SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ai dil huaa hai jaise mire dil ko tu pasand aaya koi hasin na tire ru-ba-ru pasand Taanke lagaao halq pe khanjar ko pher kar phir ye kaho hamein hai ye tauq-e-gulu pasand imaan se khudaa ke liye tu hi sach bataa vaaiz kisi ko bhi hai tiri guftugu pasand aafat hai zamzama to ghazab gaTkari ki taan kyon ho na mujh ko tujh saa but-e-khush-gulu pasand dard-e-firaaq mein dil-e-sad-chaak ko mire taar-e-nigaah-e-yaar hai bahr-e-rafu pasand roz-e-alast se huun main sarshaar vaaizo kyon ho na mujh ko baada-o-jaam-o-subu pasand dard-e-firaaq-e-dost pe marte hain dil jigar donon ko hai bas ek yahi aarzu pasand dekhungaa aankh uuThaa ke na main huur ki taraf mar kar bhi haan rahegi yahi aarzu pasand jhuTi mile sharaab jo us but ki saaqiyaa kyon ho na zaahidon ko vo bahr-e-vuzu pasand abru se go laDaa kabhi tir-e-nigaah se dil ko hai mere jang ye ai jang-ju pasand"
Nawab Umrao Bahadur DilerNawab Umrao Bahadur Diler
Quote
"kahaa jo ham ne ki shaidaa-e-yaar ham bhi hain to dil pukaar uThaa jaan-nisaar ham bhi hain adu to lete hi hain bosa aap ke rukh ke balaaein lene ke ummid-vaar ham bhi hain kahaa jigar ne jo dekhi ye dil ki betaabi hamein bhi chain nahin be-qaraar ham bhi hain vo marne par mire roe to hurein bol uTThin tumhin nahin ho faqat sogvaar ham bhi hain ishaara karte hain tegh-e-nigah se tir-e-mizha ki teraa vaar to ho dil ke paar ham bhi hain vo baa'd qatl ke dete hain mujh ko yuun taskin ki kham hai tegh kaa sar sharmsaar ham bhi hain kahaa ye aabla-e-paa ne dasht-e-ghurbat mein zaraa khayaal rahe nok-e-khaar ham bhi hain idhar bhi surat-e-zaahid koi nigaah-e-karam ki tere bandon mein parvar-digaar ham bhi hain"
Nawab Umrao Bahadur DilerNawab Umrao Bahadur Diler
Quote
"chaltaa hai aaftaab kaa daur us qamar ke saath ham aib bhi jo karte hain to ik hunar ke saath kyunkar kisi ke roz-e-jazaa chhup sakeinge jurm khufya-navis do-do hain har ik bashar ke saath rakh lenaa yaa khudaa miri tar-daamani ki sharm baadal baraste aaein duaa ke asar ke saath in rozon khaandaan ko koi puchhtaa nahin izzat hai aadmi ki bas ab sim-o-zar ke saath haathon mein chaahte ho hinaa kaa jo shokh-rang mehndi ko piis lo mire zakhm-e-jigar ke saath baaqi khumaar raat kaa ab tak hai saaqiyaa gardish mein jaam bhi rahe dauraan-e-sar ke saath fazl-e-khudaa kaa dekhnaa vaaiz ki roz-e-hashr jannat mein ham bhi jaaeinge khairul-bashar ke saath khat de ke naama-bar ko ye kahtaa hai shauq-e-dil achchhaa to hai ki khud bhi chalun naama-bar ke saath bachnaa dil-o-jigar kaa buton se muhaal hai tir-e-mizha bhi chalte hain tegh-e-nazar ke saath afsos ab kisi kaa koi qadr-daan nahin jauhar-shanaas uTh gae ahl-e-hunar ke saath karte na ham kisi ki itaaat kabhi 'diler' maashuq ham ko milte agar zor-o-zar ke saath"
Nawab Umrao Bahadur DilerNawab Umrao Bahadur Diler
