Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Naresh M. A
koi baada-kash jise mai-kashi kaa tariq-e-khaas na aa sakaa
gham-e-zindagi ki kashaa-kashon se kabhi najaat na paa sakaa
ye muqaddaraat ke shoabde ye mire nasib ye bebasi
ki vo puchhne bhi lage kabhi to main dard-e-dil na sunaa sakaa
· · ·
Naresh M. A
mausam-e-gul aa gayaa saaghar uThaa
saaqiyaa ab zindagi ke giit gaa
ab na rah rah kar sitamgar yaad aa
yuun na fitna-gar mujhe paiham sataa
· · ·
Naresh M. A
baada-o-jaam-o-pir-e-mai-khaana
meraa dil hai inhin kaa divaana
yuun muzayyan ho bazm-e-rindaana
mai ho saaqi ho aur paimaana
· · ·
Naresh M. A
saaghar ki kahaani bhuul gae shishe kaa fasaana bhuul gae
jis vaqt laDi saaqi se nazar ham jaam uThaanaa bhuul gae
ham mahv-e-nazaara kyaa hote ai dost bhalaa is mahfil mein
jis bazm mein hosh-o-khirad kho kar ham hosh mein aanaa bhuul gae
· · ·
Naresh M. A
husn par jaan nisaar kartaa huun
shama-ruon ko pyaar kartaa huun
aap ke ishq ne jo bakhshe hain
un ghamon kaa shumaar kartaa huun
· · ·
Naresh M. A
yaa-rab hayaat-e-ishq miri be-mazaa na ho
jiite ji dil se dard-e-mohabbat judaa na ho
hai kaun saa jahaan mein vo aadaab-e-mai-kashi
jis se miraa shuur-e-ghazal aashnaa na ho
· · ·
Naresh M. A
yuun na mujh ko pyaar se lillaah dekho baar baar
ye adaa to aur bhi karti hain dil ko be-qaraar
vaada kar ke bhi na tum aao tumhaaraa ikhtiyaar
ham kareinge raat-din phir bhi tumhaaraa intizaar
· · ·
Naresh M. A
sadaaqat uThti jaati hai jahaan se
zamin Takraa na jaae aasmaan se
sharar-haa-e-gham-e-hasti ko saaqi
bujhaa bhi de sharaab-e-arghavaan se
· · ·
Naresh M. A
ik vo hain ki vaada koi iifaa nahin karte
ik ham hain ki is kaa koi shikva nahin karte
un kaa to hai dastur bhulaa dete hain sab ko
ham un ko kisi haal mein bhulaa nahin karte
· · ·
Naresh M. A
raah-e-talab mein azm-e-tajassus javaan rahe
manzil jo be-nishaan hai miri be-nishaan rahe
ham dil-figaar chaak-e-garebaan jahaan rahe
paiham nishaana-e-sitam-e-aasmaan rahe
· · ·
Naresh M. A
ham dil-afgaaron pe itni si inaayat bhi nahin
un ki jaanib se taDapne ki ijaazat bhi nahin
is ravish ko haae is kaafir adaa ki kyaa kahun
mujh se nafrat bhi nahin hai aur ulfat bhi nahin
· · ·
Naresh M. A
kabhi do ghunT pi kar jab tabiat ko surur aaya
to kuchh kuchh zindagi kaa baada-noshon ko shuur aaya
likhin jab kaatib-e-taqdir ne bandon ki taqdirein
mire hisse mein ijz aur un ke hisse mein ghurur aaya
· · ·
Naresh M. A
ye sitam uf aatish-e-didaar bhaDkaane ke baad
ho gae ru-posh vo ik jalva dikhlaane ke baad
aah-e-sozaan kaa shahidon ki asar to dekhiye
khud bhi qaatil hai pashemaan qatl farmaane ke baad
· · ·
Naresh M. A
tujh pe donon nisaar hain qaatil
jaan-e-muztar ho yaa dil-e-bismil
qahr hai qahr ishq ki manzil
har qadam par hai ik nai mushkil
· · ·
Naresh M. A
aap hi ke dam se hai tanvir-e-ishq
dar-haqiqat aap hain tasvir-e-ishq
zindagaani mein use raahat kahaan
jis kaa dil barmaa gayaa ho tir-e-ishq
· · ·







