Quote
"dil le gai vo zulf-e-rasaa kaam kar gai kaaba ko Dah gai ye balaa kaam kar gai aayaa na yaar maut miraa kaam kar gai naakaam hi rahaa main qazaa kaam kar gai zaahid ne bhi namaaz ko apni qazaa kiyaa vallaah un buton ki adaa kaam kar gai us ki gali mein khaak hamaari na le chale apnaa kabhi na baad-e-sabaa kaam kar gai zaahid ki aankh mein to barahman ke dil mein hai tasvir-e-but bhi naam-e-khudaa kaam kar gai bimaar-e-ishq ko hui sehat visaal se ai jaalinus ik ye davaa kaam kar gai naale se apne aah-e-rasaa raat baDh gai neze se barchhi aur sivaa kaam kar gai vo ab to chheD chheD ke dete hain gaaliyaan shukr-e-khudaa ki apni duaa kaam kar gai shikva nahin hai kuchh malak-ul-maut se mujhe ik rashk-e-hur aa ke miraa kaam kar gai lailaa ko ho gayaa tiri fariyaad kaa gumaan ai qais zang ki bhi sadaa kaam kar gai chhanvaai khaak 'mehr'-e-falak-baargaah ko chhoTi si ek chiiz baDaa kaam kar gai"