Quote
"khayaal itnaa sitam-ijaad rakhnaa vafaaein kuchh hamaari yaad rakhnaa nahin shikva jo rakkhaa ham ko naashaad qayaamat hai adu ko shaad rakhnaa bataa kyaa thaa ki mujh ko qatl kar ke jigar par haath o jallaad rakhnaa adu ke saath karnaa aish-o-ishrat hamein o bevafaa naashaad rakhnaa jo mahfil mein ho teri daur-e-saaghar zaraa saaqi hamein bhi yaad rakhnaa khinche us shokh ki tasvir dilkash adaa koi nai bahzaad rakhnaa mujhe duniyaa se jis but ne miTaayaa khudaayaa tu use aabaad rakhnaa miraa dil naazon kaa paalaa huaa hai liye jaate ho us ko shaad rakhnaa kahin mil jaae dil us kaa na ai dil khayaal itnaa dam-e-fariyaad rakhnaa ghazab hai tujh ko o qaatil na aaya gale par khanjar-e-faulaad rakhnaa 'diler' itnaa kahe dete hain tum se khayaal-e-khaatir-e-jallaad rakhnaa"
Nawab Umrao Bahadur DilerNawab Umrao Bahadur Diler
Quote
"guzaare hijr mein barson hi vasl-e-yaar ke baad uThaayaa jabr bahut ham ne ikhtiyaar ke baad na dushmanon ke liye thi zamin-e-kucha-e-dost bani na phir koi turbat mire mazaar ke baad kis aasare pe guzaarun zamaana-e-furqat ki naa-umid huaa huun ik intizaar ke baad khizaan ke baad ilaahi bahaar phir dekhein khizaan to dekh chuke mausam-e-bahaar ke baad mire shabaab ki yaad aa rahi hai piiri mein ki qadr nashsha ki hoti hai kuchh khumaar ke baad milaa jo qais saa ham-rang dasht-e-vahshat mein huaa sukun tabiat ko intishaar ke baad vo mashq-e-tir thi un ki hamaare hi dil tak milaa na phir koi nakhchir us shikaar ke baad pas-e-fanaa hai tabaahi ki ibtidaa mujh se bahut si aandhiyaan uTTheingi is ghubaar ke baad ham un ke bas mein hain qaabu mein the jo apni 'diler' ye bebasi na kisi ko ho ikhtiyaar ke baad"
Nawab Umrao Bahadur DilerNawab Umrao Bahadur Diler
Quote
"kyon ho na hamein ishq-e-sanam aur ziyaada detaa hai maza ishq kaa gham aur ziyaada dil to evaz-e-bosa diyaa tum ne jigar bhi li muft mein ye ek raqam aur ziyaada likhtaa huun tujhe teri rukaavaT kaa jo shikva chaltaa hai miraa ruk ke qalam aur ziyaada detaa huun tiri shokh nigaahon se hi tashbih ram karte hain aahu-e-haram aur ziyaada paspaa na huaa qais se maidaan-e-vafaa mein baDhtaa hi rahaa apnaa qadam aur ziyaada ho jaate hain jab ham se kashida tire abru khinchti hai tiri tegh-e-do-dam aur ziyaada hotaa huun 'diler' un se jo main lutf kaa khvaahaan vo karte hain rah rah ke sitam aur ziyaada"
Nawab Umrao Bahadur DilerNawab Umrao Bahadur Diler
Quote
