Quote
"har nai shaam ye ehsaas huaa ho goyaa meraa saaya mire paikar se baDaa ho goyaa tere lahje mein to thi hi tiri talvaar ki kaaT teri yaadon mein bhi ab zahr milaa ho goyaa pichhle mausam mein sabhi girya-kunaan the magar ab chashm-e-khun-rang mein sailaab rukaa ho goyaa chaand niklaa to miri zaat ko andaaza huaa us ne chupke se miraa naam liyaa ho goyaa chun liyaa main ne to phir apni mohabbat kaa khudaa us ko ab bhi hai gumaan meraa khudaa ho goyaa ek muddat se khalaaon mein thiin aankhein raushan ab ye 'aalam hai ki aankhon mein khalaa ho goyaa phuul khilne ko to naqqaash khile khvaab magar mere zakhmon ke chaTakhne ki sadaa ho goyaa"







