hai shaayad kar ke tai marhale udaas thaa vo jeb mein us ki haar hai shaayad zindagi aakhiri Thikaane par qaabil-e-e'tibaar hai shaayad gham bhi phal-phultaa hai aae din shajar-e-saaya-daar hai shaayad mere rone pe koi baat na ki aaj vo sogvaar hai shaayad guftugu mein na mujh se jiit sakaa is liye sharmsaar hai shaayad jis ko dekhun vo girtaa paDtaa hai har taraf intishaar hai shaayad kaj-kulaahi tumhaari 'iraj' ji baais-e-iftikhaar hai shaayad"