"aise hasin ke ishq mein hai be-qaraar dil sadqe hain jis ki ek adaa par hazaar dil jab maangte hain sab sanam-e-rozgaar dil itne kahaan se laaun main parvardigaar dil bezaar zindagi se hai lail-o-nahaar dil jis roz se huzur ko kartaa hai pyaar dil kyaa sochte ho us ko nishaana bataao tum hai naavak-e-mizha kaa tumhaare shikaar dil bauchhaar ho rahi hai jo tir-e-nigaah ki siina hai chaak-chaak hamaaraa figaar dil ghamza ko duun karishma-e-naaz-o-adaa ko duun kis tarah ek dil ke banein tiin chaar dil kyaa kyaa uThaain hijr-e-sanam mein musibatein barson rahaa hai aaTh pahar be-qaraar dil dafn is mein kushta ho ke huiin kitni hasratein madfan banaa hai siina to lauh-e-mazaar dil zaahid khayaal-e-yaar to har-dam hai jaaguzin kyunkar karun main hur-e-jinaan par nisaar dil karne lagaa hai mujh se bahut kaj-adaaiyaan ab but huaa hai jaise tiraa raazdaar dil Thahraa na ek dam kabhi soz-e-firaaq mein simaab-vaar apnaa rahaa be-qaraar dil dekhaa koi hasin to kyaa kyaa phaDak uThaa bechain ho gayaa miraa be-ikhtiyaar dil bhulaa hai teri yaad buton ke khayaal mein aisaa diyaa thaa kyon mujhe parvardigaar dil aao jo mere ghar mein to sau jaan se karun chitvan par aankh sadqe adaa par nisaar dil hotaa nahin hai eid ko bhi gham ghalat 'diler' yaaraan-e-raftagaan kaa banaa sogvaar dil"
Nawab Umrao Bahadur DilerNawab Umrao Bahadur Diler
Quote
"saamnaa hai nigaah-e-qaatil kaa dekhnaa hausla mire dil kaa haae kahnaa adaa se qaatil kaa ham ko dikhlaao raqs bismil kaa chale munh pher kar vo maqtal se haal dekhaa gayaa na bismil kaa josh-e-vahshat mein teraa divaana kyon na mushtaaq ho salaasil kaa khinch kar un ko mere ghar laayaa asar aakhir ko jazb-e-kaamil kaa shaikh khaamosh ho khudaa ke liye zikr rindon mein kyaa masaail kaa kaash vo chuTkiyaan hi lein aa kar mashghala kuchh to ho dukhe dil kaa bosa de Daalo husn ki khairaat rad na kiije savaal saail kaa ai sabaa kar bhi qais par ehsaan tu hi parda uThaa de mahmil kaa shak thaa miTTi kaa na ho aashiq ke itr kyunkar vo sunghte gul kaa nazaa mein bhi 'diler' aae na vo rah gayaa dil mein hausla dil kaa"
Nawab Umrao Bahadur DilerNawab Umrao Bahadur Diler
Quote
"andaaz kahin dekhaa hai mastaana kisi kaa shaidaa hi huaa phir dil-e-divaana kisi kaa saaqi nigah-e-mast se teri jo laDe aankh sarshaar na kyon kar rahe paimaana kisi kaa maskan hai kharaabi kaa tabaahi kaa Thikaana dil se mire baDh kar nahin viraana kisi kaa huron mein na ye naaz na pariyon mein ye andaaz paate hain chalan sab se judaagaana kisi kaa kahte hain raqibon se vo sun kar mire ash’aar mazmun hamein khush aataa hai rindaana kisi kaa kuchh bint-e-'inab par tiraa qabza nahin vaa'iz Theke mein nahin hai tire mai-khaana kisi kaa bhejaa hai su-e-mai-kada jo abr khudaa ne maqbul huaa naa'ra-e-mastaana kisi kaa yaad aataa hai kyaa kyaa talab-e-bosa-e-lab par munh pher ke ghunghaT mein vo sharmaanaa kisi kaa zikr-e-shab-e-gham sun ke 'diler' un kaa bhi kahnaa ham niind mein sunte nahin afsaana kisi kaa"
Nawab Umrao Bahadur DilerNawab Umrao Bahadur Diler
Quote
"mansab ki fikr hai na hamein maal-o-jaah ki shaahi se kuchh gharaz hai na parvaa hai shaah ki jis samt ko huzur ne tirchhi nigaah ki das biis kyaa hazaaron ki haalat tabaah ki jannat mein jaa ke ham ne jo rone se raah ki vaaiz bataa ye baat bhi kyaa hai gunaah ki ghairon se tark kijiye yak-lakht irtibaat surat yahi hai aap ke mere nibaah ki vaaiz tumhaare vasf-e-sharaab-e-tahur par aati hai botalon se sadaa qaah-qaah ki hon baada-kash sharik agar haal-qaal mein raunaq ho khuub shaikh tiri khaanqaah ki shaane kaa ruup bhar dil-e-sad-chaak ne mire sau pech se hai kucha-e-gesu mein raah ki jo chaaho jaur-o-zulm-o-sitam tum yahaan karo koi sunegaa kuchh to vahaan daad-khvaah ki itnaa samajh lo tum ki khudaa khud aliim hai haajat mujhe na hogi buto kuchh gavaah ki kyaa sher dhum-dhaam ke likhte hain ai 'diler' aati hai har taraf se sadaa vaah vaah ki"
Nawab Umrao Bahadur DilerNawab Umrao Bahadur Diler
Quote
"in buton ki jo chaah karte hain dil-o-din ko tabaah karte hain ham jo huron se raah karte hain vaaizo kyaa gunaah karte hain un se ham rasm-o-raah karte hain vo kharaab-o-tabaah karte hain kyaa uThaaeinge tere jaur raqib ham hain ye jo nibaah karte hain mai-kashon ko buraa na kah vaaiz kyaa ye teraa gunaah karte hain dekhnaa dam mein pesh-e-daavar-e-hashr faisla daad-khvaah karte hain shauq se aao khaana-e-dil mein aankhein ham farsh-e-raah karte hain shukr hai mujh ko apni bazm mein vo yaad ab gaah gaah karte hain dekhnaa ham raqib se mil kar dil mein us but ke raah karte hain dil miraa aap hi hai khaana-kharaab aap ise kyon tabaah karte hain bande tere hi ishq ke hain sanam ham khudaa ko gavaah karte hain haae jab mar chukaa huun to vo ab naama apnaa siyaah karte hain ham ko miltaa hai rizq be-minnat shukr-e-fazl-e-ilaah karte hain in hasinon se itnaa kah do 'diler' thaam lein dil ham aah karte hain"
Nawab Umrao Bahadur DilerNawab Umrao Bahadur Diler
Quote
"jise tum dekh lo tirchhi nazar se bahe khun-e-jigar us chashm-e-tar se agar kuchh be-rukhi paai nazar se lipaT jaaungaa qaatil ki kamar se pas-e-divaar naale kis ne khinche nikal aae jo ghabraa ke vo ghar se main qaail kyon na huun apni nigah kaa laDi hai jaa ke kis rashk-e-qamar se miri surat koi dekhe shab-e-vasl udaasi munh pe hai khauf-e-sahar se sivaa is dil ke kis kaa hausla hai milaae aankh qaatil ki nazar se hazaaron dil jigar hote hain paamaal nikal jaate hain vo jis rah-guzar se hamesha garm ho pahlu adu kaa tiraa jaanbaaz ik bose ko tarse ye hain kyaa chiiz in ko kyon chhupaaein dil-o-jaan donon sadqe aap par se taDap kar kis tarah kaaTi hain ghaDiyaan use tum puchh lo dard-e-jigar se shab-e-gham hai jo milne kaa iraada ajal mil le zaraa dard-e-jigar se nigaahein pher kar kahnaa kisi kaa na dekho ham ko hasrat ki nazar se unhein le aaegaa samjhaa bujhaa kar nahin ummid ye paighaambar se jigar kahnaa hai dil se haal apnaa dil apnaa dard kahnaa hai jigar se 'diler' apne to marg-e-ghair par bhi nikal paDte hain aansu chashm-e-tar se"
Nawab Umrao Bahadur DilerNawab Umrao Bahadur Diler